Dil Yun Dharka K Pareshan Hua Ho Jaisy


Dil Yun Dharka K Pareshan Hua Ho Jaisy
Koi Be-Dhiyani Mein Nuqsan Hua Ho Jaisy

Rukh Badalta Hon To Sheh-Rag Mein Chubhan Hoti Hai
Ishq Bhi Jang Ka Maidan Hua Ho Jaisy

Jism Yun Lams-E-Rafaqat K Asar Se Nikla
Doosry Daur Ka Samaan Hua Ho Jaisy

Dil Ne Yun Phir Mery Seeny Mein Faqeeri Rakh Di
Toot Kar Khud Hi Pashemaan Hua Ho Jaisy

Thaam Kar Haath Mera Aisa Wo Roya MOHSIN
Koi Kaafir Se Musalman Hua Ho Jaisy

Na khat likhon na qalam


Na khat likhon na qalam tujhsey rahey,
Khamoshiyo ka yehi intaqam tujhsey rahey,

Rahey bas itna shanasai ka bharam baqi,
Ishar’tan hi dua-o-salam tujhsey rahey,

Na ehad tark-e-ta’aluq na na qurbatien paheem,
Bas ek rabt-e-musalsal madam tujhsey rahey,

Yehi rahey tera nashtar tera tareqey ilaaj,
Isi tarha ghum-e-dil ko dawam tujhsey rahey,

Nazar me aks fishan ho terey jamal ki dhoop,
Dayar-e-jan me sada rang sham tujhsey rahey,

Ab is sey barh k mujhey chahiye bhi kya akhir,
dayar-e-fan me agar mera naam tujhsey rahey.

Hum to kitno ko meh jabeen kehtey..


Hum to kitno ko meh jabeen kehtey,
Ap hain is liye nahi kehtey,

Chand hota na asman pey agar,
Hum kisey aap sa haseen kehtey,

Ap kay paon phir kahan partey,
Hum zameen ko agar zameen kehtey,

Ap ney oron sey kaha sab kuch,
Hum sey bhi kuch, kabhi, kaien kehtey,

Aap kay baad ap hi kahiye,
Waqt ko kesey hum’nasheen kehtey,

Wo jo wahid hai main bhi wahid hun,
Kis sabab sey hum afreen kehtey.

Shabeeb Hashmi Ghazal - Shabeeb Hashmi Urdu Poetry


Aik khawab musalsal ata hai,
Tera chehra roop sajata hai,

Pholon pay bhanwray ki manand,
Meray dil ko woh behelata hai,

Ankhoon kay surmai rangon say,
Meray maan ko rah dekhata hai,

Apnay lams ki bheeni khushbo say,
Meray ahsas ko woh mehkata hai,

Dharkano kay sur aur sargam say,
Woh mujh ko geet sunata hai,

Chand say lay kar hussan ki sogat,
Mujhy need say woh jagata hai,

Apni sansoon ki dheemi anch pay,
Meray taan ko woh sulgata hai,

Aik khawab musalsal ata hai,
Tera chehra roop sajata hai..

Udas Lamhon Ki Aziat


Udas Lamhon Ki Wo Aziat
Main Bhool Paon Ye Kesay Mumkin

Main Apni Aankhon Ke Rutjagon Ke
Azaab Bholon Ye Kesay Mumkin?

Falk Ke Taroo Zameen Ke Yaro
Tumhare Chehre Ki Muskraht

Main Bhool Paon
Ye Kesay Mumkin.?

Wo Betay Lamhon Ke Tore Waday
Main Bhool Paon Ye Kesay Mumkin.?

Wo Bachpane Ki Thi Aarzoyen
Main Bhool Paon
Ye Kesay Mumkin.?

Wo Din Dihare Sark Pe Rona
Main Bhool Paon
Ye Kesay Mumkin.

Dhaltay Soraj Ki Qasm


Dhaltay Soraj Ki Qasam Chand Sitaron Ki Qasam.
Maine Us Shakhs Ko Chaha Hi Nahi Poja Hai.

