Zara Aankh Tou Mila


Ay Husan-e-Lala  Faam Zara Aankh Tou Mila
Khaali Paday Hain Jaam Zara Aankh Tou Mila

Kehte Hain Aankh Aankh Se Milna Hai Bandagi
Dunya K Chorr Kaam Zara Aankh Tou Mila

Kia Woh Naa Aaj Aaengay Taaron K Sath Sath?
Tanhaieyon Ki Shaam Zara Aankh Tou Mila

Saqi Mujhe Bhi Chaheye ik jaam-e-Aarzoo
Kitney Lagein Gay Daam Zara Aankh Tou Mila

Yeh Jaam, Yeh Sabu, Yeh Tasawwur Ki Chaandni
Saaqi Kahan Madaam Zara Aankh Tou Mila

Ajaega Yaqeen-e-Khuda Sab Ko Yak Ba Yak
Lay K Khuda Ka Naam Zara Aankh Tou Mila

Pamaal Ho Na Jey Sitaron Ki Aabroo
Ay Mere Khush Kharaam Zara Aankh Tou Mila

Hain Raah-e-Kehkashaan Mein Azal Se Kharray Huey
Sagar Teray Ghulaam Zara Aankh Tou Mila..........

Wahan Ki Roshniyon Ne Bhi


Wahan Ki Roshniyon Ne Bhi Zulm Dhaaey Bohat
Mein Us Gali Mein Akela Tha Aur Saaey Bohat

Kisi K Sar Pe Kabhi Toot Kar Gira He Nahi
Us Aasman Ne Hawa Mein Qadam Jamaaey Bohat

Na Janey Rut Ka Tasarruf Tha Ya Nazar Ka Faraib
Kali Wahi Thi Magar Rung Jhilmilaey Bohat

Hawa Ka Rukh He Achanak Badal Gaya Warna
Mehak K Qafley Sehra Ki Simt Aaey Bohat

Yeh Kainat Hai Meri He Khhak Ka Zaara'h
Mein Apne Dasht Se Guzra Tou Bhaid Paaey Bohat

Jo Motiyon Ki Talab Ne Bohat Udas Kia
Tou Hum Bhi Raah Se Kankar Smait Laaey Bohat

Bus Aik Raat Theharna Hai Kia Gila  Kijiye
Musafiron Ko Ganimat Hai Yeh Saraey Bohat

Jami Rahey Gi Nigahon Pay Tairgi Din Bhar
Keh Raat Khuwab Mein Taray Utar K Aaaey Bohat

Shakeeb Kesi Urraan , Ab Woh Par He Toot Gaey
Keh Zair-e-Daam Jab Aaey Thay, Pharr-Pharraey Bohat....

Aaj Saqi Sharaab Rehney Do


Aaj Saqi Sharaab Rehney Do
Tishnagi K Azaab Rehney Do

Poonch Daalo Na Aankh Se Kajal
Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehney Do

Tum Sanwaro’n Apni Zulfo’n Ko
Meri Halat Kharaab Rehney Do

Chaand Badal Mein Acha Lagta Hai
Apne Rukh Pe Naqaab Rehney Do

Un K Chehrey Ki Baat Ho Jaey
Aaj Zikr-e-Gulaab Rehney Do

Un Ki Chokhat Ko Choom Lo Mohsin
Baqi Saray Sawaab Rehney Do……….

Jab Tak Gham-e-Jahaan K Hawaley Huey Nahi


Jab Tak Gham-e-Jahaan K Hawaley Huey Nahi
Hum Zindagi K Janney Walay Huey Nahi

Kehta Hai Aftaab Zara Daikhna Keh Hum
Doobay Thay Gehri Raat Mein, Kalay Huey Nahi

Chaltey Ho Seena Taan K Dharti Pe Kis Liye
Tum Aasman Tou Sar Pe Sanbhaley Huey Nahi

Anmol Woh Gohar Hein Jahan Ki Nigaah Mein
Darya Ki Jo Tehon Se Nikaley Huey Nahi

Tay Ki Hai Hum Ne Soorat-e-Mehtab Rah-e-Shab
Tool-e-Safar Se Paaon Mein Chhaley Huey Nahi

Dus Lein tou In K Zehar ka Aasan Hai Utaar
Yeh Saanp Aasteen K paley Huey Nahi

Teeshay Ka Kaam Raisha-e-Gul Se Liya Shakeeb
Hum Se Pahaarr Kaatney Walay Huey Nahi...

