Tera waqif na ho jaise koi harjai ho


Kuch to aye yaar ilaj gham-e-tanhai ho
Baat itni be na bhar jaiye ke ruswai ho, .

Jisne be muje ko tamasha sa bana rakha hai
Ab zaroori hai wohi aankh tamashai ho, .

Dubny waly to ankhon say be kab nikley hein
Dubny ke liye lazmi nahi gehrai ho, .

Main tuje jeet be tohfy mein nahi de sakta
Chahta ye be nahi hon teri paspai ho, .

Koi anjaan na ho shehar-e-muhabbat ka lekin
Kash her dil ki her ek dil se snashai ho, .

Yun guzar jata hai Zohaib tere kuchey se woh
Tera waqif na ho jaise koi harjai ho…..

April Fool Sms Hindi, English and Urdu



31st or 1st april doesn’t matter.
Fool is always a fool,wishing you a
very happy and prosperous fools day.
To the king of fools by the prince of cools.
Its your day.:-)

Happy fools day in advance
by a advance human being…..


Koi kuch bhi na kahay to pata kya hai
Is bechain khamoshi ki wajah kya hai
Unhain ja kay koi kahay hum lay lenge zahar bhi
Woh sirf yeh to bata dain meri khata kya hai…….


Plz Open this msg. After 6 days, on Tuesday
I know u can’t wait,
So,

CONGRATZ !!

U R D FIRST FOOL OF 2008,
APRILFOOL

in advnce… :-)


Today if anyone praises U 4 UR:
1.SMARTNESS
2.NATURE
3.STYLE
4.ATTITUTE
Kick them

how dare they
Can Fool U
before APRIL 1st….

Din Ko Bhi Ye Ghar


Din ko bhi ye ghar kis k liye veeran rehta hai?
Yahan kia hum sa koi be-sar-o-saamaan rehta hai?

Dar-o-deewar sannaattay ki chaadar mein hain khuwab’eeda
Bhala aisi jaga zinda koi insan rehta hai?

Musalsal poochnay per aik chilman se jawab aya:
Yahan ik dil shikasta sahib-e-deewan rehta hai

Kia is k risht-e-daar bhi nahi milny aaty?
Ye sehra raat din sunsaan rehta hai

Is k ghar k aangan mein hain kuch phoolo’n k poday bhi
Khaali phir bhi her guldaan rehta hai.

Khuda ka shukr hai hum ik fiza mein saans laity hain
Agar milty nahi, itna to itminaan rehta hai...!

Firaq Gorakhpuri Urdu Ghazal


Sazaa-e-husn-e-paraasti bajaa, bajaa bhi nahin
Ki jurm-e-ishq butaan hai buraa, buraa bhi nahin

Kisi ko kya na milaa zindagi mein waa-e-naseeb
Humaare haath bas ik dil rahaa, rahaa bhi nahin

Udhar qadam bhi uthaanye de bad-dimaagi-e-ishq
Hum aison par dar-e-Jannat khulaa, khulaa bhi nahin

Nazar farebi-e-tahreer le udi mujhko
Sirey se naama-e-jaanan padha, padha bhi nahin

Tamaam shokhi-e-raftaar teri raahguzar
Qadam ka naksh kuchh aisa utha, utha bhi nahin

Wo jaise hai hi nahin is adaa se saamne hai
Agar kahoon ki mujhse khafa, khafa bhi nahin

Hum usko dekh ke bhi aah kis tarah dekhein
Nazaara-e-rukh-e-jaanan hua, hua bhi nahin

Nigaah-e-naaz se sun ke dil udaas hua
Agar kahein ke kuchh usne kahaa, kahaa bhi nahin

Jamaan-maqaan ka ye parda hijaab-e-aqbar hai
Hazaar baar ye parda utha, utha bhi nahin

Bas ik nigaah ki parchhiyaan baqaa-o-fanaa
Baqaa, Baqaa bhi nahin hai, fanaa, fanaa bhi nahin

Jisye muaamla-e-husn-o-ishq kahte hain
Hazaar baar ye jhagda chukaa, chukaa bhi nahin

Wo aankh kahti hai aisye ka kya thikaana hai ???
‘Firaq’ aadmi to hai bhalaa, bhalaa bhi nahin...