Suhane Din Ki Qasam Piyar Ke Maroun Ki Qasam.
Wo Meri Zaat Mein Zinda Hai Mere Hone tak.

Haq-o-Batil Ki Qasam Jhoot Se Nafrt Ki Qasam.
Usay Pakeeza Khiyalon Mein Sirf Socha Hai.

Deen-o-Duniya Ki Qasam Allah Ki Wahdat Ki Qasam.
Main Usay Chahon Ga Apna Guzar Hone Tk.

Zar parasti hayat ho jaye


Zar parasti hayat ho jaye
iss se behter hai k wafat ho jaye

Phir main dunia mein ghoom sakta hon
jism se gar nijat ho jaye

Aik devi ki ankh aise lagi
jese mandir mein rat ho jaye

Buut shikan kia bigar sakte hain
dil agar somnaat ho jaye

Kitne beemar-e-ishq bach jaen
Husn per agar zakat ho jaye

Ap dil chor ho to, ham ehal-e-dil
waqt do wardat ho jaye

Aankh oarhna jisey be aa jaye
mahir-e-nafsiat ho jaye

Ishq jab aina-e- zat ho
khaliq-e-mojzat ho jaye

Aks-e-laila se Qais bat to kare
ain mumkin hai bat ho jaye...!!!

Kuch Aisi Ajab Raat Hai


Tanhayi Ki Yeh Kuch Aisi Ajab Raat Hai
Tujhse Judi Hui Har Yaad Mere Saath Hai

Kis Kadar Ki Thi Mohabbat Humne Tumse
Soch Kar Hui Aaj Ashqon Se Mulaqaat Hai

Kaisa Junoon Tha Us Ishq Mein Dil Ro Aya
Machal Utha Phir Se Har Woh Jazbaat Hai

Tu Mujhko Bewafa Keh Gaya Najane Kyo
Gar Chahna Bewafayi Hai , To Bewafayi Ki Raat Hai

Tadap Raha Hai Tanha Chand Bina Chandni K
Is Andheri Raat Mein Aaj Kuch Aur Hi Baat Hai

Yu Aye Zindagi Mujhe Akela Chordh Diya Tune
Ke Kafan Odh Rahi Mujh Par Aaj Yeh Raat Hai

Ye Fakhar To Hasil Hy K Bury Hain K Bhaly Hain


Ye fakhar to hasil hai buray hain ke bhalay hain
Do char qadam hum bhi tere sath chalay hain

Jalna to charagho ke muqadar hai azal se
Ye dil ke kanwal hain ke bujay hain na jalay hain

Nazuk thay kahin rango baye saman se
Jazabat ke adab ke sanchay main dalay hain

Thay kitnay sitaray ke sahar sham he dobay
Hangam sahar kitnay he khursheed dhalay hain

Jo jheel gaye huns ke kari dhoop k taywar
Taro ki khanak chaon main wo log jalay hain

Jab tere tasawar ne jalai nahi shamain
Lamhat wohi apany dil-o-jan pay khilay hain

Khushbo se to andaza-e-shaban nahi hota
Wo kon se nagmay thay ke pholo main dhalay hain

Ik shama bujai to kai our jala lein
Hum gardish-e-doran se bari chal chalay hain....

Tum Ne Sun Liya Hoga


Tum ne sun liya hoga
Chaahton k mausam main
Zakham jo bhi lag jaye
Umar bhar nahi silta!!!

Tum ne sun liya hoga
Sheharr ki hawaaon se
Woh jo aik deewana
Aatay jaatay raahi ko
Raaston main milta tha
Ab kahin nahi milta...!!!

