Teri Mohabbat...!!!


Kam Sukhan Hain Pas-E-Izhaar Miley Hain Tujh Se
Milna Yeh Hai Tou Kaiee Baar Milay Hain  Tujh Se

Jantey Hain Keh Nahi Sehal Mohabbat Karna
Yeh Tou Aik Zid Mein Meray Yaar Miley Hain Tujh Se

Taiz Raftariy-E-Dunya Kahan Mohlat Day Gi
Hum Sar-E-Garmiy-E-Bazaar Miley Hain Tujh Se

Kabhi Latey Thay Teray Wastey Jo Shkah-E-Gulaab
Woh Bhi Ab Kheench Ke Talwaar Miley Hain Tujh Se

Teray Milney Se Uneh Rok Saka Hai Koi
Milney Waley Tou Sar-E-Daar Miley Hain Tujh Se

Kheench Lati Hai Hamein Teri Mohabbat Warna
Aakhri Baar Kaiee Baar  Miley Hain Tujh Se.......

Aasmano Pe Likha Drama Full Song Download with Lyrics


Hum tujy ek pal bhool na jain
Soty huay be khayal tera
Hum ny kabi jo ankhain kholi
tuje mein khudi ko dekha pheli dafa
Eik payas hai ek dard hai
Bin tere na tery bina
Tera sath be tera naam be
Asmanoon pay hai likha
Asmanoon pay hai likha
Asmanoon pay hai likha

Na karun shikwaa
Apny khuda se
Jo be hua naseeb mera
Mere qadam jo pani per theen
Jany mein kasy par laga
Hain dooriyaaan majboriyaan
Bin tere na tery bina
Tera sath be tera naam be
Asmanoon pay hai likha
Asmanoon pay hai likha
Asmanoon pay hai likha...!!!

Lag Ja Gale Ke Phir Ye....


Lag Ja Gale Ke Phir Ye Hasin Raat Ho Na Ho
Shaayad Phir Is Janam Men Mulaaqaat Ho Na Ho

Ham Ko Mili Hain Aaj, Ye Ghadiyaan Nasib Se
Ji Bhar Ke Dekh Lijiye Ham Ko Qarib Se

Phir Aap Ke Nasib Men Ye Baat Ho Na Ho
Phir Is Janam Men Mulaaqaat Ho Na Ho

Paas Aaiye Ke Ham Nahin Aaenge Baar-Baar
Baahen Gale Men Daal Ke Ham Ro Le Zaar-Zaar

Aankhon Se Phir Ye Pyaar Ki Barasaat Ho Na Ho
Shaayad Phir Is Janam Men Mulaaqaat Ho Na Ho

Shaayad Phir Is Janam Men Mulaaqaat Ho Na Ho
Lag Ja Gale Ki Phir Ye Hassin Raat Ho Na Ho

Woh Rut Bhi Aae Ke Main Phool Ki Sahaili Hui


Woh Rut Bhi Aae K Mein Phool Ki Sahaili Hui
Mehak Mein Champa Kali, Roop Mein Chanbeli Hui

Woh Sard Raat Ki Barkha Se Kiun Na Piyar Karon
Yeh Rut Tou Hai Merey Bachpan K Sath Khaili Hui

Zameen Pe Paaon Nahi Parr Rahey Takabbur Se
Nigar-E-Gham Koi Dulhan Nai Nawaili Hui

Woh Chaand Ban K Merey Sath Sath Chalta Raha
Mein Us K Hijar Ki Raton Mein Kab Akaili Hui

Jo Harf Sada'h Ki Soorat Hamesha Likhi Gai
Woh Larrki Teray Liye Kis Tarha Paheli Hui...

Ek khwaab musalsal aata hai


Ek khwaab musalsal aata hai,
Tera chehra roop sajata hai. !

Phoolon pe bhanwre ki maanind,
Mere dil ko woh behlaata hai. !

Aankhon ke surmai rangon se,
Mere mann ko raah dikhata hai. !

Dhadkano ke sur aur sargam se,
Woh mujh ko geet sunaata hai. !

Chaand se le kar husn ki sougaat,
Mujhe neend se woh jagaata hai. !

