Meri Ankhon Mein Gham Ki Nishaani


Meri Ankhon Mein Gham Ki Nishaani Nahi
Pathron Ke Payalon Mein Paani Nahi

Main Tujhe Bhool Ker Bhi Nahi Bhoolta
Pyaar Sona Hai Sone Ka Paani Nahi

Meri Apni Bhi Majbooriyan Hain Bohat
Main Samandar Hoon Peene Ka Paani Nahi

Mera Chehra Lakeeron Mein Taqseem Hai
Ayinon Se Mujhe Badgumaani Nahi

Shaam Ke Baad Bachon Se Kaise Miloon
Ab Mere Paas Koi Kahani Nahi

Mausmon Ke Lafaafe Badalte Rahe
Koi Tehreer Itni Puraani Nahi

Koi Asaib Hai Is Haseen Shehar Per faysal
Shaam Roshan Hai Lekin Suhaani Nahi

Mujhe Toota Rehne De Phir Aabad Na Kar,


Mujhe Toota Rehney De Phir Aabad Na Kar,,
Dar Lagta Hai Teri Chahat Se Itna Bhi Yaad Na Kar..

"Ab To Ye Dil Be Apna Na Raha Is Mohabbat Mein,
Wasta "KHUDA" Ka Phir Is Tarha Barbad Na Kar..

"Marna Chahta Hoon, Main Teri Qaid-e-Bewafai Mein,
Mujhe Marne De Mere Khyalat Ko Aazad Na Kar..

"Nahi Miley Gi Wafa Tumhein Es BeWafa Sheher Mein,
Na Haath Utha Na Aansoo Baha In Se Faryaad Na Kar.

Teri Hasti Se Teri Zaat Se


Teri Hasti Se Teri Zaat Se Khushbu Aaye.
Tu Jo Boly To Teri Bat Se Khushbu Aaye.

Tujh Ko Dekhon To Meri Aankh Mehak Si Jaye.
Tujh Ko Sochon To Khyalaat Se Khushbu Aaye.

Tu Chambeli Hai, Nargis Hai Ke Raat Ki Rani ,
Tujh Ko Chuu Lon To Mere Hath Se Khushbu Aaye.


Bara Dushwar Hota Hai...


"Bara dushwar hota hai" 
Zara sa faisla kerna 

k jeevan ki kahani ko 
beyan-e-bezubani ko 
kahan se yaad rekhna hai 
kahan se bhool jana hai 
kise kitna batana hai 
kis se kitna chupana hai 
kahan hans hans k rona hai 
kahan awaz deni hai 
kahan khamosh rehna hai 
kahan rasta badalna hai 
kahan se lout aana hai 

"Bara dushwar hota hai" 
Zara sa faisla kerna

Udasiyon ka sabab jo likhna...!!!


Udasiyon ka sabab jo likhna
to yeh bhi likhna…

key chand taaray, shahab
ankhain badal gaye hain.
wo zinda lamhay jo teri rahon mein,
teray anay key muntazir thay;
wo thak key saayon mein dhal gaye hain.

wo teri yadein, khyal teray, ranj teray, malal teray
wo teri ankhain, sawal teray
woh tum sey meray tamam rishtay bichar gaye hain.

udasiyon ka sabab jo likhna
to yeh bhi likhna…
larztay honton pey larkrhati dua key suraj
pighal gaye hain…
tamam sapnay hi jal gaye hain

Wohi Darpaish Hai Phir Zindagi


Wohi Darpaish Hai Phir Zindagi Khwabon Khayalon Ki
Kahan Hai Ab Tumhari Woh Mohabbat Itnay Saalon Ki

Agar Mere Muqaddar Mein Andhera Hi Andhera Tha
Kahani Kyun Sunaai Thi Mujhay Tum Ne Ujaalon Ki

Bara He Farq Dono Men Magar Dil Chasp Hain Dono
Teri Dunya Jawabon Ki Meri Dunya Sawaalon Ki

Tumhein Jab Se Main Likhta Hon Tumhein Jab Se Main Parhta Hon
Zarurat Hi Nahi Parti Kitaabon K Hawaalon Ki

Ta'alluq Jorna Or Torna Tum Se Koi Seekhay
Kahan Se Aa Gai Tum Ko Mahaarat Aisi Chaalon Ki

Shagufta Dil Ko Rakha Hai Faqat Is Waaste Main Ne
Zarurat Phir Na Par Jaye Tumhein Meri Misaalon Ki....