ShoR Sa Aik HaR Aik Simt


ShoR Sa Aik HaR Aik Simt Bapaa Lagta Hai
Wo Khamoshi Hai K Lamha B Sadaa Lagta Hai

Kitna Saakat NazaR Aata Hia Hawaoon Ka BadaN
Shaakh Pe Phool B Pathraya Huwa Lagta Hia

Sheekh Uthti Huwei Har GhaR Se NazaR Aati Hai
HaR MakaaN ShahaR Ka Aasaib Zadaa Lagta Hai

Aankh Har Rah Pe Chipki He Chali Jaati Hai
Dil Ko HaR MoRe Pe Kuch Khooya Huwa Lagta Hia

Kitna Haasad HooN K Ik Tu He MeRa Apna Hai
AuR Tu Theek Se Hanstaa Bhi BuRaa Lagta Hai

Taaron Ki Roshni


Agar Taaron Ki Roshni Chura Li Jaye,
To Wo HaMesha Ke Liye Andheron Mein Kho Jayein,

Agar Chand Se Chandni Na Mile
To Wo Banjar ZaMeen Ke Siwa Kuch Bhi Nahi Hai,

Ye Nazuk Phool Rangon Aur Khushbuon Ke Bina Kuch Bhi To Nahi,
Pani Jo Pyaas Na Bujha Paye Wo Pani Hi Kya,

Ek JisM Rooh Ke Bagair Bejaan Hai,
Bas Ek Khaak Hai, Bas Mitti Hai,

TuMhare Bina Meri Zaat Aise Hi Hai,
TuM Bin Ye Ehsaas, Ye Jazbaat, Ye Lagan
Sab Be Maani Hai, Be Sood Hai,

Mera Dil Aur Meri Rooh Bechain Hai,
Mujhe Sukoon Nahi, Mujhe Qarar Nahi Hai...

Ab Do Alam Se Sada-e-Saz


Ab Do Alam Se Sada-E-Saaz Aati Hai Mujhey
Dil Ki Ahat Se Teri Avaz Aati Hai Mujhey

Ya Samaat Ka Bharam Hai Ya Kisi Nagmein Ki Gonj
Ek Pahachani Hui Avaz Aati Hai Mujhey

Kis Ne Khola Hai Hava Mein Gesoon Ko Naz Se
Narmrau Barasat Ki Avaz Aati Hai Mujhey

Us Ki Nazuk Ungaliyon Ko Dekh Kar Aksar "Adam"
Ek Halki Si Sada-E-Saz Aati Hai Mujhey

Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat


Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat,
Wagarna tark-e-taluq ki soortain theen bohat,

Miley to toot roye na khul ke batain keen,
Ke jese ab dilon mein Kudurtain theen bohat,

Bula diye hain tere gham ne dukh zamane ke,
Khuda nahin tha tou pathar ki moortain theen bohat,

Dareeda peerhano ka khayal kya ata,
Ameer sheher ki apni zarooratain theen bohat,

Faraz dil ko nigahon se ikhtlaaf raha,
Wagarna sheher mein hum-shakal soortain theen bohat.

Dost Bankar Bhi Nahi Saath Nibhane Wala,


Dost Bankar Bhi Nahi Saath Nibhane Wala,
Wahi Andaaz Hai Zaalim Ka Zamane Wala,

Ab Ise Log Samajthe Hai Giraftaar Mera,
Sakht Nadeem Hai Mujhe Daam Mein Laane Wala,

Kya Kahein Kitne Marasim The Hamare Isse,
Wo Jo Ek Shakhs Hai Munh Pher Ke Jaane Wala,

Tere Hote Hue Aa Jaati Thi Saari Duniya,
Aaj Tanha Hoon To Koi Nahi Aane Wala,

Muntazir Kiska Hoon Tooti Hui Dehliz Pe Main,
Kaun Aayega Yahan Kaun Hai Aane Wala,

Maine Dekha Hai Baharon Mein Chaman Ko Jalte,
Hai Koi Khwaab Ki Taabeer Batane Wala,

Kya Khabar Thi Jo Meri Jaan Mein Ghula Hai Itna,
Hai Wohi Mujhko Sar-E-Daar Bhi Laane Wala,

Tum TaQalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho 'Faraz',
Dost Hota Nahi Har Haath Milane Wala...