Apni saanson ki dheemi aanch pe,
Mere tann ko woh sulgaata hai. !

Ek khwaab musalsal aata hai,
Tera chehra roop sajaata hai …!!

Waqt Guzar Jata Hai..


Apna toh ye soch kar waqt guzar jata hai,
Kyon door jane ke liye koi kareeb aata hai.?

Woh jaane kaise apne dil se mujhe bhoola baitha,
Main gar bhoolna chaahun toh bhoola bhi yaad aata hai.

Tab nikharti hai kahin zindagi ki asli soorat,
Ashq jab aap ke daaman pe bikhar jata hai.

Tadap tadap ke tujhe ta’umar yaad karta rahun,
Kuchh aur de na zakhm toh bhar jata hai.

Yun toh main khud bhi tujh par tawajoh nahin deta,
Mera zehan hai ki har baar udhar jata hai.

Beshaq bahaar sooni sooni si lagti hai,
Bulbul ke chale jane se kya baagh ujad jata hai. !!

Wohi Qissay Hain Wohi Baat Purani Apni


Wohi Qissay Hain Wohi Baat Purani Apni
Kon Suntan Hai Bhala Raam Kahani Apni

Har Sitamgar Ko Yeh Hamdard Samajh Leti Hai
Kitni Khush Feham Hai Kambakht Jawani Apni

Roz Miltey Hein Dareechay Mein Naey Phool Khiley
Chorr Jata Hai Koi Roz Nishani Apni

Tujhse Bichrrey Hein Tou Paya Hai Bayabaa’n Ka Sakoot
Warna Daryao’n Se Milti Thi Rawani Apni

Qeht-E-Pindaar Ka Mosam Hai Sunehray Logo
Kuch Taiz Karo Ab K Giraani Apni

Dushmano Se He Ab  Gham-E-Dil Ka Madava Mangey
Doston Ne Tou Koi Baat Na Maani Apni

Aaj Phir Chaand Ufaq Par Nahi Ubhra Mohsin
Aaj Phir Raat Na Guzrey Gi Suhani Apni..........

Miley Hain Baad Muddat Ke


Miley Hain Baad Muddat K , Bala K Sard Hein Lehjay
K Jalna Bhi Nahi Mumkin, Pighalna Bhi Nahi Mumkin

Ta’alluq Toot Janey Se , Umeedein Toot Jati Hein
Dilo’n Mein Hasratein Lay Kar, Behalna Bhi Nahi Mumkin

Bohat Nakamiyan Lay Kar , Hoey Hein Khaak K Qaidi
Chalo Ab Aaj Se Ghar Se, Nikalna Bhi Nahi Mumkin

Usay Itna Na Socha Kar, Teri Aadat Na Bun Jaey
Phir Aisi Aadatei’n Mohsin , Badalna Bhi Nahi Mumkin..

Zulf-o-Rukh K Saaey Mein Zindagi Guzari....


Zulf-o-Rukh K Saaey Mein Zindagi Guzari Hai
Dhoop Bhi Hamri Hai Chhaou’n Bhi Hamri Hai

Gham Gusaar Chehron Par Aitbaar Mat Karna
Shehar Mein Siyasat K Dost Bhi Shikaari Hai

Morr Lainey Wali Hai Zindagi Koi Shayad
Ab K Phir Hawaoun Mein Aik Beqarari Hai

Haal Khoo'n Mein Dooba Hai Kal Na Janey Kia Hoga
Ab Yeh Khof-e-Mustaqbil Zehan Zehan Taari Hai

Meray He Buzargo’n Ne Sar Bulandiyan Bakhshi’n
Meray He Qabeelay Par Mashq-e-Sang-e-Baari Hai

Ik Ajeeb Thandak Hai Us K Narm Lehjay Mein
Lafz Lafz Shabnum Hai Baat Baat Piyari Hai

Kuch Tou Paein Gay Us Ki Qurbaton Ka Khumyaza’h
Dil Tou Ho Chukey Tukrrey Ab Saro’n Ki Baari Hai

Baap Bojh Dhota Tha Kia Jahaiz De Paata
Iss Liye Woh Shehzadi Aaj Tak Kanwari Hai

Keh Do Meer-o-Galib Se Hum Bhi She’ar Kehtay Hein
Woh Sadi Tumhari Thi Yeh Sadi Hamari Hai

Karbala Nahi Lekin Jhoot Aur Sadaqat Mein
Kal Bhi Jung Jaari Thi Aaj Bhi Jung Jaari Hai

Gaao’n Mein Mohabbat Ki Rasm Hai Abhi Manzar
Shehar Mein Hamarey Tou  Jo Bhi Hai Madaari Hai….