Sada Tak Nahi Aati


Kia Kaheiye Keh Ab Uski Sada Tak Nahi Aati
Oonchi Hon Faseelein Tou Hawa Tak Nahi Aati

Shayad He Koi Aa Sakay Is Morr Se Aagay
Is Morr Se Aagay Tou Qaza Tak Nahi Aati

Woh Gul Na Rahey Nikbat-e-Gul Khaak Milay Gi
Yeh Soch K Gulshan Mein Saba Tak Nahi Aati

Is Shor-e-Talatum Mein Koi Kis Ko Pukarey
Kaano Mein Yahan Apni Sada Tak Nahi Aati

Khuddaar Hoon Kiun Aaon Dar-e-Abl-e-Karam Par
Khailti Kabhi Khud Chal Kar Ghata Tak Nahi Aati

Us Dasht Mein pairron K Nishaan Dhoond Rahey Ho
Pairron Se Jahan Chhan K Ziya Tak Nahi Aati

Ya Jati Hui Mujh Se Lipat Jati Thi Shakhein
Ya Meray Bulaney Se Saba Tak Nahi Aati

Kia Khushk Hua Sroshniyon Ka Woh Samandar
Ab Koi Kiran Aabla Paa Tak Nahi Aati

Chhup Chhup K Sada Jhankti Hai Khalwat-e-Gul Mein
Mehtaab Ki Kirno Ko Haya Tak Nahi Aati

Yeh Kon Bataey Adam Abaad Hai Kaisa
Tooti Hui Qabron Se Sada Tak Nahi Aati

Behtar Hai Palat Jao Siyah Khan-e-Gham Se
Is Ghupa Mein Tou Hawa Tak Nahi Aati…………..

Mujh Pe Kyun Is Tarha Se Hansta Hai


Mujh Pe Kyun Is Tarha Se Hansta Hai
Dil Badi Mushkilon Se Basta Hai

Meray Gaaon K Ghar Hain Sab Kachay
Aray Badal Kahan Barasta Hai

Jo Kabhi Lout Kar Nahi Aaey
Un Se Milney Ko Dil Tarasta Hai

Aashqi Ka Muqaam Kia Hoga
Jahan ulfat Ka Daam Sasta Hai

Teray Janay K Baad Janay Kyun
Har Koi Shakhs Mujh Pe Hansta Hai

Meri Manzil Jisay Samjh Baithay
Woh Meri Khuwahishon Ka Rasta Hai

Dost Kehtay Ho Us Ko Kyun
Jo Tujhe Har Qadam Pe Dasta Hai.....

Main Bhi Urroon Ga


Main Bhi Urroon Ga Aber K Shaano Pe Aaj Se
Tang Aagaya Hoon Tishna Zameen K Mijaaz Se

Main Ne Siyah Lafz Likhey Dil Ki Loh Par
Chamkey Ga Dard Aur Bhi Is Imtijaaz Se

Insaa’n Ki Aafiyat K  Masail Na Chairrye
Dunya Ulajh Rahi Hai Abhi Takht-O-Taaj Se

Ganga Tou Beh Rahi Hai Magar Hath Khushk Hein
Behtar Hai Khudkushi Ka Chalan Is Riwaaj Se

Tum Bhi Mere Mijaaz Ki Lay Mein Na Dhal Sakey
Ukta Gaya Hoon Mein Bhi Tumharey Samaaj Se …….

Rukhsar Aisay Timtimaty Hain.....


Rukhsar Aisay Timtimaty Hain Janab K
Pehnay Hon Jaisy Chaand Ne Gajrey Gulaab K

Likha Hai Tera Naam Bhi Chahat K Khoon Say
Aao Warq Dikhaon Main Dil Ki Kitaab K

Itni Pila Day Aaj K Ji Bhar K Royen Hum
Niklen Hamari Aankh Say Aanso Sharaab K

Utra Wo Is Tarha Se Samandar Ki Goad Mein
Jitney Bhanwar Thay So Gaye Pehlu Mein Aab K

Didaar-e-Yaar Bolye Kaisey Ho Aaj Kal
Pehray Hain Chaand Chehray Pay Kalay Naqaab K

Mil Kar Tamaam Raat Woh, Phir Bhi Nahi Mila
Suraj Bata Gaya Hai, Ye Dhokay Thay Khawab K....

Teri Zulfein Bikharny Tak .. .


Teri Aankhein , Tabassum Lab , Teri Zulfein Bikharny Tak .. . 
Bhula Paoon Ga Kya Kya Main Milan Sey Phir Bicharrnay Tak .. . 


Mera Jeewan Andheron Mein Andhera Ban Gaya Ab To .. . 
Kahin Ab Kho Na jaon Main , Naya Sooraj Ubharny Tak .. . 


Mujhe Maloom Tha Kab Ye , Hamein Aisay Bicharrna Hai .. . 
Hamein To Sath Chalna Tha , Isi Chahat Mein Marnay Tak .. . 


Meri To Zindagi Mein Har Inayat Bas Usi ki Thi , 
Mujhe Aabaad Karnay Sey , Mujhe Barbaad Karnay Tak .. . 