Dukh Fasana Nahi Ke Tujh Se KaheN


Dukh fasana nahi ke tujh se kaheN
Dil Bhi Mana nahi k tujh se kaheN

Aaj tak apni bekali ka sabab
Khud bhi jana nahi k tujh se kaheN

Be tarah haal E dil hai aur tujh se
Dostana nahi k tujh se kaheN

Ek To harf E aashna tha magar
Ab zamana nahi k tujh se kaheN

Qasid hum faqeer logoN ka
Ab thikana nahi k tujh se kaheN

Ya khuda dar E dil hai bakhshish dost
Aab O dana nahi k tujh se kaheN

Ab to apna is gali men ” Faraz “
Aana jana nahi k tujh se kaheN

Kuch Na Kisi Se Bolein Gaye


Kuch na kissi se boleN gae
Tanhai meiN ro leN gae

Hum be raah ravon ka kya
Saath kissi ke ho leN gae

Khud to hue ruswa lekin
Tere bhed na kholeN gae

Jeevan zeher bhara saagar
Kub tak amrit gholeN gae

Neend to kya aayegi 'Faraz'
Maut aai tho so leN gae

Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thi


Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee,
Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota

Bay Niazi Say Magar Kaanpti Aawaz K Saath
Tu Nay Ghabra K Mera Naam Nah Poocha Hota

Terey Buss Main Thee Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lau
Terey Rukhsaar Main Gulzaar Nah BhaRka Hota

Youn To Hwin Mujh Say Buss Aa-o-Hawa Ki Batein
Apnay tootey Huey Fiqron Ko To Parkha Hota

Youn He Bay Wajah He Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee
Dam-e-Rukhsat Agar Kuch Yaad Nah Aaya Hota

Tera Ghammaz Bana jo tera Andaz-e-jurm
DiL Nah Sumbhla Tha To Qadmon Ko Sumbhala Hota

Apnay badley Meri Tasveer Nazar aa jati
Tu Nay Us Waqt Agar Ayena Dekha Hota

Hosla Tujh Main Nah Tha Mujh Say juda Honay Ka
Warna Kaajal Teri Aankhon Main Nah Phela Hota

Ek Khidki gali ki khuli raat bhar


Ek Khidki gali ki khuli raat bhar
Muntazir jane kis ki rahi raat bhar

Hum jalate rahe apne dil ke diye
Terji qatal hoti rahi raat bhar

Meri Ankhon ko karke ata ratjage
Meri tanhayi soti rahi raat bhar

Ek khusboo daraazon se chanti hui
Dastakein jaise deti rahi raat bhar

Dil ke andar koi jaise chalta raha
Chaap khadmon ki aati rahi raat bhar

Ek tahreer jo is ke haathon ki thi
Baat who mujh se karti rahi raat bhar...!!!

Kabhi sajna, kabhi kangna


kabhi sajna, kabhi kangna kabhi gulzaar lagti ho
Jo hansti tum bhoolay se koi gulnaar lagti ho

Tumhari laambi palkain, tumhari dilruba aankhein
Soti ho jab raaton ko koi funkaar lagti ho

Tumharay surkh yeh aariz, tumhari reshami baahein
Meri khawaboon ki jannat ka koi kirdaar lagti ho

Tumharay phool se gaisu jab urrtay hai fizaaon mein
Sunehri shaam aur suraj ki koi takraar lagti ho

Tumhara gandumi chehra meri yadoon ki daulat hai
Barasti ho jab aankhon se koi phuwaar lagti ho

December mein meri jaana kabhi jo rooth jati ho
Hijr ki aag mein jalti koi talwaar lagti ho

Tumharay husn ka sadka ghazloon mein ada kar k
Likhta hoon jab kaaghaz par koi shahkaar lagti ho...!!

!!~~!!~~!!~~!!~~!!<<>>!!~ ~!!~~!!~~!!~~!!

Mujhe Tum Se Mohabbat Ho Gae Hai


Dil-o-jaan se aqeedat ho gae hai
Muje tum se mohabbat ho gae hai.