Zaavia jitna Nigahon ka


Zaavia jitna Nigahon ka sanwar jata hai,
Tera Rukhsaar bhi utna hi nikhar jata hai,

Aisy lamhaat bhi Aaty hain Rah-e-Ulfat men,
Ya wafa hath se jati hai ya Sar jata hai,

Main tery gham men bhala ashk bahaon kab tak,
Aankh to aankh hai Darya bhi utar jata hai,

Hasti-e-gul hai faqat chand adaaon pey Muheet,
Phool sharmata hai, hansta hai,Bikhar jata hai,

Qurbat-e-yaar sey "MOHSIN" ko baqa milti hai,
Zarf parwany ka chota hai jo mar jata hai.....!

Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga


Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Rahein Gi Nam Aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga
Pani Mein Safeena Sulgey Ga
Rafta Rafta .........
Dheerey Dheerey .......
Phir Haalat Hij'r Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakh'm Bharey ga Chahat ka
Ik Dard Thamey Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka

Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho
Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho !
-------------------.♥♥♥♥♥♥♥♥♥●•~ღ

Mohabbat ke shehar mein


Hone lagi nafratein, mohabbat ke shehar mein !!
Hum huwe bahut ruswaa, mohabbat ke shehar mein !!

Kal raat ek shaqs, tanha hi marr gaya !!
Kaise rehte hain log, mohabbat ke shehar mein !!

Na kis ne saath diya, na ehsaas kiya kisi ne !!
Ek dil dard se toot gaya, mohabbat ke shehar mein !!

Sanam, ishq, jazbaat, kahaan gaye sab ke sab yahaan se !!
Kyon bandh parha hai yeh makaan, mohabbat ke shehar mein !!

Jaane kyon likh deta hoon, mohabbat par shaayari !!
Jisey parhta nahin koi, mohabbat ke shehar mein !!


Pathron Ko Dil Ka Haal Sunane Chali Hun


Pathron Ko Dil Ka Haal Sunane Chali Hun,
Roothi Hui Kismat Ko Manane Chali Hun,

Nakam Hasrato Ka Janaza Uthaye Hue,
Mein Unse Wafa Nibhane Chali Hun,

Woh Bewafa Na The,Main Badnaseeb Thi,
Ye Baat Zamane Ko Batane Chali Hun,

Sawan Ki Ghataon Tum Kal Umadna,
Aaj To Main Aansu Bahane Chali Hun,

Jaha Banaya Tha Maine Kai Aashiyana,
Aaj Usi Shaakh Ko Jalane Chali Hun,

Meri Shayri Kisi Ka Dil Na Dukha De,
Isliye Tanhaayi Ko Apni Gazal Sunane Chali Hun.

Baat Thi Muhabbat Ki, Umar Bhar Ki Chahat Ki


Baat thi mohabbat ki,
Umar bhar ki chahat ki,
Bheer mein zamane ki
Sath sath chalna tha,

Imtehan bhi aane thay,
Zindagi ke sab hi pal
Sath hi bitane they.

Jane tum ne kia socha?
Sirf aik pal mein he,
Baat khatam kar dali.
Zindagi jo poori thi,
Wo adhori kar dali.

kon tumko samjhaye?
Chahton Ke Mausam bhi,
Roz to nahi aate !

Zindagi mein apnon ko
Chor to nahi jate !!