Jo Bigrra Hun to Ab Aasaan Nahi Mera Sudhar Jana , 
Bohat Hi Waqt Lagta Hai , Bigarrnay Say Sudharnay Tak...!!!

Yaadon ke ye jugnoo


Yaadon ke ye jugnoo, meri aankhon mein nazar band! 
Daikho mere aansoo, meri aankhon mein nazar band.. 

Chehray ka woh ek phool hao ab tak tar-o-taazah.. 
Ab tak ha woh khushboo meri aankhon mein nazar band! 

Daikha to ye daikha, ke falak hai na zameen hai.. 
Pehlay tha ye pehloo, meri aankhon mein nazar band.. 

kya kya na teray hussan ki bandish hai nazar par.. 
Rehta hai magar tu meri aankhon mein nazar band..

Aakhari Khat Na Parh Saka Main Bhi


Aakhari Khat Na Parh Saka Main Bhi, 
Aas Kiya Deta Roo Diya Main Bhi. 

Sirf Sun'ney Ki Taab Thi Shaayad, 
Wo Bhi Khaamoshi Chup Raha Main Bhi. 

Hijar Ki Sakhat Sard Raaton Mein, 
Wo Bhi Jaltaa Raha Jala Main Bhi. 

Aaj Wo AAP Par Hi Tehra Raha, 
Faasley Rakh Kar Hi Mila Main Bhi. 

Orrh Li Us Ne Chehrey Par Ronaq, 
Saamney Sab K Khush Raha Main Bhi. 

Ghalti Se Aankhain Do Chaar Hote Hi, 
Sakht Mohtat Tar Howa Main Bhi. 

Wo Bhi Ulti Kitaab Parhney Laga, 
Kal K Akhbaar Mein Chapaa Main Bhi. 

Gudiyaan, Gudde Ka Khel Tha Shaayad, 
Mutma'ein Ho K So Gaya Main Bhi. 

Umar Bhar Us Ko Ishq Ho Na Saka, 
Aur Ek Roz Jal Bujha Main Bhi. 

Har Taraf Laila Laila Hote Dekh Kar. 
Ban Gaya Phir Be-Wafaa Main Bhi...!!

Dil Ne Gham Ke Pahaar Ko Dekha,


Dil Ne Gham K Pahaar Ko Dekha, 
Main Ne Khud Mein Daraar Ko Dekha. 

Dasht Kehta Hai Mujh Se Hairat Se, 
Main Ne Tujh Mein Ujaar Ko Dekha. 

Khauf Aasaib Ban K Aa Betha, 
Dil Ne Khud Ro Se Jhaar Ko Dekha. 

Ban Gaya Hai Khala Mere Andar, 
Main Ne Apni Pichaar Ko Dekha. 

Main Khudi Se Nikal Gaya Bahir, 
Jo'n Hi Nafrat Ki Aar Ko Dekha. 

Naqsh Chehray K Dhul Gaye 
Jab Bhi Dil Main Bigaar Ko Dekha..

Bol Do Dil Ki Baat Hum Tera Raaz....


Bol do dil ki bat hum tera raaz rakhein gae, 
Keh do aaj har ik baat hum tera raaz rakhein gae, 

Tum ko hum se chahat hai ya nafrat kiya pata, 
Kardo apne jazbat ka izhar hum tera raaz rakhein gae, 

Mat samajhna k tum ko ruswa kareinge zamane mein, 
Qasam hai hum ko teri yar hum tera raaz rakhein gae, 

Mat ghabrao zamane ki uljanon se 
Bataa do aaj har ik raaz hum tera raaz rakhein gae,

Meri Zindagi Ke Raaz Main


Meri Zindagi Ke Raaz Main Ek Raaz
Tum Bhi Ho,

Meri Bandagi Ki Aas Main Ek Aas
Tum Bhi Ho....

Tum Kya Ho Mere, Kuch Ho Ya
Kuch Bhi Nahi Magar,

Meri Zindagi Ke Kash Main Ek
Kaash Tum Bhi HO..

Aas paas Rehty ho


Har gharri na'jany kyun Aas paas Rehty ho
Tum ajeeb mosam ho Buss udaas Rehty ho

Kuch bharam to rakhna hai Apny dil ki Dharrkan ka
Tum mery nahi lekin phir bhi paas Rehty ho

Main to aik larrki hoon qaid main m0habbat ki
Tum ko kiya huwa sahib Q naraz rehty ho

1 din bichhrrna hai Jaanti hoon Main lekin
Tum abhi sy Q aakhir Bad'hawaas Rehty ho

Kiya koi naiii larrki aa gai hai Zindgi main
Aaj kal ziyaada hi khush-libaas rehty ho

Hosla nahi mujh main tujh ko ye bataany ka
Jheel jaisy neinaan main Misl-e-pyaas Rehty ho

Haseen Sham me Intizaar Tera


Haseen Sham me Intizaar Tera,
Tujhe Bula Rha hy Pyar Tera,

Mohabbat Hai To Q Chupate Ho,
Mere Liye Lazim Hai Izhaar Tera,

Ma Ne Tere Siwa To Kisi Ko Chaha Nhi,
Phr Kese Jeet Nhi Paye Aitbaar Tera,

Tu Ne Humen Pyar Ka Ye Lamha Jo Diya,
"DIL" Ho gya hy Qarzdar Tera.