Tumhari yad mein aansoo baha kar,
Samjhta hoon abadat ho gae hai.

Andheri zindagi mein roshni si,
Tumhari he badolat ho gae hai.

Yeh socha tha ke tum ko bhool jaon,
Mere under bagawat ho gae hai.

Teri aankhon ko chona chahta hoon,
Muje rangoon se ulfat ho gae hai.

Hoi dushman yeh dunya jab se Arshad,
Meri chahat mein shidat ho gae hai.. 

Tujhe Mujh Se, Mujh Ko Tujh Se


Tujhe Mujh Se, Mujh Ko Tujh Se, Jo Bohot Pyaar Hota
Na Tujhe Qaraar Hota, Na Mujhe Qaraar Hota

Tera Har Marz Ulajhta, Meri Jaan-E-Natawan Se
Jo Tujhe Zukaam Hota To Mujhe Bukhaar Hota

Jo Mai Tujh Ko Yaad Karta, Tujhe Cheenkna Bhi Parta
Mere Sath Bhi Yaqeenan Yahi Baar Baar Hota

Kisi Chawk Mai Lagate Koi Chooriyun Ka Khokhaa
Tere Shehr Mai Bhi Apna, Koi Kaarobaar Hota

Gham-o-Ranj Aashiqaana, Nahi Calcu latoraana
Usse Mai Shumaar Karta, Jo Na Be-Shumaar Hota

Wahan Zair-E-Behs Aate, Khad-O-Khal-O-Khuye Khoobaan
Gham-E-Ishq Par Jo Anwer, Koi Seminar Hota

Dil Soch Ka Pinjra Hai


Dil soch ka pinjra hai
Ik baar hi khulta hay

Dil pyaar ka soda hai
Ik baar hi hota hai

Dil yaad ka badal hai
Be-ant hi brastaa hai

Dil pyaar ka bhooka hai
Apno ko trasta hay

Dil pyaar ka dryaa hai
Seenay mai machalta hai

Dil shaam ka tara hai
Ankhoon mai chamakta ha

Dil hijar ka pathar hai
NAZroon mai khtakta hai

Dil pyar ka sehra hai
Barish ko trasta hai

Dil dard ka tukra hai
Seenay mai sulagta hai

Meri Shaam Na Honey Dena.....


Itne dher se khawabon mein,
Mere khawb sambhaley rakhna,
Dil ka sheher ujaley rakhna,

Itne dher se chehron mein,
Mera chehra dheyaan mein rakhna,
Kuch yadain samaan main rakhna,

Itni dher se baton main,
Pehli baat bhula na dena,
Pehla ishq ganwaa na dena,

Itne dher se raston mein,
Tanhai ka ddar na dena,
Mujh ko tanhaa kar na dena,

Itne dher se naamon main,
Mera naam na khoney dena,
Meri shaam na honey dena..

Dil Ko Jab Dasne Lagi Thi


Dil Ko Jab Dasne Lagi Wehshat Bhari Tanhayi .... !!
Hum Teri Yaadon Ki Mahfil Saza Ke Roaay..

Muje Choo Ker Jo Guzri Aaj Baad-e-Saba...!!
Hum Tere Aanchal Ki Khushboo Yaad Ker Ke Roaay..

Ab Na Sunaen Gae Kisi Ko Dastan-e-Hijran..!!
Meri Kahani Sunne Wale Bhi Dil Khol Ke Roaay..

Sunai Jo Meri Dastan Kal Shab Chand Ne Sitaron Ko..!!
Woh Bhi Meri BeBasi Pe Munh Chupa Ke Roaay..

Koi Tou Bata De Yeh Asif Ko Aa Ke..!!
Kia Kabhi Woh Muje Ko Yad Ker Ke Roaay.....