Zinda Hum Na Rahen Gay


DiL Toorro Gay To Khud Bhi Toot Jao Gay",,
"Zinda Hum Na Rahen Gay To Marr Tum Bhi Jao Gay",,

"Ye Ilteja Hai Basa Lo Humain Aankhon Mein",,
"Sanwar Hum Jayen Gay To Sajj Tum Bhi Jao Gay",,

"Mujhe Chhorrney Ka Irada Kabhi Na Karna",,
"Warna Toot Main Jaon Ga To Bikhar Tum Bhi Jao Gay",,

Bala Ki Dilkash Hain Yaar Aankhein


Bala Ki Dilkash Hain Yaar Aankhein.
Khizaan Ki Rut Mein Bahaar Aankhein,

Jo Uth Gai To Dua Hain Logo,
Mohabbaton Ki Pukaar Aankhein,

Sabab Hain Merey Sukoon-e-Dil Ka,
Meri Nazar Ka Qaraar Aankhein,

Udaasiyon Mein Khushi Ki Saat,
K Nafraton Mein Hain Piyaar Aankhein,

Meri Ghazal Ka Hain Ye Tassawur,
Merey Sukhan Ka Nikhaar Aankhein,

Wujood Enka Shifa K Jaisa,
Hain Chara Gar Ghamgusaar Aankhein,

En Hi Ne Hasna Sikhaya Mujh Ko,
Tabbassumi Khushgawaar Aankhein,

Ulaj K Tumse Sulajh Gai Hain,
Hui Hain Tum Pe Nisaar Aankhein,

Nigah K Gulshan Mein Bus Gai Hain,
Gulon K Jaisi Ye Khaar Aankhein,

Bhala Mein Kaisey Behek Na Paon,
Main Be-Khudi Hun Khumaar Aankhein,

Nahi Hain Koi Tumhary Jaisi,
Main Dekh Aya Hazaar Aankhein,

Tumhari Hasrat Mein Nam Hui Hein,
Hain Roi Zaar-o-Qataar Aankhein,

Ajab Hai Soda Ajeeb Qeemat,
Hai Naqd Ye Dil Udhaar Aankhein,

Aseer Apna Bana K Siddiq,
Hui Hain Kaisey Faraar Aankhein.....!!!

Mera Saaya Bhi Mujhse


Mera Saya Bhi Mujh Se Kho Gaya Hay,
Nahee Hona Tha Jo Woh Ho Gaya Hay,

Ye Kaisey Phool Hain Jo Khil Uthey Hein,
Woh Kaisey Beej Mujh Mein Bo Gaya Hay,

Main Apni Baat Bhi Sunta Nahi Ab,
Khuda Janey Mujhay Kiya Ho Gaya Hay,

Numaya'n Karb Hay Chehrey Se Ab To,
Woh Mujh Mein Hijr Aisey Bo Gaya Hay,

Kiya Kia Jaye Ab Batlao Siddiq,
Muqaddar Bhi Tumhara so Gaya Hay....!

Jahan yaad ke deep jalty hon


Jahan yaad ke deep jalty hon
Or shaam ke saaye dhalty hon

"Jab pyar kisi ka yaad aaye
Or zikar kisi ke chalty hon

"Ankhon mein ansoo bhar aayn
Or ashk na tum se rukty hon

"Tab un logon ko yaad karo
jo pyar tum he se karty hon

"Jo tum bin jee na sakte hon
Or tum par DIL se marty hon

"Us manzil ko kya pana
jahan apny tuj se jalty hon

"Is dunya mein ab kya jena
"Jahan pal pal log bdalty hon...!!!

Duniya walon


Mere seene se ye aahon ka ubharna dekho.
Duniya walon meri basti ka ujarna dekho.

Ishq ne bakhshi hai meri rooh min aisi halchal.
Mera har mour pe gir gir k sambhalna dekho.

Jala k shama kaha us ne k mohabbat kia hai.
Jhuka k nazren kaha main ne k parwane ka jalna dekho.

Kia qayamat hai shab-e-hijran na pucho logon.
Khushk patton ka kabhi tez hawa main bikharna dekho.

Tum Aa Kar Laut Jaatay Ho


Meray Muskan Ke Chaukhat Per Tum Aa Kar Laut Jaatay Ho
Qadam Laatay Nehi Aagaiy Kaho Ab Kyun Satatay Ho

Tumhari Chaap-e-paa Sunn Kar Hum Othh Kar Baith Jaatay Hain
Batao Neind Sai Hum Ko Tum Aisay Kyun Jagatay Ho

Abhi Tau Hum Nai Seekha Hai Furqat Main Saber Karna
Humaray Saber Ke Manzil Ko Itna Kyun Hilatay Ho