Ojhal Sahi Nigah Se Dooba Nahi Hoon Main


Oojhal Sahi Nigaho Se,Dooba Nai Hon Men, 
Ae Raat khabardar k Hara Nai Hon Men, 

Darpesh Subh-o-Sham Yehi kash'makash Hy Ab, 
Us Ka Banoon Main Kesy, K Apna Nai Hon Me, 

Mujh Ko Farishta Hony Ka Dawa Nai Mgr, 
Jitna Bura Samjhty Ho Utna Nai Hon Me, 

Iss Tarha Phair Phair K Batein Na kejiye, 
Lehjay ka Rukh Samjhta Hon Bacha Nai Hon Me, 

Mumkin Nai Hay Mujh Se Ye Tarz-e-Munafqat, 
Duniya Tery Mizaaj Ka Banda Nai Hon Me..

Abhi Waqt Hai , Abhi Saans Hai


Abhi Waqt Hai , Abhi Saans Hai
Abhi Lout Aa Mere Ghumshuda
Mujhe Naaz Hai Mere Zabt Par
Mujhe Phir Rula Mere Ghumshuda

Yeh Nahi K tere Firaaq Men
Men Ujarr Gaya Ya Bikhar Gaya
Haan Mohabbaton Pe Jo Maan Tha
Who Nahi Raha Mere Ghumshuda

Mujhe Ilm Hai K Tu Chaand Hai
Kisi Aur Ka,  Magar Aik Pal
Mere Aasman-e-Hayaat Pe
Zara Muskura Mere Ghumshuda

Tere Altafaat Ki Barishen
Jo Meri Nahi Tou Bata Mujhe
Tere Dasht-e-Chah Men Kis Liye
Mera Dil Jala  Mere Ghumshuda

Ghanay Jangalon Men Ghira Hoon Men
Barra Ghup Andhera Hay Chaar Soo
Koi Ik Charaag Tou Jal Uthay
Zara Muskura  Mere Ghumshuda………

Mohabbat Mein Waafadari....


Muhabbat mein wafaadaari se bachiye
JahaaN tak ho adaakaari se bachiye

Har ek soorat bhali lagti hai kuchh din
Lahoo ki sho’bdaa-kaari se bachiye

Sharaafat, aadmiyat, dard – mandi !!
BaRe shahroN mein bimaari se bachiye

Zaroori kya har ek mehfil mein aana
Takalluf ki rawaadaari se bachiye

Bina pairoN ke sar chalte nahi hain
BuzurgoN ki samajhdaari se bachiye

Ghubaar-e-tab mein thori bohut.....


Ghubaar-e-tab mein thoRi bohut kami ho jaye
Tumhaara naam bhi sun lun to roushni ho jaye

Zara khayaal karo! waqt kis Qadar kam hai
MaiN jo Qadam bhi uThaluN woh aakhri ho jaye

QaymaateiN to hameshaa guzartii rahtii haiN
‘azaab us ke liye jis ko aa-gahee ho jaye

Guzar rahe haiN mere raat din laRaayii meiN
MaiN sochta huN K mujh ko shikast hi ho jaye

Ajeeb shaksh hai! tabdeeel hi nahii hotaa!
Jo us ke saath rahe chand din, wohii ho jaye

Meraa naseeb kinaaraa ho yaa samundar ho
Jo hogayii hai to lahroN se dushmani ho jaye

Tamaam umr to doori mein kaT gayi merii!!
Na jaane kya ho? agar uss se dosti ho jaye

Bus aek waqt mein saari balaayeiN TooT paRiN
Agar safar ye kaThin hai to raat bhi ho jaye

MaiN so na jauN, jo aasaaniyaaN muyassar hoN
MaiN mar na jauN, agar khatm tishnagi ho jaye

Nahi zaroor, K ooNchii ho aasmaanoN se!!
Yehi bahut hai zamiiN paoN par khaRi ho jaye

Tamaam umr simaT aayi hai ek lamhay meiN
MaiN chahta hun K hona hai jo abhi ho jaye

Wohi huN maiN! wohi imkaN ke khel haiN Shahzad
Kabhi feraar bhi mumkin na ho, kabhi ho jaye

Mere Honton Pay Duaon Ki Lakeerein...


