Aagaaz to hota hai anjaam nahi hota


  Aagaaz to hota hai anjaam nahi hota
Jab meri kahani mein woh naam nahi hota

Jab zulf ki kaalikh mein ghul jayee koi rahi
Badnaam sahi laikin gumnaam nahi hota

Hans hans k jawaan dil kay hum kiyoon na chune tukray
Her shahks ki kismat mein inaam nahi hota

Behtay huay aansuon nay aankhoo say kaha tham ke
Joh meh say pigal jayee woh jaam nahi hota

Sin doobe hain yaa doobi baraat liye kashti
Sahil pay magr koi kohraam naho hota......

Chandni kum hi sahee chand magar baaqi hai


Chandni kum hi sahee chand magar baaqi hai
Is shab-e –gham main bhi ummeed-e sahar baaqi hai

Zindagi qaid-e – salasal hi sahee ai sayyad
Kuch safar aur abhi shaam o sahar baaqi hai

Hum ne kab chand sitaaron ki tamanna ki thee
Haan bus ik khwahishe nakaam magar bai hai!!!!

Jism kay ghao to bhar jaate hain par jane kyoun
Dil se rista hai lahoo, zakhm e jigar baaqi hai!!!!

Us ne bus aik zara aankh utha kar dekha !!!!!!
Chubh gaya dil main wohi teer-e- nazar baaqi hai

But kaday chor diyay hum nain ke patthar ke sanam
Sang maray hain basad shauq ke sar baaqi hai!!!!!!

Go na sajdey kiyey din raat na sehra chaaney
Phir bhi lagta hai duaon main asar baaqi hai

Aasmanon se barastee hai lahoo ki barish!!!!!!
Aag uglay hain zamin phir bhi yeh ghar baaqi hai

Thak ke khamosh to ho jatee hain mairi aankhain
Ashk bolay hain ke ek deeda-e tar baaqi hai!!!!!!

Dil ke aangan ke singhasan pe bithaya jise
Woh to dil tor gaya, kahe ka dar baqi hai???

Kaam apna hai faqat koshishain karna,
Kuch to qismat pe bharosa bhi idhar baqi hai!!

Aik pyari si larki....


Aik pyari si larki hay wo,
Meray dil main rehti hay jo,

Meray sapnoo ki rani hay,
Dil mein dharkan ki tarah basti hay wo,

Jaisay dariya main kanwal khila ho,
Itna pyara hasti hay wo,

Koyal ki koo koo say ziyada,
Geet sureela gati hay wo,

Anakhan us ki, kiya kehna
Jaisay koi neeli jheel or wo,

Mera uska rishta hay kuch aisa,
Jaisay dil hon main aur dharkan wo,

Kuch khafa khafa si lagti hay,
Najanay aaj kion chup baithi hay wo.

Awal Awal Ki Dosti Hai Abhi......


awal awal ki dosti hai abhi
aik ghazal hai k ho rahi hai abhi

main bhi shehr-e-wafa mai nowarid
woh bhi ruk ruk k chal rahi hai abhi

main bhi aisa kahan ka zod-o-shanas
woh bhi lagta hai sochti hai abhi

dil ki waruftagi hai apni jaga
phir bhi kuch ehtiyat si hai abhi

kaisa mausam hai kuch nahi khilta
banda bandi bhi dhoop bhi hai abhi

khud kalami main kab yeh nasha tha
jis tarha roobaru koi hai abhi

qurbatien lakh khubsorat hoon
dooriyon main bhi dilkashi hai abhi

main bhi kisi wadiye khayal main tha
baraf si dil pe gir rahi hai abhi

main to samjha tha bhar chuke sab hi zakhm
dag shayad koi koi hai abhi

zindagi kue na muradi hai
kis ko murr murr ke dekhti hai abhi

aisa lagat hai khilwat-e-jaan main
woh jo aik shaks tha wohi hai abhi

muddate ho gai Faraz magar....?
woh jo deewangi thi ke hai abhi

Ankh bun jati hai Sawan ki ghata shaam k baad


ankh bun jati hai sawan ki ghata shaam k baad
laut jata hai agr koi khafa shaam k baad

shaam tuk Qaid raha kurte hain dil k ander
durd ho jate hain sare riha shaam k baad

log thuk haar k su jatay hain lekin janaan
hum ne khush ho k tera durd saha shaam k baad

shaam se pehle tuk laakh sulaay rakhein
jaag uth-ti hai mohabat ki ana shaam k baad

chand jub ru k sitaroon se galay milta hai
ik ajab rung ki hotee hai fiza shaam k baad

hum ne tanhaai se pocha k milo gi kub tuk
us ne be-chaini se forun hee kaha shaam k baad

mae agr khush bhi rahon phir bhi mere seene mein
su-gawari koi roti hai sada shaam k baad

laur aatee hai meri shub ki ebadut khali
jane kis arsh pe rehta hai Khuda shaam k baad

koi bhula howa ghum hai jo musulsul mujh ko
dil k pataal se daita hai sada shaam k baad

maar daita hai ujar jane ka dhoura ehsaas
kaash ho koi kissi se na Juda shaam k baad
...

Tum Ho Raqeeb Saath Hoo


Tum ho, raqeeb saath hoo, phir raat ka safar
Hai wadi-e-yaqeen mein shubhaat ka safar

Mumkin agar ho dost! Qayamat say kam nahi
Karna Khird kay dosh pay jazbaat ka safar

Hum tu kissi ki ankh kay taray, na mahtaab
Phir kar rahay hein koun, humein din raat ka safar?

Itna taveel umar bhar mein tay na hoo sakaa?
Seenay say lay kay hont tuk ik baat ka safar

Wapis howay, tu apna bhi pehchanana mahaal
Hum nay kiya tha dostoo! Jab zaat ka safar

Jalta hai apni zaat mein, roshan hai iss liyeah
Yeh kehkashaan kay naam say zaraat ka safar

Kyun Yaad Kisi Ki Aati Hai


Kyun Yaad Kisi Ki Aati Hai
Kyun Dard Jiger Mein Hota Hai..

Kyun Qadam Behakne Lagte Hain
Hum Jub B Chalne Lagte Hain..

Kyun Palken Num Ho Jati Hain
Hum Jub B Hansne Lagte Hain..

Akser Raaton Ki Tareeki'
yaadon K Zeher Ughalti Hai..

Kyun Hijer Ka Mausam Aata Hai
Jub Vasl Ki Baaten Hoti Hain..

Kyun Log Dewane Hote Hain'
Kyun Dard Hazaron Sehte Hain..

Hum Akser Sab Se Kehte Hain
Kyun Khuwab Adhoore Rehte Hain....

Chahun Main Ya Na Lyrics - Aashiqui 2


Tu hi ye mujhko bata de
Chahun main ya naa
Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa

Itna bata dun tujhko
Chahat pe apni mujhko
Yun to nahi ikhtiyaar
Phir bhi yeh socha dil ne
Ab jo laga hun milne

Poochhu tujhe ek baar

Tu hi ye mujhko bata de
Chahun main ya naa
Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa

Aisi kabhi pehle hui naa thi khwaahishein
kisi se bhi milne ki

Naa ki thi koshishein
Uljhan meri suljha de
Chaahun main ya naa
Aankhon aankhon mein jata de

Chaahun main ya naa


Mere chote chote khwaab hain
Khwabon mein geet hain
Geeton mein zindagi hai
Chahat hai, preet hai

Abhi main na dekhun khwaab wo
Jin mein na tu mile
Le khole honth maine
Ab tak the jo sile

Mujhko na jitna mujh pe
Utna iss dil ko tujh pe
Hone laga aitbaar

Tanha lamhon mein apne
Bunti hun tere sapne
Tujhse hua mujhko pyaar o o..

Puchungi tujhko kabhi naa
Chaahun main ya naa

Tere khaabon mein ab jeena
Chaahun main kyun naa

Tu hi yeh mujhko bata de
Chahun main ya naa

Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa.....

Woh Kahani Ko Mukammal Nahi Hone Deta...


Khud Ko Kirdaar Se Ojhal Nahi Hone Deta
Woh Kahani Ko Mukammal Nahi Hone Deta

 Sang Bhi Phainkta rehta Hai Kaheen Saahil Se
Aur Pani Men Bhi Halchal Nahi Hone Deta

Kasa-e-Khuwaab Se tabeer Utha Leta Hai
Phir Bhi Aabadi Ko Jungle Nahi Hone Deta

Dhoop Men Chaa’on Bhi Rakhta Hai Saron Par Lekin
Aasmaan Par Kaheen Badal Nahi Hone Deta

Abr Bhi Bhaijta Rehta Hai Sada Basti Men
Gali Koochon Men Bhi Jal Thal Nahi Hone Deta

Roz Ik Lehar utha Lata Hai Be-Khuwabi Ki
Aur Palkon Ko Bhi Bojhal Nahi Hone Deta

Phool He Phool Khilata Hai Sar-e-Shaakh Wajood
Aur Khushboo Ko Musalsal Nahi Hone Deta

Aalam-e-Zaat Men Darwaish Bana Deta Hai
Ishq Insaan Ko Pagal Nahi Hone Deta………


Dil ki Kahani, Meri Zubani......


Maine ek kitaab padi
Jiss ke pehle page pe likha tha...

"Aao mohabbat ko samjhen"

Aur

Akhri page pe likha tha ke

"Jo samjh ke ki jaye wo mohabbat nahi"

Main aaj tak mohabbat ko nai samjh pai

Kyun ke

"Jab mohabbat hoti hai tab samjh nai rehti"

Aur

"Jab samjh aati hai tab mohabbat nai rehti".....!!!!


Meri Muhabbat Kuch Bhi Nahi


Teri Wafa, Wafa Hai Kiya 
Meri Muhabbat Kuch Bhi Nahi.?

Tera Dard, Dard Tehra 
Kiya Mera Zakham Kuch Bhi Nahi..

Tumhari Baat Pathar Pe Lakeer
Kiya Meri Elteja Kuch Bhi Nahi..

Tujh Main Aana Samandar Jaisi 
Kiya Mera Maan Kuch Bhi Nahi..

Tera Gham, Gham Howa 
Kiya Mere Aanso Kuch Bhi Nahi..

Tera Wajood Sab Kuch Hai 
Aur Kiya Meri Hasti Kuch Bhi Nahi..


Adab Ki Hadd Mein Hoon


Adab Ki Hadd Me Hoon, Be-Adab Nahi Hota
Tumhara Tazkara Ab Roz-O-Shab Nahi Hota

Kabhi Kabhi Chalak Parthi Hein Yunhi Ankhein
Udaas Honey Ka Koi Sabab Nahi Hota

Me Waldein Ko Yeh Baat Kese Samjhaaon??
Muhabatoon Me Hasab Nasab Nahi Hota

Kai Ameero’n Ki Mehromiyaan Na Poch K Bas
Ghareeb Hone Ka Ehsaas, Ab Nahi Hota

Wahan K Log Baray DilFaraib Hotay Hain
Mera Behakna Bhi Kuch Ajab Nahi Hota

Mei Us Zameen Ka Deedaar Kerna Chahta Hon
Jahan Kabhi Be Khuda Ka Ghazab Nahi Hota....

Kabhi Aa Jao Tum Pal Bhar Ko......


Kabhi aajao tum pal bhar ko,
Mujhe tum se batien krni hain,

Kuch ghum k geet sunanay hain,
Kuch raaz hain jo batlanay hain,

Kuch dil ko b batlana hai,
Kuch zakhm hain jo dikhlanay hain,

Kuch dil se yaadain dhoni hain,
Kuch naatay nai bnanay hain,

Jo sher likhay hain teri furqat mein,
Kuch sher tumhe wo sunanay hain,

Kuch dard sunanay hain dil k,
Kuch piyar ki batien krni hain,

Kabhi aajao tum pal bhar ko 


Mohabbat Kam Nahi Hogi...


Tumhari Talkhiyon Se...
Aur...
Tumhare Na-Tarashida Rawayyon Se...
Tumhari Choti Choti Ranjishon Se...
Aur...
Bari Narazgi Se Bhi...
Mohabbat Kam Nahi Hogi...
...
Tumhare Shehr Bhar Se Dil Laga Lene Ki Aadat Se...
Tumhari Be-Wafai Se...
Tumhari Be-Hisi Se Bhi...
Mohabbat Kam Nahi Hogi...
...
Anaa Ka Darmiyan Aa Kar...
Kai Be-Saakhta Jazbey...
Achanak Maar Jane Se...
Dilon Ko Zaat Par Se Waar Jane Se...
Kisi Basti Mai Jaa Basne...
Kisi Sehra Mai Rasta Bhool Jane...
Ya...
Samandar Paar Jane Se...
Mohabbat Kam Nahi Hogi...
...
Kisi Ke Jeet Jane Se...
Kisi Ke Haar Jane Se...
...
...
Mohabbat Kam Nahi Hogi...!!


Youn Tere Husn Ki Tasveer Ghazal Mein Aaye...


Youn Tere Husn Ki Tasveer Ghazal Mein Aaye
Jaise Balqees Sulaiman K Mehel Mein Aaye

Jabar Se Aik Howa Zaiqa-e-Hijar-O-Wisal
Ab Kahan Se Wo Maza Sabar K Phal Mein Aaye

Hamsafar Thi Jahan Farhad K Taishe Ki Sada
Wo Maqamat Bhi Kuch Sair-o-Jabal Mein Aaye

Ye Bhi Aaraish-e-Hasti Ka Taqaza Tha K Hum
Halqa-e-Fikr Se Maidan-e-Amal Mein Aaye

Har Qadam Dast-o-Greban Hai Yahan Khair Se Shar
Hum Bhi Kis Marka-e-Jang-o-Jadal Mein Aaye

Zindgi Jin K Tasawur Se Jila Pati Thi
Hai Kia Log Thay Jo Dam-e-Ajjal Mein Aaye............!!


Jab Alvida Kehne Lago


Hamein Jab Alvida Kehne Lago To,
Muskura Dena,

Sitara Sath Kar Dena,

Ke Raaste Mein Andhere Bhi To Ayenge,

Kisi Harf Dua Ka Is Tarah Sath Kar Dena,

Hamein Zad-E-Safar Ko,

Tumhari Yaad Ki Saugat Kafi Hai,

Tumhare Sath Mein Guzra Hua Pal Bhi Ganeemat Hai,

Kain Thehre Jo Raaste Mein,

Sunehri Yaad Ki Surat,

Tumhe Humraah Payenge,

To Hum Tanha Kahan Honge,

Magar Phir Bhi

Hamein Jab Alvida Kehne Lago To Muskura Dena,

Sitara Sath Kar Dena,

Kisi Harf-E-Dua Ka Is Tarah Sath Kar Dena...


Tujhe pane ki Iss liye zidd nahi karte.....


Tujhe pane ki Iss liye zidd nahi karte,
Ke tujhe khone ko dil nahi krta,

Tu milta hai to iss liye nazren nahi uthate,
Ke fir Nazre hatane ka dil nahi karta,

Dil ki bat is liye tuje se nahi karte,
Ke apna dil dukhane ko dil nhi karta,

Khuwabon mein tujh ko iss liye nahi sajaate,
Ke fir neend se Jaagne ko dil nahi karta...

Kash banane wale ne mujhe kitab bnaya hota


Kash banane wale ne mujhe kitab bnaya hota.
Woh parhty parhty so jati mujhy seenay say lagaya hota,

Main ous k gum main rota or rota he jata.
Os nay chupky say mujhy senay say lgaya hota.

Os ko dastaan suna suna k thak sa giya.
Kash uss nay b mujhy hal-a-dil sunya hota.

Main oss ka naam leta or subho sham leta tha.
Hay afsos os ny mujhy 1 bar bolaya hota.

Main oss ki khatr trpta rha sham-o-sehar Mohsin
Arman na hota gar os ny aik aansoo he bahaya hota.


Jab Udas Ho To GunGuna Lena


Jab Udas Ho To GunGuna Lena Mujh KO
Jab Tumara Koi Na Bane To Apna Bana Lena Mujh KO

Kabhi Agar Socho K Tum Se Ziyada Tumen Kon Chahata Hai,
To Apne Naam K Sath Phir Se Dohara Lena Mujh KO

Hansne K Liye To Mil Jayen Gae Hazaron Tum Ko,
Jab Rone K Liye Na Mile Koi Kandha To Bula Lena Mujh KO..,

Sir jhukaany ki aadat nahi hai


Sir jhukaany ki aadat nahi hay,
Aansoo bahaany ki aadat nhi h,

Hm kho gaye to pachtao gay bohat,
Hamaari Lout k Aany ki aadat nahi hay,

Terey dar pay Muhabbat k sawali ban jaaty,
Lekin Haath phelaany ki aadat nahi hay,

Teri yaaden aziz hen bohat,
Magar Waqt ganwaany ki aadat nahi hay,

Tum sakht Dil nikle kya gila kren hum,
Shikwa -e-dil lab py laany ki aadat nahi hay,

Bad'dua b kya kren HAQ men tumhaary?
Hamain to Dil b dukhaany ki aadat nahi hay...



Dasht Mein Pyas Bujhatay Hue Mar Jatay Hain


Dasht Mein Piyas Bujhaty Howe Mar Jaate Hain
Hum Parinde Kahein Jatay Howe Mar Jaate Hain

Hum Hain Sookhay Howy Talaab Pe Baithe Howe Hans
Jo Taaluq Ko Nibhaatae Howe Mar Jaate Hain

Un Kay Bhi Qatal Ka Elzam Hamare Sar Hai
Jo Hamain Zaher Pilatay Howe Mar Jaate Hain

Yeh Mohabat Ki Kahani Nahi Marti Lekin
Log Kirdar Nibhate Howe Mar Jaate Hain

Hum Hain Woh Tooti Howi Kashtiyon Waale “Mohsin”
Jo Kinaaron Ko Milaatay Howe Mar Jaate Hain.....


Itna Bhi Apni Zaat Se Koi Juda Na Ho


Itna Bhi Apni Zaat Se Koi Juda Na Ho
Nikle Teri Talash Me Apna Pata Na Ho

Dekho Ke Phir Hawaoun Ke Tewar Badal Gaye
Sahil Ki Rait Par Koi Kuch Likha Raha Na Ho

Tanhaiyaan Kuch Is Tarah Basti Hain Mere Sath
Aakaash Bhi Jaise Shajar Se Juda Na Ho

Na Kar Tu Mere Jism Ke Zakhmon Ka Yoon Hisaab
Ye Dekh Tere Hath Me Pathar Bacha Na Ho

Apnon Se Bhi Miloun To Yeh Khauf Sa Rahe
Chehre Ke Peeche Aur Koi Chehra Chupa Na Ho...


Usne pyar ka khail bhi nafrat say khaila.....


Usne pyar ka khail bhi nafrat say khaila
Har baar woh zalim meri hasrat say khaila

Meri jaan-o-dil pe saara haq tha usey
Dukh itna hai k woh meri ghurbat say khaila

Dil tora to bikherne bhi na dia usne
Mere dil k sath kitni ulfat say khaila

Kaise us k hathon main barbad bhe hota
Pahli baar zindgi main koi itni mohabbat say khaila....


Meri Dunya Sanwaar Day Koi.....


Mairee dunyaa sanwaar day koi,
Mujhay thoraa sa pyaar day koi,

Mairee dharkanain baitab kardai,
Mairee aankhoon ko intezar day koi,

Main bhool jaaoon be-qarari ko,
Mujh ko itna qarar day koi,

Apnee zulfoon main qaid karlay,
Mujh ko mujh say farar day koi,

Ashk ankhon say choom loon uss kay,
Khud pay yeh ikhtyaar day koi,

Yeah sab rahatain qurb-o-rafaqat kee,
Mujh ko bas eik baar day koi..!!



Roshan Huwa Hai Chand


Roshan Huwa Hai Chand Jasay Noor-E-Aftab Say
Meray Dil Ko Mili Roshni Kisi Bekhabar Kay Jawab Say

Meray Hum Dum Mujhay Rok Na Safar Say Issi Rah Kay
Mujhay Sekhna Hai Abhi Bohat Kuch Is Zindagi Ki Kitab Say

Main Bhala Kyu Heran Ho Us Usn Ki Ada Dekh Kar
Kay Mahknay Ka Hai Raz Kya Kabhi Pocha Kisi Nay Gulab Say

Louta Phir Thak Har Kay Akhhir Usi Kay Dur Par
Bus Wohi Mujhay Panah Mili Bus KhwahisooN Kay Sarab Say

Tu Khuli Jub Woh Hakekatain To Meri Pori Roh Ye Pukar Uthi
Kathin Na Ho Koi Lamha Bhi Shaid Aagahi Kay Azab Say...

Sari Khushiya Wabasta Hain Tuje Se....


Sari Khushiya Wabasta Hein Tuj Se
Main Tanha Ho Tere Bin Lout Ao

Muje Dar Lagta Hai Duniya K Hajoom Se
Main Akela Hon Tere Bin Lout Ao

Nahi Guzarti Ab Ye Ratain Meri
Main Rooz Marta Hon Tere Bin Lout Ao

Main Chand Hon Tu Chandani Hai Meri
Main Rooz Dobta Hon Tere Bin Lout Ao

Kon Kehta Hai Tuje Bhool Gaya Hon Main
Main Aaj Bhi Marta Hon Tuj Pay Lout Ao

Main Sub Kuch Lota Doon Ik Tere Naam Pay
Tuje Mere Payar Ki Qasam Lout Ao

Mukamal Nahi Zindagi Meri Tere Bin 
Main Adhora Hon Tere Bin Lout Ao....

Wao

Related Posts with Thumbnails