Tumhain Hum Sai Mohabat Hai Gila Hai Yaa Shikayat Hai
Ye Khud He Faisla Karlo Humain Kyun Aazmatay Ho

Bardi Mushkil Sai Rakha Hai Qadam Hum Nay Zamanay Main
Meray Mohsin Meri Koshish Ko Mushkil Kyun Banatay Ho

Sada Hum Nay Tumhari Zeest Mai Dhoondi Jaga Apni
Ab Apnay Dil K Derwazay Ko Khula Kyun Dikhatay Ho

Tumhi Nai Taud Dalaiy Thhay Subhi Rishtay Mohabat K
Na Mehrum Ban K Jeenay Ka Saleeka Kyun Sikhatay Ho

Shaukat Qaid Karlo Ab Khod Ko Tum Faseelon Main
Bheri Duniya Ko Apna Tum Tamasha Kyun Dikhatay Ho

Kiya Karti Hoon Tanhai Main


Kiya Karti Hoon Tanhai Main Ashkon Se Wuzu Aksar,
Tassawur Mein Raha Karti Hai Tujh Se Guftugu Aksar,

Teri Ankhon Mein Khud Ko Dhoondti Hoon Is Liye Shayed,
Ke Apni Hi Raha Karti Hai Mujh Ko Justuju Aksar,

Takaa Karti Hoon Tanha Beth Kar Pehron Jo Phoolon Ko,
Tumhari Un Main Hoti Hai Shabahat Hu’bahuu Aksar,

Woh Raaz Dil Jisey Phoolon Ki Surat Dil Main Rakha Tha,
Ussi Ki To Mehek Phailli Hai Jaana, Chaarsu Aksar,

Sadaf! Deen-E-Wafaa Ka Dum To Sab Bharty Hain Lekin Kyon,
Issi Ke Naam Par Galiyon Mein Behtaa Hai Lahuu Aksar..

Main Azal Ki Shaakh Se Toota Hua


Main Azal Ki Shaakh Se Toota Hua
Phir Raha Hoon Aaj Tak Bhatka Hua

Dekhta Rehta Hai Mujhe Ko Raat Din
Koi Apne Takht Per Betha Hua

Chand Taare Dur Peechey Reh Gaye
Main Kahan Par Agaya Urta Hua

Band Khirki Se Hawaa Ati Rahi
Aik Sheesha Tha Kahin Toota Hua

Apne Maazi Ka Samundar Chaaniye
Ik Khazaana Hai Yahan Dooba Hua

Doston Ne Kuch Sabak Aese Diye
Apne Saaye Se Bhi Hoon Sehma Hua

Kaun Is Raah Se Guzarta Hai


Kaun is raah se guzarta hai
Dil yun hi intezar karta hai

Dekh kar bhi na dekhnay walay
Dil tujhe dekh dekh darta hai

Shehar-e-gul mein kati hai sari raat
Dekhiye din kahan guzarta hai

Dhayyaan ki seerrhiyon pe pichhlay pehar
Koi chupkay se paaon dharta hai

Dil tau mera udaas hai NASIR
Shehar kyun saayeein saayeein karta hai....???


Nasir Kia Kehta Phirta Hai


Nasir Kia Kehta Phirta Hai Kuch Na Suno To Behtar Hai..*
Diwana Hai Diwane Ke Muon Na Lago To Behtar Hai..*

Kal Jo Tha Wo Aaj Nahi Jo Aaj Hai Kal Mit Jaye Ga..*
Rukhi Sukhi Jo Mil Jaye Shukar Karo To Behtar Hai..*

Kal Ye Tab-O-Tawan Na Rahe Gi Thanda Ho Jaye Ga Lahu..*
Nam-E-Khuda Ho Jawan Abhi Kuch Kar Guzro To Behtar Hai..*

Kia Jane Kia Rut Badle Halat Ke Koi Theak Nahi..*
Ab Ke Safar Main Tum Bhi Humare Sath Chalo To Behtar Hai..*

Kapre Badal Kar Bal Bana Kar Kahan Chale Ho Kis Ke Liye..*
Rat Bahut Kali Hai NASIR Ghar Main Raho To Behtar Hai..*

Eid mubarak sms Messages 2013 - Send English Eid greeting

(¨`•.•´¨)...........(¨`•.•´¨)

.`•.¸.•´............`•.¸.•´ ×°×

`•.¸(¨`•.•´¨)¸....´(¨`•.•´¨×°×.