Meray Honton Pay Duaon Ki Lakeerein Roshan
Meray Seenay Mein Sabhi Sa'atein Ilhaam Ki Hein

Meri Dukhti Hui Aankhon Mein Magar Aajki Shaam
 Jitni Shamein Bhi Ferozaan Hein Teray Naam Ki Hein..

Main Dhoondne Ko Zamaane Mein Lyrics – Heartless


Aa ha.. aa.. ha.. 
Aa ha.. aa...

Main dhoondne ko zamane me jab wafa nikla
Main dhoondne ko zamane me jab wafa nikla
Pata chala ke ghalat leke main pata nikla
Pata chala ke ghalat leke main pata nikla
Main dhoondne ko zamane me jab wafa nikla
Main dhoondne ko zamane me jab wafa nikla

Aa.. Aa.. ha.. aa.. ha.. 
Aa.. ha.. aa...

Jiske aane se muqammal ho gayi thi zindagi
Dastakein khushiyon ne di thi,
Mit gayi thi har kami
Kyun bewajah di yeh saza
Kyun khwaab de ke woh le gayaa
Jiyein jo hum lage sitam
Azaab aise woh de gayaa
Main dhoondne ko uske dil me jo Khuda nikla
Main dhoondne ko uske dil me jo Khuda nikla
Pataa chala ke ghalat leke main pata nikla
Pataa chala ke galat leke main pata nikla
Main dhoondne ko zamane me jab wafa nikla
Main dhoondne ko zamane me jab wafa nikla aa...

Aa ha.. aa.. aaha.. 
Aaha.. aa...

Dhoondta tha ek pal me dil jise ye sau dafaa
Hai subah naraz us bin roothi shaame din khafa
Woh aayein na, le jaayein na
Haan uski yaadein jo yahaan
Na raasta, na kuchh pataa
Main usko dhoondhunga ab kahaan
Main dhoondne jo kabhi jeene ki wajah nikla
Main dhoondne jo kabhi jeene ki wajah nikla
Pata chala ke ghalat leke main pata nikla
Pata chala ke ghalat leke main pata nikla
Main dhoondne ko zamane mein jab wafa nikla
Main dhoondne ko zamane mein jab wafa nikla aa..

aa... o... aa....
Woah..... hey aye ayee ye...

Pairr Ko Deemak Lag Jaey Ya....


Pairr Ko Deemak Lag Jaey Ya, Aadam Zaad Ko Gham
Dono He Ko Amjad Hum Ne, Bachtay Dekha Kum

Tareeki  K Hath Pay, Beyat Karne Walon Ka
Sooraj Ki Bus Aik Kiran Se Ghut Jata Hai Dum

Rango Ko Kalyon Mein Jeena Kon Sikhata Hai
Shabnam Kese Rukna  Seekhi, Titli Kese Rum

Aankhon Mein Yeh Palnay Waley Khuwab Na Bujhne Paen
Dil K Chaand Charaag Ki Dekho, Lou Na Ho Madham

Hans Parta Hai Bohat Ziyada Gham Mein Bhi Insaan
Bohat Khushi Se Bhi Tou Aankhein Ho Jati Hein Num..

Dabi Dabi Si Woh ... ...


Dabi Dabi Si Woh Muskurahat
Labo’n Pay Apnay Saja Saja K
Wo Naram Lehjay Main Baat Karna
Adab Say Nazrein Jhuka Jhuka K

Woh Aankh Teri Shararti Si
Woh Zulf Mathay Pay Naachti Si
Nazar Hatay Na Aik Pall Bhi
Main Thak Gaya Hun Hata Hata K
Woh Tera Hatho'n Ki Ungliyon Ko
Mila K Zulfo'n Main Kho Sa Jana
Haya K Chehray Pay Phir Sajana
Phool Sa Chehra Khila Khila K

Woh Hath Hooron K Ghar Hon Jaisay
Woh Paaon Paryoun K Par Hon Jaisay
Nahi Hai Teri Misaal Jana
Main Thak Gaya Hoon Bata Bata K … … 

Khizaan Ke Janey Se Ho Ya Bahaar....


Khizaan K Janey Se Ho Ya Bahaar Aaney Se
Chaman Mein Phool Khilein Gay Kisi Bahaney Se

Woh Dekhta Rahey Murr Murr K Sooey Dar Kab Tak
Jo Karwatein Bhi Badalta Nahi Thikaney Se

Ugal Na Sang-E-Malamat Khuda Se Dar Naseh
Milay Ga Kia Tujhe Sheeshon K Toot Janey Se

Zamana Aap Ka Hai Aur Aap Iss K Hein
Larraiee Mol Lein Hum Muft Kiun Zamaney Se

Khuda Ka Shukar  Sawairey Se He Aagaya Qasid
Mein Bach Gaya Shab-E-Furqat K Naaz Uthaney Se

Mein Kuch Kahon Na Kahon Keh Rahi Hai Khaak-E-Jabee'n
Keh Is Jabee'n Ko Hai Nisbat Ik Aastaney Se

Qayamat Aaey  Qayamat Se Mein Nahi Darta
Utha Tou Dey Koi Parda Kisi Bahaney Se

Khabar Bhi Hai Tujhe Aaiena Daikhney Walay
Kahan Gaya Hai Dupatta Sarak K Shaaney Se

Yeh Zindagi Bhi Koi Zindagi Hui Bismil
Na Ro Sakey Na Kabhi Hans Sakey Thikaney Se....

Bechain Bohat Phirna


Bechain Bohat Phirna Ghabraey Huey Rehna
Ik Aag Si Jazbo'n Mein Dehkaaey Huey Rehna

Chhalkaey Huey Chalna Khushbu Lab-e-Lalein Ki
Ik Baag Sa Sath Apne Mekaaey Huey Rehna

Is Husan Ka Sheva Hai Jab Ishq Nazar Aaey
Pardey Mein Chalay Jana , Sahrmaey Huey Rehna

Ik Shaam Si Kar Rakhna Kajal K Karishmey Say
Ik Chaand Sa Aankhon Mein Chamkaaey Huey Rehna

Aadat He Bana Li Hai Tum Ne Tou Munir Apni
Jis Shehar Mein Bhi Rehna Uktaaey Huey Rehna .....

Chahat Ko Hum Ne Uski Nishani


Chahat Ko Hum Ne Uski Nishani Samajh Liya
Woh Tou Saraab Tha Jisay Pani Samajh Liya

Us Ne Kaha Keh Sara Jahan Hai Mera Wujood
Aur Hum Ne Is Jahaan Ko Faani Samajh Liya

Guzri Jo Dil Pay Woh Bhi Qayamat Thi Baa Khuda
Aur Tum Ne Is Ko Aik Kahani Samajh Liya

Khushbu Ko Hum Ne Jaar Mein Qaidi Bana Liya
Saanpon Ne Usko Raat Ki Rani Samajh Liya

Samaan Mout Ka Bhi Woh Laaie Hai Apne Sath
Phoolon Ne Jis Ko Apni Jawani Samajh Liya

Uska Mijaaz Jheel Ki Soorat , Parra Raha
Darya Ki, Jis Ko Hum Ne Rawani Samajh Liya

Us Ne Abhi Abhi Kaha Tou Kaha Tha Hamein Batool
Aur Hum Ne Usko Yaad Purani Samajh Liya..........

Kashmir Urdu Poetry


یاران جہاں کہتے ہیں کشمیر ہے جنت
جنت کسی کافر کو ملی ہے نا ملے گی ۔

  Yaaran-e-Jahan Kehtay Hein Kashmir Hai Jannat
    Jannat Kisi Kafir Ko Mili Hai Na Milay Gi ..

