Rukay rukay say qadam ruk kay bar bar chalay


Rukay rukay say qadam ruk kay bar bar chalay
Qarar day kay tery der say beqarar chalay

Uthaye phirtay thay ehsaan jism ka jaan per
Chalay jahan say to yeh perhan utar chalay

Saher na ayi kai bar neend say jagay
So raat raat ki yeh zindagi guzaar chalay

Mili ha shama say yeh rasm-i-aashiqui hum ko
Gunah hath pay lay ker gunahgaar chalay....

Muhabbat Aap Jesi Hai


Mujhe Sub Log Kehte Hain

Muhabbat Jante Ho Tum
Muhabbat Mantay Ho Tum

Muhabbat Aag Jesi Hai
Jo Jalti Hai To Bhujti Hai

Muhabbat Geet Jesi Hai
Kaee Sazon Pe Mabni Hai

Muhababt Rangon Ki Titli Hai
Jo Khushboo Dhoond Leti Hai

Mager Kion Mujko Lagta Hai

Ye Sarey Lafz Jhoote Hain
Ager Sach Hai To Bus Ye Hai

Muhabbat Aap Jesi Hai

Kabhi Gumsum, Kabhi Chunchal
Kabhi Jugnoo, Kabhi Badal

Kabhi Ye Neend Hai To
Kabhi Khuwab Jesi Hai

Muhabbat Aap Jesi Hai

Muhabbat Aap Jesi Hai

Mere Dosto Meri Zindagi


Mere Dosto Meri Zindagi
Jo Udaas Hai Mujhe Raas
Hai,

Hai To Tishnagi Meri Rooh
Mein Ye Jo Piyaas Hai
Mujhe Raas Hai,

Ye Jo Gard Hai Mere Jism
Par Kai Manzilon Ki
Naveed Hai,

Ye Ata Huwa Ye Phata
Huwa Jo Libaas Hai Mujhe
Raas Hai,

Tu Mila Na Kar Mujhe
Piyaar Se Mujhe Ishq Hai
Tere Waar Se,

Tere Qahar Mein Tere
Zehar Mein Jo Mithaas Hai
Mujhe Raas Hai,

Kaheen Ek Khushi Ki
Talaash Mein Gham-e-
Dostaan Ko Bhi Khoo Na
Doon,

To Ye Ta'i Huwa Mere
Chaara-Gar K Jo Paas Hai
Mujhe Raas Hai,

Meri Baat Sun Mere
Qaasid Mujhe De Khabar
Mere Yaar Ki,

Mere Naama-Bar Mere
Zindagi Ye Sipaas Hai,
Mujhe Raas Hai,

Mere Khuwahishoon K
Hubaab Bhi Yaheen Dafan
Hain Mere Khuwaab Bhi,

Mere Qaatila ! Teray
Shehar Ki Ye Jo Baas Hai
Mujhe Raas Hai,

Abhi Is Taraf Na Nigah Kar


Abhi Is Taraf Na Nigah Kar, Main Gazal Ki Palken Sanwar Loon,
Mera Lafz Lafz Ho Aaina, Tujhe Aaine Main Utaar Loon..!

Main Tamam Din Ka Thaka Huwa, Tu Tamam Subah Ki Jaage Hui,
Zara Thahar Ja Ise Mod Par, Tere Saath Shaam Guzar Loon..!

Agar Aasman Ki Numaishon Main , Mujhe Bhi Izazaat Ho,
To Main Motiyon Ki Dukan Se, Teri Balian Tere Haar Loon..!

Kai Ajnabee Teri Raah Main, Vinod Ke Pass Se Yoon Guzar Gaye,
Jinhen Dekh Kar Ye Tadap Hui, Tera Naam Le Kar Pukar Loon..!!!

Chahat ke mehfil mein...........


Chahat ke mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bulaa ker phir sataya hai kisi ne,

Jab tak jali hy shama jalta raha parwanaa,
Kiya iss tarhan saath nibhaya hai kisi nay

Armaan mere raiza raiza ho gye hain,
Yun kil k aangan sy giraya hai kisi ne,

Aag lagi hai dasht main koi kya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne,

Dil rota hai raat bhar yaad kr k kisi ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,

Sangdil jo tha aaj woh b ro parha
Us ko bhi tarpaya hy kisi ne..........,

Aag ka dariya


khoobsoorat phool sabko aag ka dariya mujhe,
zindagi to dost thi par kis tarah rakkha mujhe.

aandhiyon ne kar rakha hai sar kalam kuchh is tarah,
ab nahin milta kahin par bhi diya jalta mujhe.

dhoondta hi rah gaya main ek chehra umra bhar,
ek insaan hi nahin warna mila kya-kya mujhe.

dophar ab dhal chuki hai dastqen sun shaam ki,
kah raha hai kaan me ye waqt ka pahiya mujhe.

kuchh to maine bhi nahin chaha kinara choRhna,
kuchh purani kashtiyon ne bhi NAZAR roka mujhe.

Hum Wo Be-Dard Hain


Hum Wo Be-Dard Hain

Khwaab Ganwa Kar Bhi Jinhen Neend Aa Jaati Hai

Soch Soch Kar Bhi Jin K Zehno Ko Kuch Nahin Hota

Toot Phoot Kar Bhi Jin K Dil Dharakna Yad Rakhtey Hain

Toot Kar Roney Ki Koshish Main Jo

Baat Bae Baat Muskaratey Hian

Shaam Se Pehley Mar Janey Ki Khwahish Main Jo

Jetey Hain Jo

Aur

Jeetey Chaley Jaatey Hain!!!!!

Aankhon Mein Koi Khawab


Aankhon Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta
Ye Dil K Mujhe Chain Se Marne Nahi Deta

Bicharay Tou Ajab Pyaar Jatata Hai Khaton Mein
Mil Jaye Tou Phir Had Se Guzarne Nahi Deta

Wo Shaks Khizan Rut Mein Bhi Mohtaat Rahay Kitna
Sokhay Hoye Phoolon Ko Bikharne Nahi Deta

Ik Roz Teri Pyaas Khariday Ga Wo Ghabro !
Pani Tujhe Panghat Se Jo Bharne Nahi Deta

Wo Dil Mein Tabassam Ki Kiran Gholne Wala
Roothay Tou Ruton Ko Bhi Sanwarne Nahi Deta

Mein Us Ko Manaon K Gham-e-Dehar Se Uljhon ?
“Mohsin” Wo Koi Kaam Bhi Karne Nahi Deta

Aankhon Se Yoon Aansoo Dhalke


Aankon se yoon aansoo dhalke
Saagar se jaise mai chalke

Hum samjhe mafhoom-e-baharaan
Koi aya bhesh badal ke

Kaash bata sakte parwaane
Kya khoya kya paaya Jal ke

Manzil tak wo kya pahunchaaye
Jisne dekhi raah na chal ke

Tumhara Naam Liya Aur Ibtida Kr Di


Tumhara Naam Liya Aur Ibtida Kr Di
Aaj Ashak Bahane Ki Intiha Kr Di

Kaise Kahon Woh Mere Liye Jiya Hi Nahi
Ke Jis K Naam Py Zindagi Fana Kr Di

Udaas Raaton Mein Aae Sath Chorne Wale
Bichar K Tu Ne Meri Zindagi Saza Kr Di

Tamam Umar Humein Bus Ek Hi Kaam Raha
Uthaye Hath Aur Un K Lye Dua Kr Di....

Ab zikar Mera Un K Hawalon mein


Ab zikar Mera Un K Hawalon mein Nahi tha,,,
Shayad Main Kahin Chahne walon mein Nahi tha,,,,

Lagta hai Ke Qismat mein Andhery hi Likhe thy,,,
Main Raat Ka Jugnu tha Ujalon mein Nahi tha,,,

Q Puchte Phirty ho Mere Pyar Ka Qissa,,,
Kirdaar mein Shamil tha Misaalon mein Nahi tha,,,

Ghairon Ki tarah Un K Rawiyey thay Mere sath,,,
Main Ab Ke Baras Un K Khayalon mein Nahi tha,,,

Ban than K Guzarti thi Wo zulfon Ko Sanwary,,,
Is Baar Koi Phool to Baalon mein Nahi tha,,,

Main Uski Isi Baat Py Hairan hua hon,,,
Pehlay sa Maza Us K Sawalon mein Nahi tha,

Hairat sy Mere Dost Mujhe Dekh Rahe hain,
Ye Zakham to Guzray hue Saalon mein Nahi tha....

Tum Khud Ko Manzil Ker Do Na


Tum Khud Ko Manzil Ker Do Na
Ek Khwaish Sarhaney
Rakh Do Na

Aaj Mujh Pe Inayat
Ker Do Na

Zara Chupkey Se
Khamoshi Se

Tum Izhar-e-Mohabbat
Ker Do Na

Khud Ko Ker k
Deewana Sa

Mera Pyaar Amar
Tum Ker Do Na

Main Pyaas Mein Duuba
Sehra Hoon

Tum Mujh Ko Samandar
Ker Do Na

Main Yun Hi Phirta
Hoon Dar-ba-Dar

Tum Khud Ko Manzil
Ker Do Na …


Ishq Mein Qalb-o-Jigar Bhi


Ishq Mein Qalb-o-Jigar Bhi Na Hamary Nikly,
Jo Be Nikly Wo Trafdar Tumhary Nikly.

Kitny Aashiq Huwy Qurban Tujhy Maloom Nahi,
Kitny Zalim Teri Nazron Ke Ishary Nikly.

Tere darya-e-Mohabat Mein Mohabbat Se Kabhi,
Dobny Waly Jo Doobay Na Kinary Nikly.

Kitna Mushkil tha Gham-e-Doran Se Niklna Lekin,
Hum Jo Nikly To Faqat Un K Sahary Nikly,

Un ka shehr chor k jane ka jb howa faesla  Ae'"Qateel"
Hum Ghar Se roty Huwy Bin Zulf Sanwary Nikly.

Wafa Ki Shama Ko Rahon Mein


Wafa Ki Shama Ko Rahon Mai Jalaya Bhi Hai
Dil Mai Darkan Ki Tarha Tujko Basaya Bhi Hai

Sirf Lafzon Tak Nahi Mehdod
Hum Ny Piyar Kya To Nibaya Bhi Hai

Ye Bhi Sach Hai Mohabbat Mai Ho Jati Hain Khataen,
Hai Gunah Mera Jo Kabi Tumhein Sataya Bhi Hai,

Kabhi Howe Ghussa Tum Pe Apna Samajh Kar Tu
Kabhi Tumhein Piyar Sy Manaya Bhi Hai,

Kabhi Khafa Ho Kar Urra Di Neend Teri,
Or Kabhi Apne Kanday Pe Solaya Bhi Hai'

Wehshatain Barhti Gayeen


Wehshatain Barhti Gayin Hijar Ke Aazaar Ke Saath,
Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi, Gham Khwaar Ke Saath. .  

Ab Tou Hum Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain,
Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi, Dastaar Ke Saath. 

Ek To Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon,
Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath.  

Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein K,
Loog Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath. 

Hum Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan,
Loog Mayma K0 Chun Daitay Hen Deewaar Ke Sath..,..!

Karb Chehre Se Mah-o-Saal Ko Dhoya Jaye


Karb chehre se mah-o-saal ko dhoya jaye 
Aaj fusat se kahin beth k roya jaye

Phir kisi nazm ki tamhid uthai jaye 
Phir kisi jism ko lafzom mein samoya jaye

Kuch tou ho raat ki sarhad mein utarne ki saza 
Garm sooraj ko samandar mein daboya jaye

Itni jaldi tou badalte nahi hon ge chehre 
Gard aalood hai aainay ko dhoya jaye

Mout se khof zada jeene se bezar hain  log
Is almiye pe hansa jaye k roya jaye

Thori si Wafa Chahiye


Ager mil saky To wafa cHahiye,
Mujhe kucH na Tery siwa cHaHiye,

BoHat Besukoon Huon main Tery bin,
Mujhe zindagi ki dua nahi,
Mujhe bas Teri aik sada cHaHiye,

Ho Takmeel jis se meri zaaT ki,
BaHaron ki aesi Hawa cHaHiye,

Mujhe Tery dil mein Ay Jaan-e-wafa,
Agr mil saky To Thori si jaga cHaHiye,

KaHan Tak bhala NibHaon Main wafa Humdum
KabHi To Mujhe bi Hosla cHaHiye*"

Wao

Related Posts with Thumbnails