.×°×`•.¸.•´ ×°×°×`•.¸.•´ ×°×

(¨`•.•´¨).¸.•´(¨`•.•´¨)...(¨`•.•´¨

..`•.¸.•´ .×°*. * . * . * . * . * . * . . GREAT *

*. * .*_/\_ *. * . * . * . * . * . * . * .

. *. * >,"< * DAY IS COMING. * .

* , + .*... * . * . * . * . * . * . * . * . * .

* . * . * . * _/\_. * REMEMBER ME * .

* . * . * . * >,"< . * . * . * . * . * . *.

. . IN YOUR * .

* . _/\_ * . * . * * . * . * . * . * .

. * >,"< * . *. * . PRAYS * . * .

. Advance Happy Eid Mubarik

\\ ___ // \\//\\
\\ ___ //

\\//\\// ishing

''''' '''''

\\//

//ou

'''

//___//

//'"""//appy



//___//

//"""//appy



''EID MUBARAK" ...

I wish a wish for u.
The wish i wish for few.
The wish i wish for u is that
your all wishes come true
so keep on wishing
as my all wishes are with you.

Eid Mubarak

Look Outside 
Its So Pleasant! 
Sun Smiling For You 
Trees Dancing For You 
Birds Singing For You 
Because I Requested Them All To Wish You 

**..*EID MUBARAK*..**

Yun hi Shoq Mein Kab Tak


*Main Yun hi Shoq Mein Kab Tak Usey Pukara Krun?
* Woh Mera Hai, Ya Nai Hai, Ab Kia Istekhara Krun?

* Kaha Hai Us Ne K Main Har Roz Aaun Ga.....
* Kia Main Us k Lie Rozana Ghar Sanwara Krun?

* Tamam Log Dekhte Hain Nazar Bhar K Usey.....
* To Kyun Na Roz Main Uski Nazar Utara Krun...

* Jo Ban Gaya Hai Mere Lie Wisaal-e-Jan.....
* Main Sochta Hun K Un Sab Se Ab Kinara Krun...

* Woh Meri ZINDAGI Hai Aur Dusron K Sath Rahe...
* Yeh Be-rukhi Main Bhala Kis Tarha Gawara Krun??? 

Urdu Mehndi Poetry


Woh kehti hai,

Mere hathon ki mehndi mein,
Meri ankhon ke kaajal mein,

Mere honthon ki laali mein,
Meri zulfon ke aanchal mein,

Jane jaan,

Har ek cheez adhoori hai,
Ke jese,

Tum mere bina,

Aur

Main tere bina....

Ghazal Bana Diya Karte Hain


Lafzon ko tarash k ghazal bana diya karte hain
Hum chaak-e-mohabbat par alfaaz siya karte hain…

Zara nazarein bacha k chalna hum se, hum wo hain
Jo pehali nazar mein hi dil chura liya karte hain…

Jin ko be’rang kehti hai yeh duniya, hum to unhein
Rangon mein rang mila k tasveer Bana diya karty hain

Shaayar hain hum Zara hat k iss zamane se janab,
Chand lafzon ko mila k He Geet bana liya karte hain ...!!! 

Dil Ishq Mein Ho Payan....


Dil ishq mein be payan, soda ho to aisa ho
Darya ho to aesa ho, sehra ho to aisa ho

Aey qais-e-junoon paisha, pinhaai-e-do aalam
Wehshi ho to aesa ho, ruswa ho to aisa ho

Hum say nahi rishta bhi, hum say nahi milta bhi
Hai paas woh betha bhi, dhoka ho to aisa ho

Woh bho raha begana, hum nay bhi na pehchana
Han aey dol-e-diwana, apna ho to aisa ho

Is dard mein kia kia hay, ruswaai bhi lazzat bhi
Kanta ho to aesa ho, chubhta ho to aisa ho

Hum ne yehi manga tha, us nay yehi bakhsha hai
Banda ho to aesa ho, data ho to aisa ho...!!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails