Kash Kabi Hota Ye Mere Ikhtiyar Mai


Kash Kabi Hota Ye Mere Ikhtiyar Mai
Main Rang Deta Tujhe Apne Pyar Mai,

Main Itna Pyar Deta Tujhe Jan-E-Arzoo
Tum Khud Ko Bhula Dete Mere Aitbar Mai,

Tum Jo Mujhe Bulate Mulaqat K Liye
Bechain Ho K Phirte Mere Intezar Mai,

Main Dair Se Jo Aata Naraz Ho K Tum
Har Baat Ka Jawab Dete Inkar Mai,

Tum Jo Rooth Jate Mujh Se Kisi Bat Pe
Main Tumhein Manata Bare Pyar Se,

Maan Kar Tum Mujh Se Sirf Ye Kehte
Hai Nahi Koi Kmi “jaan” Tere Pyar Main.

Aye Chand Tu Bhool Jae gaa


Aye Chand Tu Bhool Jayga Gharur se Chamakna..!!

Jis Roz Dekhe Ga tu ik Jhalak MereCHAND Ki..!!

Mujhe Zindagi Mein Tumahari Zarorat Ho Gi


MuJhe ZiNdaGi MeIn tuMaHaRi ZaRoRaT Ho Gi 
Ye ChaNd LaMho Ki NaHi Umer Ki RaFaQaT Ho Gi 


TeRe KhEnE PaR LaGai Hai Ye MehnDi MeIn Ne 
Too AgAr EiD PaR Na AaYa To QaYaMaT Ho Gi 

SuNo TuM MeRe DiL Se HaRgIz MaT KhelNa WarnA 
PhIr KiSi Ko kiSi Se Na KaBhi MoHabbAt Ho Gi 


MeIn TeRi YaAdOn Se Jan TaK WaZOO Na KaR LoOn 
MuKaMaL Na KaBhi MeRi Bhi IbaDaT Ho Gi 


Too Ne Is EiD Par Bhi GaR ApNa WaDa Na kYa pUrA 
FaRhaN tuJhe ApNe WaDon PaR BaHoT NadaMat Ho Gi 

Apne Laho Se Tera Moqadar Sanwaar Ke


Apne Laho Se Tera Moqadar Sanwaar K,
Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar K,

Kuch Is Liye Bhi Apna Asasa Hai Sirf Yad,
Dono Jahan Phaink Diye Tujh Pe War K,

Yak Dam Hi Aa Gia Jo Kisi Dosre Pe Dil,
Ye Faisle To Hote Nahi Akhtiyar K,

Dil Ko Tumhare Dard Ne Chaira Kuch Is Tarha,
Jaise Kisi Ne Chair Diye Sur Sitaar K,

Hum Khasta Tan Thay Aaj Se Hum Hain Berhana Tan,
Le Phank Diye Hum Ne Tere Gham Utar K.................!

Dekhi Jo Nabz Meri To Hans Kar Bola


Dekhi Jo Nabz Meri To Hans Kar Bola. 

.Tabeeb. 

Jaa Deedar Kar Us Ka Jo Teray Har Marz Ki Dawa hai.

Tere kehnay pe lagayi hai yeh mehndi main ne


TeRe KeHnaY Pe LaGayi Hai Yeh MeHnDi Main Ne 

EiD PaR Ab Na Tu Aya Tu Qayamat Hogi

Farz Karo Tum Kuch Na Pao


Farz Karo Tum Kuch Na Pao.
Apna Aap Luta Kar Bhi.

Farz Karo Koi Mukar Hi Jaye.
Sachi Qasam Utha Kar Bhi.

Farz Karo Ye Farz Na Ho.
Sachi Ik Haqeeqat Ho.

Tere Ishq K Har Rastay Pe.
Jana Ik Qayamat Ho.

Aur Suna Hai K Ye Qayamat.
Khoon Jigar Ka Peeti Hai.

Tum To Jaana'n Farz Karo Gi.

Mujh Par Ye Sab Beeti Hai.

Muhabbaton Pe Bahut Itmaad Kiya Karna


Muhabbaton Pe Bahut Itmaad Kiya Karna,
Bhula Chuke Hain Ussay Phir Se Yaad Kiya Karna,

Wo Be-Wafa Hi Sahi Uss Pe Tuhmatain Kaisi ?
Zaraa Si Baat Pe Itna Fasaad Kiya Karna,

Mukhalifon Se To Mumkin Hai Dosti Apni,
Munafiqon Se Magar Itehaad Kiya Karna,

Nigaah Mein Jo Utarta Hai Dil Se Kiyon Utray,
Dil-o-Nigaah Mein Paida Tazaad Kiya Karna,

Mein Iss Liye Ussay Ab Tak Na Chho Saka MoHsiN ,
Wo Aaina Hai Ussay Sang-Zaad Kiya Karna,

Chahat Ki BayBasi Ka Qissa Hai Mukhtasar


Chahat Ki BayBasi Ka Qissa Hai Mukhtasar

Dil Nay Sakoon Na Paya Kabhi Dil Lagi K Bad ...

Tu bata aye dil-e-betaab kahan atey hain


Tu bata aye dil-e-betaab kahan atey hain,
Hum ko khush rehne ke adaab kahan atey hain,

Main to yak-musht usse somp doon sab kuch lekin,
Aik muthii main mere khawb kahan atey hain,

Mudatton baad tujhe dekh ke dil bhar aaya,
Warna sehraaon main sailaab kahan aatey hain,

Meri bedaar nigaahon main agar bhoolay se,
Neend aaye bhi to khawb kahan aatey hain,

Hum kisi tarah tere dar pe thikaana kar lein,
Hum fakeeron ko yeh adaab kahan aatey hain,

Sarbassar faqat jin main teri jhallak milti hai,
Ab muyassar humen woh khawb kahaan atey hain..

Kabhi Hum Bhi Mohbbat Mein Apne


Kabhi Hum Bhi Mohbbat Mein Apne Aap Ko Badsha Samjhte Thy.. 

...dost...

Pata Tab Laga Jab hum Wafa Mangte Rahe Faqeeron ki Tarah..

kisi ko Alvida kehna bohat taklif deta hai


kisi ko Alvida kehna bohat taklif deta hai.
umeedain toot jati hain.
yaqeen pe beyaqeni ka geher kuch aesa charta hai.

dikhi kuch nahi deta.
bujhai kuch nahi deta.

Dua k lafz honton par musalsal kapkapate hain.
kisi khowaish k andeshe Zehan me dorr jate hain.

Gumaa kuch aesa hota hai k jaise mil na payen ge.
ye ghehere Zakham furqat k kisi se sil na payen ge.

kabhi aesa bhi ho ya "Rab" duwain man le sari.
Tu koi mujza kar de Tu aesa kar bhi sakta hai.

Mere hathon ki janib dekh
inhain Tu bhar bhi sakta hai.


Judai ki azziyat se mera dil ab bhi darta hai.

judai do ghari ki ho
to koi dil ko behlaye. 
judai char pal ki ho to koi dil ko 
samjhaye. 
judai umer bhar ki ho to kia chara kry koi.? 

k ik milny ki hasrat mein bhala kb tak jiye koi.? 

Mere maula! Karam kr dy 
Tu aisa kr bhi sakta hai. 
Mere hathon ki janib dekh 
inhain Tu bhar bhi sakta hai.

Kuch tum se mohabat aisi thi.


Kuch tum se mohabat aisi thi.
Hum batein karna bhool gaye!

Kuch or hi hum ne keh dala.
Jo kehna tha wo bhool gaye!

Hum ne to kaha tha lout aana.
Par tum to aana bhool gaye!

Huwi Rat, falak par tary thy.
Hum diya jalana bhool gaye!

Mein sahil par betha hi raha.
Tum kashti lana bhool gaye!

Ab kaisa gila main tum se karon.
Jab naseeb hi mujh ko bhool gaye!

Hum tum se khafa bethy hi rhe.
Tum hum ko mana'na bhool gaye..!.

Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hoon,


Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hoon,
Tujh Se Agay Ka Safar Dekh K Dar Jata Hoon,

Roz Dhalte Huye Sooraj Ki Tarha Shaam Gaye,
Main Bhi ek Dard K Darya Main Utar Jata Hoon,

Wo Bhi Chup Chup Si Kahin Baith K Roti Ho Gi,
Main Bhi Raton Ko Zaraa Dair Se Ghar Jata Hoon,

Main Ne Bhi Jurm-e-Baghawat K Sitam Jhailey Hain,
Main Bhi Ab Log Jidhar Jayen Udhar Jata Hoon,

Chal Para Hoon Main Zamane K Asoolo'n Pe .........
Main Bhi Ab Apni Baton Se Mukar Jata Hoon..

Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai


Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi
Zabaan Pe Qissa-e-Ghum Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi,

Kabhi Hasna Kabhi Rona, Kabhi Hans Hans Ke Ro Dena
Ajab Dil Ka Yeh Alam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi,

Kabhi Aankhon Hi Aankhon Me Woh Baaton Ka Bata Dena
Kabhi Takraar Baham Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi, 

Barray Zor-O-Shor Se Chal Raha Hai Karobaar-E-Mohabbat...


Barray Zor-O-Shor Se Chal Raha Hai Karobaar-E-Mohabbat...

Kahin Chahtain Bik Rahin Hain, Kahin Log Badal Rahay Hain...

Hum Bewafa Hargiz Na The.


Hum Bewafa Hargiz Na The.
Par Hum Wafa Kar Na Sake.
Hum ko Mili Uski Saza.
Hum Jo Khata Kar Na Sake.

Hum Bewafa Hargiz Na The
Par Hum Wafa Kar Naa Sake

Kitni Akeli Thi Woh Rahen Hum Jin pe
Ab Tak Akele Chalte Rahe.
Tujhse Bichar K Bhi O Bekhabar.
Tere Hi Gham Mein Jalte Rahe.
Tune Kiya Jo Shikwa.
Hum Woh Gila Kar Na Sake.

Hum Bewafa Hargiz Na The
Par Hum Wafa Kar Naa Sake

Tumne Jo Dekha Suna Sach Tha Magar.
kitna Tha Sach Yeh Kisko Pata.
Jaane Tumhe Maine Koi Dhokha Diya.
Jaane Tumhe Koi Dhokha Hua.
Is Pyaar Mein Sach Jhooth Ka.
Tum Faisla Kar Naa Sake.

Hum Bewafa Hargiz Na The.
Par Hum Wafa Kar Naa Sake.

Itna to mere haal par ehsan kiya kar


Itna to mere haal par ehsan kiya kar ! 

Aankhon se mera dard pehchan liya kar ! 

Kuch saath de safar mein bohat thak gaya hoon mein ! 

Kuch pal hoon tere sath meri maan liya kar ! 

Afsane Mohabbat k adhure na chor tu ! 

Jurm-e-Wafa ka mujhse har beyan liya kar ! 

Mud'dat hoi is aas par thehre howa hoon mein ! 

Bhoolay se kabhi TU B MERA NAAM LIYA KR ! 

Apni zat se wabasta kar mujhe ! 

Ho kar KHAFA mujhse meri yon na jaan liya kar...

Fankaar Hai To Hath Pe Sooraj Saja


Fankaar Hai To Hath Pe Sooraj Saja K La...
Bujhta Huwa Diya Na Muqabil Hawa K La...

Darya Ka Intiqaam Dabo De Na Ghar Tera...
Saahil Se Roz Roz Na Kankar Utha K La...

Thori Si Aur Mauj Main Aa Ay Hawa-e-Gul...
Thori Si Us K Jism Ki Khushboo Chura K La...

Samaan Wafa Ka Bandh Magar Soch Soch Kar...
Is Ibtidaa Main Youn Na Sakhat Inteha K La...

Gar Dekhna Hai Ehl-e-Mashiyat Ka Hosla...
Maidaan Se Ghar Main Ek Maiyet Utha K La...

Mohsin Ab Us Ka Naam Hai Sab Ki Zubaan Par...
Kis Ne Kaha Tha Us Ko Ghazal Main Saja K La...

Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan Nai Aan Lyrics

Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan Nai Aan,
Guftar Mein Kirdar Mein Allah Ki Burhan,
Qahari-O-Ghafari-O-Qudosi-O-Jabroot,
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman,
Hamsaya-E-Jibreel-E-Ameen Banda-E-Khaki,
Hai Is Ka Nashaiman Na Bukhara Na Badakhsan,
Ye Raz Kisi Koi Nahi Maloom Ke Momin,
Qari Nazar Ata Hai Haqeeqat Mein Hai Quran,
Qudrat K Maqasir Ka Ayyar Is K Irade,
Dunia Mein Bhi Meezan Qayamat Mein Bhi Meezan,
Jis Se Jigar-E-Lala Mein Thandak Ho,
Wo Shabnam Dariaon K Dil Jis Se Dehal Jain Wo Taufan,
Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan Nai Aan................!

