Mujhe aksar yeh kehti thi


Mujhe aksar yeh kehti thi

Ke itni bar kehte ho,

“Mujhe Tum se Mohabbat hai”

ke ab dil per yeh sunanay se

Asar koi nahi hota

Magar jab aaj danista,

Nahi bola use mein ne

“Mujhe tum se mohabbat hai”
To uski ankh bhar ayee

Main Shehar-e-Fana hoon


Main Shehr-e-Fana hoon, Tere kis kaam ka..
Ek bhujta sa diya hoon, Tere kis kaam ka..

Tuu rafaqat k liye or kisi ko chun le 
Main to khud TANHA hoon,Tere kis kaam ka..

Tuu bhi oro'n ki tarah mujh say kinara kr le......
Saari DUNIYA se bura hoon,Tere kis kaam ka

Tere Badan Se Teri Rooh Tak Nishaan Meray


Kahan Kahan Se Mitaey Ga Khush Gumaan Meray
Teray Badan Se Teri Rooh Tak Nishaan Meray

Kaheen Bhi Jaa K Basaley Tou Bhool Ki Basti
Moheet Hein Teray, Yaadon K Aasmaan Meray

Agar Chay Faasla Dou Chund Kar Liya Tu Ne
Rawaan Dawaan Hein Teri Simt Kaarwaan Meray

Mein Jaon Bhi Tou Kahan, Chorr Kar Teri Galyaan
Tu Kar Gaya Sabhi Rastey Dhuwaan Dhuwaan Meray

Uboor Hotey Nahi, Roz Tou Tay Karta Hoon
Yeh Hijr Faasley, Yeh Hijr-E-Be-Karaan Meray

Hawa K Bairrey Kisi Aur Simt Behtey Hein
Khuley Hein Aur Kisi Simt Baadbaan Meray

Mein Apne Jazbon Ki Shiddat Se Khof Khata Hoon
Keh Dushmano Se Hein Barh Kar, Yeh Meharbaan Meray

Mein Khuwab Zaar Ki Karta Tou Hon Chaman Bandi
Ujaarr Dey Na Koi Aa K Gulistaan Meray

Shagoofey Aagaey Palkon Pe Dard K Aakhir
Chupaa Sakey Na Meray Raaz, Raazdaan Meray……

Mohabbat Ne Kiya Diya Hai Mujhe


Elawah Iss K Mohabbat Ne Kiya Diya Hai Mujhe
Jala K Taiz Hawa Mein Bujha Diya Hai Mujhe

Sitaara Ban K Sulgta Raha Hoon Jis K Liye
Usi Ne Khaak Mein Aa Kar Mila Diya Hai Mujhe

Mein Yaad Rakhta Nahi Hoon Mein Us Ko Yaad Nahi
Mein Bhool Jata Hoon Us Ne Bhula Diya Hai Mujhe

Fana Ka Aakhri Jhonka Guzar Chuka Hai Sahib
K Loh-e-Dil Se Kisi Ne  Mitta Diya Hai Mujhe.....

Mere Hum Sukhan Ka Ye Hukam Tha


Mere Hum Sukhan Ka Ye Hukam Tha,
Ke Kalaaam Us Se Main Km Karun.

Meray Hont Asay Silay Ke Phir.
Meri Chup Ne Us Ko Rulaa Diya...!!!

Jo Dikhai Day Usay Khuwaab Kar


Na Sama’aton Mein Tapish Ghuley
Na Nazar Ko Waqf-E-Azaab Kar
Jo Sunai Day Usay Chup Sikha
Jo Dikhai Day Usay Khuwaab Kar

Abhi Muntashir Na Ho Ajnabi
Na Visaal Rutt K Karam Jata
Jo Teri Talash Mein Ghum Huey
Kabhi Un Dino Ka Hisaab Kar

Meray Sabar Par Koi Ajar Kiun
Meri Dopehar Par Yeh Abar Kiun
Mujhe Orrhney Day Aziyatein
Meri Aadatein Na Kharab Kar