Kashmir Day Poetry


تم نے اجڑی ہوئی جنت کو نہ دیکھا ہو تو
.. آ مرے اجڑے ہوئے بکھرے  ہوئے کشمیر کو دیکھ    

Tum Ne Ujri Hui Jannat Ko Na Daikha Ho Tou
   Aa Meray Ujrrey Huey Bikhrey Huey KASHMIR Ko Daikh…

Chorr Dainey Se Na Inkaar Se


Chorr Dainey Se Na Inkaar Se Kam Hota Hai
Runj Tou Runj K Izhaar Se Kam Hota Hai

Yeh Andhera Jo Meray Charon Taraf Phaila Hai
Sirf Us Shola-E-Rukhsaar Se Kam Hota Hai

Sunni Hoti Hai Mujhe Zam Zamah Aasar-E-Awaaz
Bolna Bhi Tou Mujhe Yaar Se Kam Hota Hai

Is Liye Chorr K Sab Kaam Teri Simt Aaon
Dard Dil Ka Teray Deedaar Se Kam Hota Hai

Maal-O-Dolat Bhi Nahi Aisi Buri Shay Koi
Runj Kuch  Dirham-O-Dinaar Se Kam Hota Hai

Konsi Cheez Hai Dihaat Mein Milti Nahi Jo
Narkh Bhi Shahar K Bazar Se Kam Hota Hai

Baat Karne K Liye Koi Tou Hota Hai Haneef
Khof Kuch Tou Dar-O-Diwaar Se Kam Hota Hai...

Har Aik Baat Pay Kehtey Ho


Har Aik Baat Pay Kehtey Ho K Tum Keh  Tu Kia Hai
Tumhi  Kaho  Keh Yeh Andaz-e-Guftugoo  Kia  Hai

Na Sholay Mein Yeh Karishma Na Barq Mein Yeh Adaa
Koi Batao Keh Woh Shokh-e-Tand Khoo Kia Hai

Yeh Rashk Hai Keh Woh Hota Hai Hum Sukhan Tum Se
Wagarna Khof-e-Bad Aamzo-e-Adoo Kia Hai

Chipak Raha Hai Bdan Par Lahoo Se Pairahan
Hamari Jaib Ko Ab Hajat-e-rafoo Kia Hai

Jala Hai Jism Jahan Dil Bhi Jal Gaya Hoga
Kuraidtey Ho Jo Ab Raakh Justujoo Kia Hai

Ragon Mein Dorrtey Phirney K Hum Nahi Qayal
Jo Aankh Se He Na Tapka Tou Phir Lahoo Kia Hai

Woh Cheez Jis K Liye Hum Ko Behasht Azeez
Siwaey Bada-e-Gulfaam Mushkboo Kia Hai

Piyon Sharaab Agar Kham Bhi Dekh Loon Do Chaar
Yeh Sheesha-o-Qadah-O-Kooza-O-Saboo Kia Hai

Rahi Na Taqat-e-Guftaar Aur Agar Bhi Ho
Tou Kis Umeed Par Kahieye Keh Aarzoo Kia Hai

Hua Hai Shay Ka Masahib Phiray Hai Itrata
Wagarna Shehar Mein Galib Ki Aabroo Kia Hai….

Bana Hua Hai Lakeeron Ka....


Bana Hua Hai Lakeeron Ka Jaal Hathon Mein
Naseeb Daal Raha Hai Dhmaal Hathon Mein

Sawal Rond Rahey Hein Merey Jawabon Ko
Jawab Lay K Kharray Hein Sawaal Hathon Mein

Phir Us K Baad Hathon Ko Apne Choomu Ga
Basa Raha Hoon Teray Khad-O-Khaal Hathon Mein

Kisi Ki Kooza Gari Ka Kamal Kuch Bhi Nahi
Dikha Rahey Hein Yeh Koozay Kamaal Hathon Mein

Saja Liya Hai Tumhara Azaab Mathay Par
Chhupa Liye Hein Tumharey Wabaal Hathon Mein

Woh Aik Lums-E-Guraizaan Faraib Tha So Tha
Kia Hai Us Ne Abhi Intaqaal Hathon Mein....

Wao

Related Posts with Thumbnails