Poetry collection of Meera Jee


Hanso tu hansey gi duniya, beth akeley rona ho ga
Chupke chupke baha kar aanso dil k dukh ko dhona ho ga

Piyaroon sey mil jain piyarey, unhoni kab honi ho gi
Kantey phool banain gai kaisey, kab sukh saijj bichona ho ga

Behtey behtey kaam na aay lakhoon bhanwar tofaani sagar
Ab manjhdhaar main apne haathoon jewan nao dobona ho ga

Meera Jee kyun soch satay, palak palak dori lehraay
Qismat jo bhi rang dikhaay, apney dill main samona ho ga....

Aadhi raat se pehle


Main ne aadhi raat se pehle

Shair ka pehla missra likha.

Mere gongay lehjay ne 

Tujh ko kitni awazein deen.

Tera sath adhora paa kar

Missra qabar mein ghaar diya.

Main ne kagiz phaar diya.....!!!

Jab Log Hi Jazbon Ki Toqeer Nahi Krty....


Jab Log Hi Jazbon Ki Toqeer Nahi Krty
Hum Koi Bhi Dukh Apna Tehreer Nahi Krty  

Lehjay Ka Ye Rookha-Pan Dil Torr K Rakhta Hy
Karti Hy Zuban wo Kuch Jo Teer Nahi krty

Likhtay Hain wohi Kuch Jo Is Dil Pe Guzrti Hy
Pariyuon Ki Kahani Hum Tehreer Nahi Krty

Pachtava Ager Ho To, Be Fikar Chaly Aana
Hum Raat Ko Darvaza Zanjeer Nahi Krty

Do Gaz Hi Zameen Sab Ka Jab Akhri Makan Hy
Hum Koi Makan Apna Taameer Nahi Krty....

Andleeb Shadani Urdu Poetry


Dair lagi ane main tum ko shukar hai phir bhi aye to
As ne dil ka sath na chora waise hum ghabraye to

Shafaq dhanak mahtab ghaTaye tare naGmen bijli phool
Us daman main kya kya kuch hai wo daman hath main aye to

Chahat ke badle main hum to bech dain apni merzi tak
Koi mile to dil ka gahak koi humain apnaye to

KyuN ye mihrangez tabassum madd-e-nazar jab kuch bhi nahi
Haye agar koi anjan agar is dhoke main a jaye to

Suni sunai bat nahi hai apne upar biti hai
Phool nikalte hain sholon se chahat ag lagaye to.....

Sarakti Jaye Hai Rukh Se Naqab


Sarakatii jaaye hai ruKh se naqaab ahista ahista
Nikalataa aa rahaa hai aaftaab ahista ahista

JawaaN hone lage jab wo to ham se kar liyaa pardaa
Hayaa yakalaKht aayii aur shabaab ahista ahista

Shabefurkat kaa jaagaa huuN farishton ab to sone do
Kabhii fursat men kar lenaa hisaab ahista ahista

Savaalevasl par unako uduu kaa Khauf hai itanaa
Wo honThon se dete hain javaab aahistaa aahistaa

Hamaare aur tumhaare pyar men bas fark hai itanaa
Idhar to jaldii jaldii hai udhar aahistaa aahistaa

Wo bedardii se sar kaaTe "ameer" aur main kahuuN un se
Huzuur aahistaa aahistaa, janaab ahista ahista......