Ho gai jism ki poshak


'Ho gai jism ki poshak badlney wali
Par nahi roah ki khurak badlnay wali

Apnay sar ka koi saaya be badlta hai bhala
Meri Darti nahi aflaak badlnay wali

Kis ne luta hai tumhein dy ke muhabbat ka yaqeen
Wo jo har pal main hai adraak badlnay wali

Gumtay gumtay es par hi mukaml hon ga
Apni fitrat hi nahi chaak badlnay wali

Jis ka hiray se har ek aang bna ho shahzad
Gul ki pati se hai kia khaak badlnay wali...!!!

Tum subah ka tara lagte ho


Tum subha ka tara lugtay ho
Ik noor ka dhara lugtay ho

Ye phool,chiragh kahan tum say
Tum chand sitara lugtay ho

Kya nirmal komal lehja hai
Tum share hamara lugtay ho

Main behta pani darya ka
Tum aik kinara lugtay ho

Ye sari afshan tum say hai
Tum dhanak ka dhara lugtay ho

Main Arshad raat samandar sa
Tum dhoop kinara lugtay ho...!!!

Muhabbat Ke Anokhe They Sabhi Andaaz


Muhabbat ke anokhe they sabhi andaaz, kya karte?
Rahay hum bhi gurezaan, aap bhi naaraaz, kya karte?

Sanam tujh se muhabbat ka bhala aaghaz kya karte
Labon per baat ayi, par na thi aawaaz kya karte?

Mere ahbaab kyaa karte, mere dam-saaz kyaa karte?
Mujhe jab dard hi tha raas, chaara-saaz kya karte?

Hujoom-e-shehr me hum kho gaye kuch chain paane ko
Akele me satati thi terii aawaaz kya karte?

Dil-e-naazuk hamara us ne pal me torr Daala tha
Usey bhaati thi tootey kaanch ki aawaaz, kya karte?

Ham us ke saamne chup saadh kar baithaa kiye, phir bhi
“Jafaa-kaarii se pesh aaya woh Heelaa-saaz, kyaa karte?”

Saja kar sou tabassum aik Ghum tum se chupati thi
Magar ANMOL ke tum jaan kar woh raaz, kya karte

Mujhse karta hai woh meri baatein


Mujhse karta hai woh meri baatein
Roz sunta hai woh meri baatein

Hont khamosh hein magar 
Rukh se parhta hai woh meri baatein

Baat karne pe kal na maael tha
Aaj karta hai woh meri baatein

Ronay lagta hai dekh kar chehra
Sun ke hansta hai woh meri baatein

Yun to har cheez bhool jata hai
Yaad rakhta hai woh meri baatein

Ghore say harf harf parhta hai
Dil pay likhta hai woh meri baatein

Jane kyun har kisi say
Karta hai woh meri baatein

Gairon Se Shikwa


Gairon Se Kabhi Shikwa-e-Yaraan Nahi Karte
Aysa Nahi Karte Kabhi Jaana, Nahi Karte,

Khushiyon Ko Hain Seene Se Lagaaye Howe Rehte
Har Ranj Ko Paywast-e-Rag-e-Jaan Nahi Karte,

Khud Ishq Hi Dilwaata Hai Ushaaq Se Jaanein
Jaan Waar Kay Woh Husn Pe Ihsaan Nahi Karte,

Ek Qaol Nibhane Mein Laga Dete Hain Jeevan
Jhoote Teri Soorat Kabhi Paymaan Nahi Karte,

Jis ZUlm Se Insaan Ne Hai Insaan Ko Lataara
Uff Mer Khuda! Aysa To Haywaan Nahi Karte,

Dushman Ko Bhi Jeene Ko Dua Dete Hon Jo Log
Takleef Pe Dushman Ki Charaghaan Nahi Karte,

Bin Tere Khizaan Bhaa Gaie "Shahzad" Kuch Aysi
Muddat Howi Hum Jashn-e-Baharaan Nahi Karte.

Baat Izhar Tak Chali Aae - Asif Shehzad Ghazal


Baat izhar tak chali ae.
Lali rukhsar tak chali ae.

Dhondte dhondte nazar tuje ko,
Dar-e-dewar tak chali ae.

Tere jane ki jab khabar mili,
Tergi dar tak chali ae.