Ho Sake To Mujh Pe Itna Bhrosa Kr Lo,
Ye Dil Humesha Rhe Ga Wafadar Tera,

Tu Jis trah Mere Dil Ka Chain Bn gya hy,
Dua Hai Meri Ma B Bn Jaon Qarar Tera..

Mousam Urdu Poetry


Na Jane 
Kon Sa 
Mousam Hai 
Aaj Kal

Udasi,
Boriyat 
Or 
Na Jane
Kiya Kiya ..?

Khushiyon Ki Dua


Mere Haq Mein Khushiyon Ki Dua Krte Ho,,

 Tum Khud Mere Kyun Nahi Ho Jatay...!!!

Aaj Bohat dukh ho raha hai


Aaj Bohat dukh ho raha hai Haal-e-Zindagi par,

Kaash us se had main reh kar Muhabbat ki hoti.

Suno Aik Kam Hai Tum Se....


SUNO EK KAM Hai TUM Se AgAr Wo KAM TUM Kr Do..
jO SEENAY MEiN DHARAKTA Hai. 
MUjHE Wo "DiL" NA Do. 

LEKiN. 

jO CHAHAT Us k ANDER Hai. 
Wo MeRe NAM TUM kR Do...

Kesa Hai Woh


Aisa Bhi Nahi Us Se Mila De Koi Aa Kar
Kesa Hai Woh Itna To Bta De Koi Aa KaR

Yeh Bhi Kisi Maa Ka Dulara Koi Hoga
Is Qabar Pe Bhi Phool Charha De Koi Aa Kar

Sookhi Hain Bari Dair Se Palko'n Ki Zubanen
Bus Aaj To Ji Bhar K Rula De Koi Aa Kar

Barson Ki Dua Phir Na Kahin Khaak Mai Mil Jaye
Yeh Abar Bhi Aandhi Na Urra De Koi Aa Kar

Yeh Koh'Yeh Sabza'Yeh Machalti Hui Nadiyan
Mar Jaun Jo Manzil Ka Pta De Koi Aa Kar

Har Ghar Pe Hai Aawaz Ek Dar Pe Hai Dastak
Betha Hun K Mujh Ko Bhi Sadaa De Koi Aa Kar



January Hindi Poetry


Iss January Ki
Tanha RaatOn Main
Yehe Hai MashGaLa
Apna.....;*

LaGa Kar Taik
TakiYe SaY UsaY Bus
SochtaY Rehna.....;*


Hum Tamaam Umar Mohabbat Ki TalKeen


Hum Tamaam Umar Mohabbat Ki TalKeen Karty Rahay 
Kitny Seedhy Thy Teri Chahat Pe YaKeen Krty Rahy 

Ek Tu Tha Jis K Eahed Par Aitbaar Kar Bethy 
Warna Waaday To Hum Se Kaie Haseen Karty Rahy 

Ye Mohabbat To PaK Hai Par Afsoos Hai Hum Ko 
Log Is Main Bhi Jurm Kitny Sangeen Karty Rahy 

JinKo Chaha Hum Ne Dil Ki Gehraiyun Se 
Har Mor Pe Wo Mohabat Ki Toheen Karty Rahy 

Yad Aati Hain Hamen Shab-e-Wasl Ki Wo Ratain 
Jahan Hum Dua Krty Rahy Ap Aameen Karty Rahay

Tere Andaz ka Rang


Yun Saja Chand k jhalka Tery Andaz ka Rang
Yon Faza Mehki k badla Mery Hamraz ka Rang

Saya-e-Chasham me Heran Rukhh-e-Roshan ka Jamal
Surkhhi-e-Labb me Pareshan Teri Aawaz ka Rang

Be'Piye hun k Agar Lutaf kro Aakhhir-e-Shab
Shesha-e-Mae me dahaly Suba'h k Aaghaz ka Rang

Ching-o-Ney Rang pe thy, Apny Lahoo k Damm se
Dill ne Ley badli to Madham hua hr Saaz ka Rang

Ek Sukhan aur k phir Rang-e-Takallum Tera
Harf-e-Saada ko Enayat kary Ai'jaaz ka Rang

Wao

Related Posts with Thumbnails