Urdu Poetry of Iqbal Azeem


Hum nay mana is zamanay main hansi bhi jurm hai
Laikin is maahol maiN afsurdagi bhi jurm hai

Dushmani tu khair har surat main hoti hai gunah
Ek muayyan hadd say aagay dosti bhi jurm hai

Hum wafa kar kay rakhtay hain wafaon ki umeed
Dosti main is qadar saudagari bhi jurm hai

Iss say pehlay zindagi main itni pabandi na thi
Ab to jaisay khud wajood-e-zindagi bhi jurm hai

Aadmi is zindagi say bach kay jaeey bhi kahaan
Maikashi bhi jurm hai aur khud kushi bhi jurm hai

Aik saaghar kay liyay jo baich dain apna zameer
Aisay rindooN kay liyay tashna labee bhi jurm hai

Apni baynoori ka hum Iqbal maatum kion karain
Aaj kay halaat main deeda waree bhi jurm hai....

Lehja Har Aik Lafz Ko by Arif Shafiq - Arif Shafiq Ghazal


Lehja Har Aik Lafz Ko Sachai De Gaya
Yani Qalam Ko Quwat-E-Goyai De Gaya

Bakhsha Hy Thokron Ne Sambhlne Ka Hosila
Har Hadsa Khayal Ko Gehrai De Gaya

Jis K Hawaley Se Thi Mere Fun Ki Aabro
Wo Umr Bhar K Wastey Ruswai De Gaya

Itni Hy Sirf Meri Mohabbat Ki Daasta'n
Ik Shakhs Tha Jo Zakhm-E-Shanasai De Gaya

Ab Khuwab Me B Bus Wahi Chehra Dikhai De
Uska Khayal Zehn Ko Beenaai De Gaya

Arif Me Doston Se Shikayat Hi Kya Karoon
Mujhko Fareb Mera Sagha Bhai De Gaya.....

Pathar hi sahi raah mein


Pathar hi sahi, raah mein hayal tou rahoon ga
Kuch dair taira mud'e muqabal tou rahoon ga

Jab tuk tairi bakhshish ka bahram khul nahi jata
Aye mairay sakhee, mein taira sayaal tou rahoon ga

Is wastay zinda hun sar maqtal-e yaraan
Wabasta-e kam zarfi-e qatal tou rahoon ga

Ayi taiz hawa maira dhowaan daikh k jana
Bujh kar bhi nishaan-e rah-e manzil tou rahoon ga..!

Dushman hi sahi naam tou lay ga maira tou bhi
Youn mein tairi awaaz mein shamil tou rahoon ga

Jab tum mein baghawat na karoon jabar o sitam se
Zindaan mein hun paband-e salasal tou rahoon ga

MOHSIN Zad-e ada se agar mar bhi gaya mein
Mayaar-e tameez-e haq o batil tou rahoon ga!

Jaan Sy Pyara


Jis ko Likhty Thy Kabhi Jaan Sy Pyary Jesa,
Door Wo Aesa Hua Hai K Siitary Jesa.. .

Jahan Milna Tha Wahan Tum Sy Bicharna Para Hai,
Ishq Bhi Tum Ny Kiya Hum Sy Guzarey JeSa.. .

Zakhm Bhi Deta Hai Marham Bhi W0hi Banta Hai,
W0 Kinara Bhi Nahi Karta Kinary JeSa.. .

Zindagi Itni Khasary Mai Rahi Hai Meri,
Ab Mujhy Nafah Bhi Lagta Hai khasary JeSa.. .

Tum Kehtey Thy K Acha Hai Zamana Hum Sy,
Ye Batao K Mila koi Hamary JeSa.!

Sabir Zafar Ghazal Collection - Sabir Zafar Poetry


Paani to mil gaya tha magar pi nahi saka
Jiney ki tarha aik bhi pal ji nahi saka

Mai aur charag dono bujhe k bujhe rahe
Jal bhi nahi saka, mai jala bhi nahi saka

Rakha hamesha usne mujhe iztarab mai
Mai rakh saka na yaad bhula bhi nahi saka

Auro'n k jism dhanpne me umr katt gaii
Apne liye libas, koi si nahi saka

Aisa nahi k koi bhi gohar na tha wahaan
Uss behr mai Zafar mai utar hi nahi saka....