Kia kashish thi ke chahne wali,
Shehar se gar tak chali ae.

Kab kis se woh rukne wali thi,
Mot darbar tak chali ae.

Itna roe ke anso'on ki nami,
Teri dewar tak chali ae.

Tere gham nara zan rahe dil mein,
Gonj pandar tak chali ae.

Aankh milne ki dair thi Shehzad,
Baat iqrar tak chali ae..!!!

Mere Aansoo Mere Andar Girte Hain


Mere Aansoo Mere Andar Girte Hain
Jaise Darya Beech Samandar Girte Hain

Teri Yaaden Woh Tufaan Uthati Hain
Ek Ek Kar Ke Saare Manzar Girte Hain

Kitni Laheren Shairoon Main Dhal Jati Hain
Soch Ke Pani Main Jab Pathar Girte Hain

Hum Ne Thokar Kha Kar Chalna Seekha Hain
Aur Hain Woh Jo Thokar Kha Kar Girte Hain

Rone Wale Yeh Tujh Ko Maloom Nahin
Tere Aansoo Mere Dil Par Girte Hain

Tum Bas Is Ka Rog Laga Kar Baithe Ho
Sapnon Ke Yeh Ghar To Aksar Girte Hain

Kaat Raha Hai Koi Aankhoon Mein
Takiye Per Yeh Khuwab Jo Shab Bhar Girte Hain

Jhooti Hansi


Jhooti Hansi Main Ghum Chupana Kitna Mushkil Hai,
Kis DiLbar Ko Yun Bhulaana Kitna Mushkil Hai.

DiL Pe Ho Chaya Yaadon Ka Ghoor Andhyra,
Aisay Main Koi Deep Jalaana Kitna Mushkil Hai.

Socha To Tha Zindagi Bhar Saath Jiyen Gay D0n0,
Ye Jaana Hai Ab Kay Ehd Nibhaana Kitna Mushkil Hai.

Poocha Hai Aaj Ek Sawal Taqdeer Say Main Nay..!
Chaha Ho Jisay Puray DiL Say Us-Ko Paana Kitna Mushkil Hai...!~

Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain


Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Shayar

Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Me

Koi Mohabbat Likh Deta Hoon ?

Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon ?

Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
Saari Baatein Keh Jata Hoon ?.

Main To Ek Khamosh Sa Shayar
Mujhko Baatein Kab Aati Hain ???

Mujh Ko Baatein Gar Aati To

Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???
Mere Sapne Tod Kar Jaati ???

Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke
Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ???

Mera Kul Sarmaya Tha Jo
Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???

Mujh Ko Baatein Gar Aati To

Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta
Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein

Saare Raaste Bhool Aayi Ho

Main Thera Khamosh Sa Shayar

Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Bhi Mere Khwab Sajaati

Yoon Na Tanha Chhor Kar Jaati

Kaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..

Atif Saeed Urdu Poetry | Atif Saeed Ghazals


Na sahi gar mera khayal nahi,
Baat ko is qadar uchaal nahi

Yeh to me ne bhula dia hai tujhe
Is me tera koi kamal nahi

Tu ne di muskra k sheh is ko
Warna dil k mere majal nahi

Hijr bhi do dilon ka rishta hai
Is judai ka ab malal nahi

Kyoun teri aankh me nami aayee
Mera aisa bura to haal nahi

Me kahin or reh nahi sakta
Dekh dil se mujhay nikal nahi

Mujh se agar rabta torna hai tujhay
Mere tohfon ko youn sambhaal nahi

Kaat de sar tujhe ijaazt hai
Meri paghri magar uchaal nahi

Yaad karne se saans rukti hai
Bhool jana bhi kum mahal nahi

Pehle aadi nahi bnana tha
Ab mujhay is tarha se taal nahi

Maat khai hai jis se ab me ne
Yeh mere dushmano ki chaal nahi

Is se bachna hai kis leye Atif
Yeh mohabbat koi wabbaal nahi

Wao

Related Posts with Thumbnails