Kaheen Aablo’n K Bha’nwar Bachein
Kaheen Dhoop Roop Badan Sajein
Kabhi Dil Ko Thal Ka Mijaaz Day
Kabhi Chashm-E-Tar Ko Chanaab Day

Yeh Hujoom-E-Shehr-E-Sitam Garaan
Na Suney Ga Teri Sada Kabhi
Meri Hasraton Ko Sukhan Suna
Meri Khuwahishon Se Khitaab Kar

Yeh Juloos-E-Fasl-E-Bahaar Hai
Tehi Dast-E-Yaar Saja Issay
Koi Ashk Phir Se Sharar Bana
Koi Zakhm Phir Se Gulaab Kar….

Tere Naaz Se Utha...!!!


Mitti Tha Main Khameer Teray Naaz Se Utha
Phir Haft Aasmaan Meri Parwaaz Se Utha

Insaan Ho, Kisi Bhi Sadi Ka, Kaheen Ka Ho
Yeh Jab Utha Zameer Ki Aawaaz Se Utha

Subah-E-Chaman Mein Aik Yehi Aaftaab Tha
Iss Aadmi Ki Laash Ko Aizaaz Se Utha

So Kartabon Se Likha Gaya Aik Aik Lafz
Lekin Yeh Jab Utha Kisi Ejaaz Se Utha

Ay Sheh-Sawaar-E-Husn Yeh Dil Hai Yeh Mera Dil
Yeh Teri Sar-Zameen Hai , Qadam Naaz Se Utha

Mein Pooch Loon K Kia Hai Mera Jabr-O-Ikhtiyar
Ya Rab Yeh Mas'ala Kabhi Aaghaaz Se Utha

Woh Abr Shabnami Tha K Nehla Gaya Wujood
Mein Khuwaab Dekhta Huwa Alfaaz Se Utha

Shaair Ki Aankh Ka Woh Sitara Huwa Aleem
Qaamat Mein Jo Qayamti Andaaz Se Utha.....

Usay Hum Yaad Aain gay


Sitara Jab Kab Toota Usy Hum Yaad Aain gay,,
Kisi se sath Jab Choota Usy Hum Yaad Aain gay..

Abhi Tw Urr Raha Hai Who Nayi Chahat ky Par Le Kar,,
Jo Us ka Par Kabhi Toota Usy Hum Yaad Aain gay..

Usy Jis pr Yaqeen Hai Aaj tw Eman ki Had tak,,
Wohi Naikla Jo Kal Jhoota Usy Hum Yaad Aain gay..

Us ky Ashk Palkon Se Chuny Ga kon Phir Jany??
Kisi se Who Kabhi Rootha Usy Hum Yaad Aain gay..

Muhabat Ky Safar Mian Har Koi Mukhlis Nahin Milta,,
Kisi Rah-Zan Ny Jab Loota Usy Hum Yaad Aain gay..

Tera Khayal Tha Jis Ko


Dhanak Nichorr K Khursheed Mein Mila Di Hai
Barhana Dhoop Ko Yun Ik Nai Qaba Di Hai

Woh Khush Faraib Meri Umar Roz Chaat'ta Hai
Usi Ne Aatish-E-Pinhaan Ko Phir Hawa Di Hai

Bus Ik Khuwab Liye Darbadar Phira Barson
Bus Aik Khuwab K Nashey Mein Sab Bita Di Hai

Woh Jis Se Jaib-O-Garaibaan Ki Sari Ronaq Thi
Woh Raigaari Kaheen Raah Mein Ganwadi Hai

Koi Safar Hai Na Rasta Na Koi Manzil Hai
Faseel Kis Ne Merey Gird Yeh Utha Di Hai

Jo Merey Hath Na Aaya Kabhi, Usi K Liye
Daron-E-Shehr-E-Hawa Zindagi Bana Di Hai

Yeh Koi Raat Nahi Hai Na Yeh Andhera Hai
Bus Aik Chadar-E-Gham Dasht Mein Bicha Di Hai

Hamarey Samne Mehboob Zindagi Kab Thi
Tera Khayal Tha Jis Ko Faqat Sada Di Hai ........ .

Kuch Log Bhi Wehmon Mein


Kuch Log Bhi Wehmon Mein Giraftaar Bohat Hein
Kuch Shehar Ki Galyaan Bhi Pur-Asraar Bohat Hein

Hai Kon , Utarta Hai Wahan Jis K Liye Chaand
Kehne Ko Tou Chehrey Pas-E-Diwaar Bohat Hein

Honton Pe Sulagtey Huey Inkaar Pe Mat Jaa
Palko’n Se Parey Bheegtey Iqraar Bohat Hein

Yeh Dhoop Ki Sazish Hai Ke’h Mosam Ki Shararat
Saey Hai Wahan Kam,  Jahan Ashjaar Bohat Hein

Be Harf Talab Un Ko Ataa Kar Kabhi Khud Se
Woh Yun K Sawali Teray Khuddaar Bohat Hein

Tum Munsif-O-Adil He Sahi Shehar Mein Lekin
Kiun Khoon Chhee’ntey  Sar-E-Dastaar Bohat Hein

Ay Hijar Ki Basti  Tu Salamat Rahey Lekin
Sunsaan Terey Koocha-O-Bazaar Bohat Hein

Mohsin Hamein Zid Hai Keh Ho Andaz-E-Bayaan Aur
Hum Log Bhi Galib K Tarafdaar Bohat Hein…….

Mujhe khuda pe yaqeen hai...!!!


Khud Apne Saey Pe Bar-E-Giraan Thay Hum Jaisay
Khula Keh Shehar Mein Bus Raaigaan Thay Hum Jaisay

Hami Se Shab K Andheray Lipat K Soey Thay
Khuli Jo Dhoop Tou Khud Be-Imaan Thay Hum Jaisay

Zameen K Tan Pe Hamarey Lahoo Ki Chadar Thi
Khud Apni Zaat Mein Ik Aasmaan Thay Hum Jaisay

Hamarey Paaon Taley Mouj Marta Tha Furaat
Yeh Aur Baat Ke'h Tishna Dehaan Thay Hum Jaisay

Yeh Takht-O-Taaj Rahey Apni Thokaron Mein Sada
Ke'h Sarfaraz-E- Saleeb-O-Sanaa'n Thay Hum Jaisay


Hamarey Dil Mein Utarti Thi Aafatein Mohsin
Azal Se Shehar Mein Khali Makaan Thay Hum Jaisay...

Dashat-E-Khayal


Jo Buland Baam-E-Huroof Se, Jo Paray Hai Dasht-E-Khayal Se
Woh Kabhi Kabhi Mujhe Jhankta Hai Ghazal K Shehr-E-Jamal Se

Mein Karon Tou Sajda Kis Taraf Keh Mera Woh Qibla-E-Deed Tou
Kabhi Shirq-O-Girb Se Jalwa Gar Hai, Kabhi Junoob-O-Shumaal Se

Abhi Raat Baqi Hai Qissa Khuwaa'n, Wohi Qissa Phir Se Bayaan Kar
Jo Raqam Hua Tha Kiran Kiran, Kisi Chaand Rukh K Visaal Se

Mein Jahan Bhi Tha Teray Husn K Kisi Zaaviye Ka Aseer Tha
Mein Tou Aik Pal Bhi Nikal Saka Na Kabhi Moheet-E-Jamal Se

Kabhi Tujhko Khud Mein Samo'n K Mein Likhon Chahaton K Mukalmay
Kabhi Naam Apna Nikaal Koon Teray Naam Ki Kisi Faal Se

Jo Teray Khayal Ko Jawadaa'n, Jo Meray Sukhan Ko Amar Karey
Wahi Aik Lamha Taraash Loon Teray Hijar K M    Saal Se

Meri Umar Saari Guzar Gai Hai Rasheed Jis K Tawaaf Mein
Bharay Shehar Mein Wohi Aik Shakhs Hai Be Khabar Meray Haal Se...

Wao

Related Posts with Thumbnails