Roz Mulakatein Hoti Hain


Roz Mulakatein Hoti Hain Baat Nahi Ho Paati Hain
Woh Pagli Mujhse Milne Ko Sakhiyo Ke Sang Aati Hain

Chanchal Chal Hiraniya Jaisi Bholi Bhali Lagti Hain
Roop Ka Sagar Hokar Bhi Woh Sadhepan Se Sajti Hain

Khilkar Phool Bikhar Jaate Hain Woh Aaise Muskati Hain
Uski Payal Ki Chanchan Se Mausam Rang Badalte Hain

Uske Bindiya Ki Cham Cham Se Chand Aur Taatrein Jalte Hain
Khwaabo Mein Bhi Aa Jaaye Toh Meri Neend Udati Hain

Tanha Tanha Mat Socha Kar.....


Tanha tanha mat socha kar
Mar jayega mat socha kar

Pyar ghadi bhar ka hi bohat hai
Sacha jhoota mat socha kar

Jiski fitrat hi dasna ho
Wo to dasega mat socha kar

Dhuup mein tanha kar jaata hai
Kyun ye saayah mat socha kar

Apna aap ganvaakar tuune
Paaya hai kya mat socha kar

Maan mere ‘Shehzad’ vagarna
Pachchtaye ga mat socha kar......

Naya pakistan inshallah Song with Lyrics


Download Naya Pakistan which is the latests song of Vital Sign. The last reunion of Vital Sign was in 2002 where they are back after 10 year and bring this song for us. The singer of the song Naya Pakistan are Junaid Jamsheed and Salman Ahmad who has sung together after a long time where the composition of song has done by Salman Ahmed, Sahi Hasan, Nusrat Hussain & Junaid Jamshed, the lyrics has been written by Aania Shah & Salman Ahmad, Bass by Shahi Hasan & Keyboards & percussions has played by Nusrat Hussain.

Lyrics Of Naya Pakistan:

InshAllah, InshAllah, InshAllah, InshAllah
Naya Pakistan, InshAllah
InshAllah, InshAllah, InshAllah, InshAllah
Naya Pakistan, Naya Pakistan
Naya Pakistan, Naya Pakistan

Insaaf Ki Awaaz Uthay
Zulm Ki Diwaar Giray
Haq Batil Pe Ho Chaaya
Haath Utha Kar Maang Dua
Naya Pakistan, InshAllah
InshAllah, InshAllah, InshAllah, InshAllah

Khawaab Apna, Khawaab Apna
Tabeer Ho, Tabeer Ho
Shaheen Ki, Shaheen Ki
Parwaaz Bano, Parwaaz Bano

Naya Pakistan, InshaAllah
InshAllah, InshAllah, InshAllah, InshAllah
Naya Pakistan, Naya Pakistan
Naya Pakistan, Naya Pakistan

Insaaf Ki Awaaz Uthay, InshAllah
Haq Batil Pe Ho Chaaya, InshAllah
Naya Pakistan, InshaAllah

Badlay Ga, Badlay Ga
Waqt Apna, Ab Waqt Apna, Ab Waqt Apna
Dekhay Ga, Dekhay Ga
Sara Jahan.. Sara Jahan, Sara Jahan
Naya Pakistan, InshaAllah
InshAllah, InshAllah
InshAllah, InshAllah
Naya Pakistan, Naya Pakistan
Naya Pakistan, Naya Pakistan

Insaaf Ki Awaaz Uthay
Zulm Ki Diwaar Giray, InshAllah
Haq Batil Pe Ho Chaaya
Haath Utha Kar Maang Dua, InshAllah
Naya Pakistan InshaAllah! InshaAllah…

Rehana Qamar Poetry - Rehana Qamar Ghazal


Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki,
Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki,

Woh sitam’gar hai to ab us se shikayat kesi,
Aur sitam karna bhi aadat purani us ki,

Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon per,
Chand aansu hain mere pass nishani us ki,

Us jafaa-kaar ko maloom nahin woh kya hai,
Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki,

Aik woh hai nazar andaaz kare hai mujh ko,
Aik mein hoon ke dil-o-jaan se deewani us ki,

Tum ko ulfat hai Qamar us se to ab keh dena,
Samne sab ke sunaa dena kahani us ki.....