Main Ek Bewafa Se Wafa Karta Raha Wo Ghairon Se Mil Kar

Main Ek Bewafa Se Wafa Karta Raha,
Wo Ghairon Se Mil Kar Mujhe Tabha Karta Raha,
Main Ne Jis K Liye Apno Ko Chora,
Wo Kisi Aur Se Wada-E-Wafa Karta Raha,
Main Ne Jis K Liye Jeene Ki Duain Mangi,
Wo Mere Marne Ki Dua Karta Raha............! 

Sajan Pardeis Mat Jao Akele Jee Na Paon Gi,


Sajan Pardeis Mat Jao Akele Jee Na Paon Gi,
Jab Tak Tum Lout Aao Gay Main To Mar Hi Jaon Gi,
Keh To Rahe Ho K Jald Lout Aaon Ga,
Magar Main Bin Tere Na Reh Paon Gi,
Bharm Rakh Lo Meri Masoom Mohabbat Ka,
Main To Bin Tere Bikhar Kar Reh Jaon Gi,
Bin Tere Khud Ko Kaise Behlaon Gi ?
Bheer Mein Bhi To Tanha Khud Ko Paon Gi,
Kate Gi Na Ye Lambi Ratein Judai Ki,
Din Bhar Chup Chup K Aanso Bahaon Gi............!

Bahut Deir Kar Di Tum Ne 

Muhabbat Ka Azhaar Karne Mein


Bahut Deir Kar Di Tum Ne
Muhabbat Ka Azhaar Karne Mein,
Mujhe Pane Mein Mujhe Se Pyar Karne Mein,
Ab Kuch Nahi Ho Sakta,
Amanat Hon Mein Kisi Aur Ki,
Guzar Gia Waqt Kia Rakha Hai,
Ab intzaar Karne Mein,
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai,
Main Ye Iqrar Nahi Karon Gi,
Kahein Dil Na Toot Jaye Tumhara Ye iqraar Karne Mein,
Tum Mujhe Bhool Jao,
Ye Iltaja Hai Tum Se Meri,
Zindagi Youn Barbad Na Karo,
Apni Aashk Baar Karne Mein,
Na Karna Tum Mujhe Yad,
Na Main Yad Karon Gi,
K Bahut Takleef Hoti Hai,
Yad Kisi Ko Bar Bar Karne Mein..........! 

Raat ki tanhaiyoon mein tou koi bhi


RAAT ki tanhaaiyoon main to koi bhi yaad kar leta ha

Jo duniyaa ki bheer main yaad karey mohabaat us ko kahtey hain.

Woh humsafar tha magar us se hum nawayi na thi..


woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi
keh dhoop cHayoN ka alam raha,judaai na thi

na apna ranj na auroN ka dukh,na tera malal
sHab`e firaq kabhi hum nay yuN ganwayi na thi

mohabbatoN ka safar is tarha bhi guzra tha
sHikasta dil thay musaafir sHikasta paayi na thi

adawateiN thiN,tagHaful tha,ranjisHeiN thiN
bicHaRhnay walay maiN sab kucH tha,bewafaayi na thi

bicHaRhtay waqt un aankhoN maiN thi humari gHazal
gHazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi

kabhi yeh haal keh donoN maiN yakdili thi bohat
kabhi yeh marhala jaisay keh asHnayi na thi

ajeeb hoti hay rah`e sukHan bhi dekh Naseer
wahaN bhi aa gaye akHir jahaN rasayi na thi

Yeh ishq nahi Aasan bus


Yeh ishq nahi Aasan bs itna samajh lijiye...
Ik Aag ka dariya hai... or Doob k jana Hai...

Tere milne ke liye jab bhi uthaye maine haath


Tere milne ke liye jab bhi uthaye maine haath
Meri Iss masoom khuwaish par Dua roti Rahi

Mehndi unke haathon mein lagado yaaron


Mehndi unke haathon mein lagado yaaron,
Mujhko bhi asal raah dikhado yaaron,

Pehna k mujhko meri hi ghurbat ka kafan,
Un pe surkh joda saja do yaaron,

Naam likh do unka khushiyon ki deewar par,
Mera naam-o-nishaan duniya se mita do yaaron,

Waqt aakhri hai,teri duniya mein is deewane ka,
Ho sake to mere mehboob ko batado yaaron,

Suna hai aaj,uski doli is gali se guzar jaayegi,
Uski doli se pehle is deewane ko duniya se mita do yaaron.

Aansoo Urdu Poetry | Aansoo Ghazal


RooThA ThA JiS GaRoOr Se WoH Bhi Tu YaAd KaR 

AaNkHoUn MAIn TeRi AaJ YeH AaNsOo FaZooL HaIn

Main rootha to wo mana kr chal


Main rootha to wo mana kr chal diya, 
Apne saray Ehsaan b jata kr chal diya, 

Ye such hai k wo Ehd-shikn tha, 
Magar kuch waday b nibha kr chal diya, 

Usay moortiyan banane ka shoq tha bohat, 
Wo mujhko b pathar ka bana kr chal diya, 

Milna na milna NASEEB ki baat hai, 
Wo jate jate ye baat b samjha kr chal diya, 

Apna Lena mere baad kisi aur ko Tum, 
Wo mujh se ye pabandi b hata 'kr chal Diya...

Main Aurat Zaat Thehri Hun


Main Aurat Zaat Thehri Hun,,,,,! 
Mujhy Masjid Nahin Jaa'ez... 


Tum 5 waqt Jaty Ho, 
KHUDA se Mang Lo Mujh Ko!

Bar bar kyun puchtay ho


Bar bar 
Q puchtay ho 'muqam' apna... 

"" 

"ik bar keh jo dia hai, 

Tum "zindgi" ho 
" Meri

Be khawab zindagi ka Paristar kon tha


Be khwab zindagi ka Paristar kn tha ?

Itni udas raat main Bedaar kn tha ?

Ks ko ye fikr thi K mohabbat me kya hwa?

Hum is py larr rhy thy

... wafadaar kon tha ?

100 kashtiyan jala k Chaly sahilon sy hm !

Ab tm ko kya btayein K us paar kon tha ?

Ye faisla tu Waqt b Shayd na kr ske !

Such kon bolta tha,Adakar kon tha ?

Shaheed-E-Mohabbat Na Kafir Na Ghazi


Shaheed-E-Mohabbat Na Kafir Na Ghazi,
Mohabbat Ki Rasmain Na Turki Na Taazi,

Wo Kuch Aur Shay Hai Mohabbat Nahi Hai,
Sikhati Hai Jo Ghaznavi Ko Ayazi,

Ye Johar Ka Agar Farma Nahi Hai,
To Hain Ilm-O-Hikmat Faqt Sheesha Sazi,

Na Mohtaj-E-Sultan Na Maraoob-E-Sultan,
Mohabbat Hai Azadi-O-Be'niyazi,

Mera Fuqar Behtar Hai Sikandari Se,
Ye Adam Gari Hai Wo Aaina Saazi.

Mere Dil Ki Gehrai Ko Koi Smjh Paya Hi Nahi


Mere Dil Ki Gehrai Ko Koi Smjh Paya Hi Nahi.
Kitni Tanha Hu Main.
Koi Jan Paya Hi Nahi.


Kisi Ko Meri B Kami Mehsoos Ho
Shayd Khuda Ne Mujhe Aisa
Bnaya Hi Nahi..

Bay Faida Hai Zeest Mein Ahbaab Ka Hajoom


__Be Faida Hai Zeest Mein Ahbaab Ka Hajoom......! 


__Pur Khaloos Jo Mil Jaye To Ik Shakhs Bohat Hai.......!



ZiNDaGi or USTAD Boht kuch sikhaty hen


ZiNDGi 
or 
USTAD 
Boht kuch sikhaty hen 
farq 
sirf 
itna 
hai 
Ustad 
SABAQ 
de 
kr 
IMTiHAAN 
leta 
hai 
or 
Zindgi 
Imtihan 
ley 
kr 
SABAQ 
deti he.

Dil ajab sheher k jis pr bhi khula dar us ka


Dil ajab sheher k jis pr bhi khula dar us ka,

Woh musaafir issay har samt se barbaad kare,

Ankhon Mein Sama Jao


Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna
Taron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila Karna

Jab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya Hai
Kuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya Hai
Ab Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha Karna

Aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye
Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaye
Baqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa

Kismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki
Har Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat Ki
Aey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna

Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna

Wao

Related Posts with Thumbnails