Jan Nisar Akhtar Urdu Ghazal - Jan Nisar Akhtar Poem


Zindagi Ye To Nahi Tujhko Sanwaraa Hi Na Ho
Kuch Na Kuch Tera Ahsaan Utara Hi Na Ho

Kuu-E-Qaatil Ki Bari Dhoom Hai, Chal Kar Dekhin
Kya Khabar, Koochaa-E-Dildaar Se Pyara Hi Na Ho

Dil Ko Chhoo Jati Hai Raat Ki Awaz Kabhi
Chaunk Uthta Hoon Kaheen Tu Nay Pukara Hi Na Ho

Kabhi Palkon Pe Chamakti Hai Jo Ashkon Ki Lakeer
Soochta Hoon Tere Aanchal Ka Kinara Hi Na Ho

Zindagi Aik Khalish De Ke Na Reh Ja Mujhko
Dard Wo De Jo Kisi Soorat Gawara Hi Na Ho

Sharam Aati Hai K Us Shahr Men Ham Hain K Jahaan
Na Mile Bhiek To Laakhon Ka Guzaara Hi Na Ho…..!!

Mustafa Zaidi Urdu Poetry - Mustafa Zaidi Ghazal


Rokata hai gam-e-izhar se pindar mujhe
Mere ashkon se chupa le mere rukhsar mujhe

Dekh ae dasht-e-junun bhed na khulane paye
Dhundhane aaye hain ghar ke dar-o-divar mujhe

Si diye honth usi shakh ke majboori ne
Jis ke qurbat ne kiya maharam-e-asrar mujhe

Meri aankhon ke taraf dekh rahe hain anjum
Jaise pehchan gai ho shab-e-bedar mujhe

Jins-e-virani-e-sahara meri dukan mein
Hai kya kharidega tere shahar ka bazar mujhe

Jaras-e-gul ne kai bar bulaya lekin
Le gai reh se zanjir ke jhankar mujhe

Navak-e-zulm utha dashna-e-andoh sambhal
Lutf ke khanjar-e-benam se mat mar mujhe

Sari duniya mein ghani raat ka sannata tha
Sahan-e-zindan mein mile subah ke aasar mujhe....!!!

Itne sakoon ke din


Itne sakoon ke din kabhi dekhay na thay Faraz,

Asodagi ne mujh ko pareshaan kar dia....

Din Nikly To Soch Alag, Shaam Dhaly Wijdan Alag


Din Nikly To Soch Alag, Shaam Dhaly Wijdan Alag,
Umeed Alag, Aas Alag, Sakoon Alag, Tofaan Alag,

Tashbeh Doon To Kis Se, K Tery Husn Ka Har Rung,
Neel Alag, Zumrad Alag, Yaqout Alag, Marjan Alag,

Tery Ulfat K Taqazy Bhi Ajab Andaz K Thy,
Iqrar Alag, Takrar Alag, Tahzeem Alag, Farmaan Alag,

Gar Sath Nahi Ab De Sakty, To Baant Do Yakjaan Lamhen,
Masroor Alag, Nidhaal Alag, Purkaif Alag, Pershaan Alag,

Waqt-E-Rukhsat Alwida Ka Lafz Jab Kehny Lagy,
Aansoo Alag, Muskaan Alag, Betabi Alag, Hijan Alag,

Jab Chor Gaya Tab Daikha Apni Aankhon Ka Rung,
Hairan Alag, Pasheman Alag, Sunsan Alag, Bayaban Alag...

Us ne hannas kar humein


Us ne haNs kar hameN pukaaraa kya
Ho gya phir se woh hamaaraa kya?

Jashan sa shehar-e-jaaN mein kaisa hai
Aa raha hai wo maah paaraa kya?

Aarzoo, khaab, aas, mahroomii !!
Hausla phir bhi hum ne haaraa kya

Meri aankheN udaas rahti haiN
Ab na aaye ga wo dobaaraa kya?

AsmaaN par nazar nahi aataa
Kho gaya hai mera sitaaraa kya

Dard ki saltanat pe baithaa hai
Koi farma-N-rawaa dobaaraa kya

Ae dil-e-beqarar - rahne de!!!
Shehar-e-taskeen mein hamaaraa kya

Chaar aansu bahake sab chup hain
RayegaaN qatil hai hamaaraa kya.....

Woh Ghar Jahan Hai…


Woh ghar jahan hai mera
Her khuwab wahan hai mera

Woh baat main kaise bhula doon
Buchpan ghuzra hai jahan mera

Wo pal tha khushi ka lekin
Aaj ghar ghum se bhara hai mera

Hum ne sochi thi hazaroon munzil
Woh sab rah bikharta chala mera

Sab ki rah se alag tha main
Phir bhi ek aas bacha tha mera....

Bus tere liye udaas aankhein


Bus tere liye udaas aankheiN !!!!
Uff! maslehat naa shanaas aankheiN

Be noor hui haiN dheere dheere
Aayi nahi mujh ko raas aankheiN!

Aakhir ko gya wo – kaash rukta
Karti rahiN iltemaas aankheiN!!

Khaabeedah haqiqatoN ki maari
Paamaal aur bad hawaas aankheiN

Dar pesh janooN ka marhala, aur
Faqa hai badan to pyas aankheiN....!!!!

HaNse To AaNkh Se AaNsoo


HaNse to aaNkh se aaNsu ravaaN hamare hue
K hum pe dost bohat mehrbaaN hamare hue

Bohat se zakham haiN aise jo unke naam ke haiN
Bohat se qarz sar-e-dostaaN hamare hue

KahiN to aag lagi hai wajood ke andar
Koi to dukh hai K chehre dhuaaN hamare hue

Garaj baras ke na hum ko dubo sake baadal
To yeh hua K wohi baadbaaN hamare hue

‘Faraz’ manzil-e-maqsood bhi na thi manzil
K hum ko chhoR ke saathi ravaaN hamare hue.....

Badlaa Na Apne Aap Ko Jo Thay Wohi Rahe…


Badlaa na apne aap ko jo thay wohi rahe
Milte rahe sabhi se magar ajnabi rahe

Har waqt har maqaam pe haNsna mahaal hai
Rone ke waaste bhi koi be-kali rahe

Duniya na jeet paao to haaro na aap ko
ThoRi bohat to zehan mein naaraazgi rahe

Apni tarah sabhi ko kisi ki talash thi
Hum jiske bhi qareeb rahe door hi rahe

Guzro jo baaGh se to dua maaNgte chalo
Jis mein khile haiN phool wo daali hari rahe...!!!

Ye raat koi chal chal gayi hai…


Ye raat koi chal chal gayi hai
Jo nind bachi thi, jal gayi hai

Aankhon ka bahao hai musalsal
Chhoti si nadee ubal gayi hai !!

Maloon khezaan ki shar pasandi
Phoolon ka badan masal gayi hai

Jis mein teri aas jaagti thi !!!!
Wo shaam rupahli dhal gayi hai

Tu jab se bani hai dil ki zeenat
Haalat hi meri badal gayi hai

Ashaar tapak rahe hain paiham
Ek shaakh junun ki phal gayi hai

Ek Sookhaa Saa Shajar Yaad Aaya…


Ek sookhaa saa shajar yaad aaya
Aaj bhulaa hua ghar yaad aaya

Manzilen jab na muyassar aayeen
Khushgumaani ka safar yaad aaya.

Ghar banaane ki thakan yaad aayi
Aur phir raqs-e-sharar yaad aaya.

Uske hathon mein kharashein dekhin
Tab hamein apna bhi sar yaad aaya !

Geet gaate hue logo, tum ko
Kya koi chaak jigar yaad aaya.

Thaka Gaya Hai Musalsal Safar…


Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka
Aur Ab Bhi Hai Mere Shaane Pe Sar Udaasi Ka

Wo Koun Keemiyaa gar Tha K Jo Bikher Gaya
Tere Gulaab Se Chehray Pe Zar Udaasi Ka

Mere Wajood Ke Khalvat kade Mein Koi To Tha
Jo Rakh Gaya Hai Diya TaaQ Par Udaasi Ka

MaiN Tujh Se Kaise KahuN Yaar MehrbaaN Mere
K Tu ilaaj Nahi, Merii Har Udaasi Ka

Ye Ab Jo Aag Ka Darya Mere Wajood Mein Hai
Yehi To Pehlay Pahal Tha Sharar Udaasi Ka

Na Jane Aaj Kahan Kho Gaya Sitaar-e-Shaam
Woh Meraa Dost, Mera Humsafar Udaasi Ka

Faraz Deed-e-Pur Aab Mein Na DhooNdh Usay
K Dil Ki Teh MeiN Kahi Hai Gohar Udaasi Ka !

Dil Ke Uffaq Main Gumshuda Sitara...


Dil Ke Uffaq Main Gumshuda Sitara Mil Jaye,
Shab-e-Gham Mein Koi Jeene Ka Sahara Mil Jaye,

Woh Jo Ik Shakhs Bohat Kam Muyassar Hai Aaj Kal Humko,
Arzoo Ye Hai Ke Kisi Roz Wo Saara Mil Jaye,

Ain Mumkin Hai Ke Taabir Bhi Ek Jesi Ho,
Tere Khuwabon Se Agar Khuwab Hamara Mil Jaye,

Usey Kehna Ke Mulaqat Adhoori Thi Wo,
Usey Kehna Ke Kabhi Aa Kar Dobara Mil Jaye,

Nafa-e-Zeest Ki Kab Humne Tamanna Ki Hai Mohsin,
Kya Ye Kam Hai Ke "MOHABBAT" Ka Khasara Mil Jaye...

Tere hony par bhi khud ko tanha samjhon


Tere hony par bhi khud ko tanha samjhon.
Main bewafa hoon ya tujh ko bewafa samjhoon.

Teri berukhi se waqt tu guzar jae ga mera,
Ye khuddari hai ya teri anna samjhoon.

Tere baad kiya haal huwa hy mera,
Ye teri anayet hai ya saza samjhoon.

Zakhm dety ho or marham bhi lagaty ho,
Ye teri aadat hai ya adda samjhoon:.!!

Usi ka jaanfezaa paighaam aaya


Usi ka jaanfezaa paighaam aaya
Musibat mein khuda hi kaam aaya

Zara pasti mein qismat aazmaa lun
Bulandi se to main naakaam aaya

Bohat unchi uranen bharne walaa
Parindaa aaj zer-e-daam aayaa

Shaheed-e-ishq mein ye dekhnaa to
Hamaare baad kiska naam aayaa

Junun pahle se thaa teri gali mein
Kherad ko bhi wahin aaraam aayaa

Hamaari baat banne jaa rahi thi !
Tabhi basti mein aik gulfaam aayaaa....

Aaj patthar ka khuda yad aaya


Aaj patthar ka khuda yad aaya
Jo hua dil se juda yad aaya

Main sada bhulne mein raha tujh ko
Tu mager mujh ko sada yad aaya

Aaee aakon mein lahu ki rangat
Phir tera dast-e-hena yad aaya

Wo bhi hai meri tarah tanha
Hi tanhayeoN mein kya yad aaya

Dekh kar inki laga hai Ahmar
Waqt iqrar wafa yad aaya...

Raz-e-ulfat chhupa ke dekh liya..


Raz-e-ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bohat kuch jala ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baqi hai
Aap se dil laga ke dekh liya

Wo mere ho ke bhi mere na hue
Unko apna bana ke dekh liya

Aaj unki nazar mein kuch hum ne
Sub ki nazrein bacha ke dekh liya

Aas us dar se Tutti hi nahi
Ja ke dekha, na ja ke dekh liya

Faiz takmil-e-Gham bhi ho na saki
Ishq ko aazmaa ke dekh liya...!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails