Agar Wo Pyar Kar Leta


Agar wo pyar kar leta, Mera daman pakar leta,

Tou...
Jeewan me faqat us se,
Mohabbat farz ho jaati, Mohabbat qarz ho jaati,
Magar...
Acha kia us ne,
Mujhe samjha k chal nikla, Mujhe thukra k chal nikla,
Bahut nadan sa hai wo, Abi anjaan sa hai wo,
Kahan maloom hai us ko,
Mohabbat zindagi mein bus faqt ik baar milti hai,
Agar thukra k chal niklein,
To umrain beet jaati hain, Mohabbat ki tamanna mein
Magar,
Har aik rasty par, Bahut ruswai milti hai,
Faqat tanhai milti hai...

Andhairi Raah-Guzaaron Main


Andhairi raah-guzaaron main
Sitaarey ham ko mil jaatey
Kinaarey ham ko mil jaatey
Hazaaron rang Jeewan main
Mehektay khilkhilaa uthtay
Sabhi shaamain mehek uthteen
Sabhi subhain chamak jaateen
Mein iss kam zarf duniya say
Kinaara kar kay chal parta
Bina daikhay binaa samjhay
Main uss kay saath chal parta
Magar ye tab hi ho pataa.....
Agar woo saath day daitaa..!!!

Kabhi Waqt Miley To Aa Jao


Kabhi Waqt Miley To Aa Jao,
Hum Jheel Kinare Ja Baithein,

Tum Apney Sukh Ki Baat Karo,
Hum Apne Dukh Ki Baat Karein,

Aur Baat Karein Un Lamhon Ki,
Jo Sang Tumhare Beet Gaye,

Aur Ahd-e-Khizaan Ki Nazar Huwe,
In Sabz Ruton Ke Daman Mein,

Hum Pyar Ki Khushboo Mehkayein,
In Bikhre Sabz Nazaron Ko,

Hum Aankhon Mein Tasveer Karein,
Phir Apne Pyar Ke Jaadoo Se,

Hum Lamhon Ko Jageer Karein,

Kabhi Waqt Miley To Aa Jao,
Kabhi Waqt Miley To Aa Jao ♥ !

Batao Aaj Kahan Milo Gay Tum


Btao ...!
Aaj kahan milo gay tum...!
Tumain ik phool dena hai...tum se ik ehd lena hai...
Tumain dil, dharkan, jan kehna hai...

Jo juda karney ki hn sazashain,
Unahain bejaan kehna hai...,
Haan tum se bht kuch kehna hia...
Btao...!!
Kia muhabbat main ik phool kafi hoga....
Ya phir tum chand mango gay..?
Ya phir meri jaan mango gya....
Ya phir hijr ka azzab mango gay...
Btao...!
Kahan milo gay tum...?
Tumain ik phool dena hai...!!!

Tum Ab Ager Mil Bhi Jao


Tum ab ager mil bhi jao
To kia hasil
Ke ab hum zindgi ke us moor per hain
Jahan humain kisi cheez ki khawahish nahi
Na tumhain panay ki na kho denay ki
Na hasnay ki na roo denay ki
Tumhain maloom hai
Ke khawahishoon ki ik umr hoa kerti hai
Meri tamam khawahishain maar chuki hain
Aur tum bhi unhi khawahishoon main shamil hoo

Main Sochti Hon..


Main sochti hon..
Tera mohabat se paish ana..
Meri khushi mein sharik hona..
Mere ghamon pey udas hona..
Main roth jaon mujhe manana..
Nazar na aaon sakoon na pana..
Meri kitabon mien phool rakhna..
Mere liye shair kehna...
Kahien..
Teri adatien hi na hon..
Main shaki larki tu..
Is Qadar hon..
Zara bhi teri mohabat mien..
Kami howi tu..
Main tujh se shikwa kiye bina hi..
Tumam bundhan hi tor dongi..
Koi bhi waja nahi suno gi..

Kabhi Jo Ehsaas Ho Tum Ko


Kabhi jo ehsaas ho tum ko...
Ke...tum acha nahi karte...
Jo mujh ko yoon rulaate ho...
Lahoo mera jalaate ho...
Agar is aagh mein jal kar...
Main ik din raakh ho jaaoon to...
Mujhy dil se bhulaa dena...
Samunder main bahaa dena...
Magar!
Ye yaad rakhna tum...
Khuda se ye duaa karna...
Ke...
Jo acha lage tum ko...
Woh tum jaisa hargiz na ho...
Wagarna tum bhi ro gay...
Mujhy jaise rulaate ho....!!!

Qalam Hath Main Thamey


Qalam hath mein thamey
Tumhara he tassawur liye
Jaaney kitni dair say baitha
Tumhain hee soch raha tha
Lafz koi bhaaya nahi
Kuch bhi samajh mein aaya nahi
Yaadain
Hijr ke soaz main doobi
Karrah rahi then
Yoonhi bey-khayaali mein
Daikha tou
Khizaan hee khizaan thi har soo
Safhey saarey geelay thay
Khuwaab saarey peelay thay

Ab Ke Baar Eid Per Mehndi Lagao To


"Ab Ke Baar Eid Per Mehndi Lagao To Mujhe Yaad Kerna,
"Jo Milne Jaao Apni Saheliyon Se To Mujhe Yaad Kerna,

"Jala k Ek Charag Eid Per Apni Chokhat Per Rakh Jana,
"Bujh Gaya Ager Hawa Se To Mujhe Yaad Kerna,

"Khol k Reshami Balon Ko Eid k Roz Jab Betho Gi Sub k Beech,
"Sanwary Ga Nahin Koi Baal Tab Mujhe Yaad Kerna,

"Likhna Naam Mehandi Se Apne Hathon Per Mera,
"Jab Mitte Ga Nahi Tab Mujhe Yad Kerna,

"Bhool Bethi Ho Tum Duniya Dari Me Sab Kuch Arse Se,
"Lo A Gai Hai Phir Eid Ab Tum Mujhe Yaad Kerna....!

Tum Nay Pocha Tha Kabhi


Tum nay pocha tha kabhi
Kia main nay mohabbat ko dekha hai
Mohabbat too ehsas hai bas
Mohabbat chahra nahi rakhti
Lakin
Main nay dekha hai
Haan
Main nay dekha hia muhabbat ko
Ke meri mohabbat tum ho
Aur main nay tum ko barha dekha hai

Juda Hone Ka Andesha


Juda hone ka andesha,
Juda hone se pehle tha

Wo mujh se intehai khush,
Khafa hone se pehle tha

Junoon ka daur guzra tou,
Mujhe bhi bhool betha wo

Namaz-e-ishq tha lekin,
Qaza hone se pehle tha

Main kese soch sakta tha,
Mujhe wo chorr jaye ga

Bohut hi ba-wafa wo,
Be-wafa hone se pehle tha

Kabhi Tum Bhi Nazar Aao....


Subha se shaam tak Ham Ko ...
Bohat se log miltay hain
Nigahon se guzartay hain
Koi andaaz tum jesa...
Koi humnaam tum jesa,,,
Magar, tum he nahi miltay
Bohat bechain phirtay hain,,,
Baray betaab rehtay hain,,,
Dua ko haath uthtay hain,,,
Dua mein ye he kehtay hain,,,
Lagi hai bheer logon ki...
Magar iss bheer mein Jaana..!
Kabhi, tum bhi nazar aao....
Kahin, tum bhi nazar aao!!!!

Us Junoon Mein Ek Rahat Thi


Us junoon mein ek rahat thi
Jo sirf teri chahat thi
Us chahat mein ek andaz tha
Jo meri dharkano ka raaz tha
Us raaz mein ek khushbo thi
Jo meri soch ki justju thi
Us justju mein ek hasrat thi
Jo meri khushiyoun ki shararat thi
Us shararat mein ek ehsaas tha
Jo hamesha mere pass tha
Us pass mein jo ek araam tha
Woh bus sirf ek tera naam tha.......!!!!

Lamha Lamha Tere Wajood Mein


Lamha lamha tere wajood mein basar hota,
Khoob hota Jo main teri rooh ka mehwar hota,

Teri In Jheel si ankhon mei mera ghar hota,
Teri ankhein Jo dekhti main wo manzar hota,

Kbi patJhar,
Kbi rimJhim,
Kbi sawan,
Kbi badal,
Kbi panchi,
Kbi amber hota,

Teri Umeed ka hasil,
Teri khawhish ka sila,
Main tere Ishq tere sabar ka samar hota,

Kya khoob hota Jo main teri rooh ka mehwar hota,
Kaash....
Lamha lamha tere wajood mein basar hota..!

Hamare Bus Main Hota To


Hamare bus main hota to....

Tumhain banhon main bhar lete....
Tumhain sub se chupa leta....
Tumhain ankhon main rakh lete....
Kabhi na rothne deta....
Kabhi na tootne deta....

Tumhain hum qaid kar lete....

Bus apne dil ki duniya main....
Kisi bhi haal main hum phir....
Tumhain azad na karte....
Sabhi duniya bhula dete....
Tumhain apna bana lete....

Hamare bus main hota to....

Magar hai bebasi aesi....
Hamara dil machalta hai....
Tumhain he yad karta hai....
Tumhara qurb chahta hai....
Magar hum kia karain jana....

Hamara bus nahi chalta........!!!

Wo Din Bhi Ane Wala Hai


Wo din bhi ane wala hai
Jab teri in kali ankhon main
Har jazba mit jayega

Tere bal jinhen dekhen to
Sawan ki ghanaghor ghatayen
Ankhon main lahrati hain

Honth rasile
Dhyan main lakhon phulon ki
Mahkar jagayen

Wo din dur nahin jab in par
Patjhar ki rut cha jayegi
Aur us patjhar k mausam ki
Kisi aekli sham ki chup main
Gaye dinon ki yad ayegi

Kaise koi kisi jangal main
Geet suhane gata hai
Tujh ko pas bulata hai

Tasvir Teri Dil Mera Bahala


Tasvir teri dil mera bahala na sakegi
Ye teri tarah mujh se to sharma na sakegi

Main baat karunga to ye khamosh rahegi
Sine se laga lunga to ye kuch na kahegi

Aram wo kya degi jo tarpa na sakegi
Ye ankhen hain tahari huin chanchal vo nigahen

Ye hath hain sahme huye aur mast vo bahen
Parchai to insan ke kam aa na sakegi

In honthon ko "Faiyyaz" main kuch de na sakunga
Is zulf ko main hath main bhi le na sakunga

Uljhi hui laton ko ye sulajha na sakegi
Tasvir teri dil mera bahala na sakegi

Wafaa Ke Sheesh-Mehal Mein


Wafaa ke sheesh-mehal mein saja liya maine
Wo ek dil jise patthar bana liya maine

Ye sochkar ke na ho taak mein khushi koi
Ghamo ki ot mein khud ko chupaa liya maine

Kabhi na khatam kiya maine roshni ka mujaaz
Agar chiraag bujhaa, dil jala liya maine

Kalaam ye hai ke dushman pe jo chalaana tha
Wo teer apne kaleje pe khaa liya maine

Qateel jiski adawat mein ek pyaar bhi tha
Us aadmi ko gale se laga liya maine

Pathron Ko Dil Ka Haal Sunane


Pathron ko dil ka haal sunane chali hun
Roothi hui kismat ko manane chali hun

Nakam hasrato ka janaza uthaye hue
Mein unse wafa nibhane chali hun

Woh bewafa na Tha,main badnaseeb thi
Ye baat zamane ko batane chali hun

Sawan ki ghataon tum kal Umadna
Aaj to main aansu bahane chali hun

Jaha banaya tha maine kai aashiyana
Aaj usi shaakh ko jalane chali hun

Meri shayri kisi ka dil na dukha de,
Isliye tanhaayi ko apni ghazal sunane chali hun

Kiya Ajeeb Ehtisab Apna Tha


Kiya Ajeeb Ehtisab apna tha
Jaan apni azab apna tha

Kuch mile log be zamana saaz
Kuch Muqader kharab apna tha

Kyon ke mukhlis thay hum Mohabbat mein
Jurm bas ye janab apna tha

Ab kiya karna us shakhs se gila kar ke
Wo be tou intikhab Apna Tha

Patharon Ki Basti Mein Kaarobar sheeshay Ka


Patharon Ki Basti Mein Kaarobar sheeshay Ka !!
Koi Bhi Nahi Karta Aitbar Sheeshay Ka !!

Kaanch Se Banaye Putlay Thori Door Chalte Hain !!
Chaar Din Ka Hota Hai Ye Khumaar Sheeshay Ka !!

Ban Sanwar Ke Harjai Ghar Se Nikalte Hain !!
Jane Kon Hota Hai Phir Shikaar Sheeshay Ka !!

Dil Ke Azmanay Ko Aik Sang Kafi Hai !!
Bar Bar Nahi Lena Imtehan Sheeshay Ka !!

Aakhir Is Zamanay Mein aarzi Hain Sab Rishte !!
Hum Ne Bhi banaya Tha Aik Yaar Sheeshay Ka !!

Dil To Kehta Hai Zindagi


Dil to kehta hai zindagi ki kahani likhoon
Wo kahani mein sach ki zubani likhoon

Apne jazbaat ka main samandar likhoon
Apni sochoon ko mouj-e-rawani likhoon

Kabhi dil ki khushi ka muharak likhoon
Kabhi gham ko aankhon se behta paani likhoon

Us k manane ko oos ki mohabat likhoon
Apne rooth jaane ko apni nadaani likhoon

Apni jaan ko oos ki amanat likhoon
Us k naam apni ye zindagani likhoon

Har Kisi Ko Duniya Mein


Har kisi ko duniya mein shohratein nahi milteen,
Zindagi k lamhon ki qeematein nahi milteen,

Fatah ki khwahish me amal bhi to laazim hain,
Sirf kuch iraadon se manzilein nahi milteen,

Faislay ye chahat k aasman pe hote hain,
Do dilon k milnay se qismatein nahi miltieen,

Deen aur duniya ko sath hi rakhna parta hai,
Masjidon me rehne se janattain nahi milten,

Maan lo zamanay me aur bhi hain hum jaisay,
Hasb-e-aarzoo jin ko chahtein nahi milten.

Chalo Aaisa Krain Mil ke


Chalo aaisa krain mil ke sitaray bant letay hain
Zarurat ke motabiq hum saharay bant letay hain

Muhabat krne walon ki tijarat bhe anokhi hai
Munafa chor detay hain khisaray bant letay hain

Agr milna nahi mumkin to lehron pr kadam rakh kr
Abi Dariya-e-Ulfat ke kinaray bant letay hain

Meri jholi mein jitnay bhe wafa ke phool hain inko
Akathay baith kr saray bant letay hain

Riwayat ke Elawa pas apnay kuch nahi lekin
Isi dolat ko hum qismat ke maray bant letay hain.

Ho Raat Akeli Pichly Pehar


Ho raat akeli pichly pehar, or chand angan mai aa jaye.
Tum chand ki manind tanha ho, ye baat hamain tarpa jaye.

Kuch khwab saja kar palkoN pe, tum chand sy batain ker laina.
Ham yaad tumhi ko karty hain, tum yaad hamain bhi kar laina.

Kuch baat na ho jab aisy hi, nam aankh tumhari ho jaye.
Tum baat kahin pe karty ho, dil or kahin pe kho jaye.

Jazbat k aisy alam mai, muskan labon pe bhar lena.
Ham yaad tumhi ko karty hain, tum yaad hamain bhi kar lena

Mitt Gaya Hon Mujko Mitta Rehne Do


Mitt gaya hon mujko mitta rehne do,
Mere jazbaat K sholon ko buja rehne do,

Dard sehne ki hai bachpan hi se aadat mujko,
Mere riste hue zakhmon ko hara rehne do,

Ab to tabeer ki hasrat hi nai hai mujko,
Meri aankhon men mera khuwab chupa rehne do,

Muskurahat pe mera HAQ hi nai hai yaaro,
Mere honto se tabasam ko khafa rehne do,

Dil jo toota hai tu aankhen na chalak jaen Sagar,
Aj ankhon ko in ashkon se bhara rehne do.

Hr Simt Gham-E-Hijr k Toofan


Hr simt Gham-e-Hijr ke toofan hain Mohsin,
Mt pooch ke hum kitne preshan hain Mohsin

Hr chehra nazar aata hai tasveer ki soorat,
hm shehar ke logo se bi anJaan hain Mohsin,

Jis shehr-e-mohabat Ne humein loot liya hai,
Us shehr se bi ab kooch ke imkaan hain Mohsin,

Kashti abhi umeed ki doobi tou nahi hai
Phir kyun teri aankhon mein ye toofan hai Mohsin,

Kr in ka Adab Rakh inhein seene se laga kr,
Ye Dard ye Tanhaiyan Mehmaan hain Mohsin.

Nahi Jo Dil Men Jaga To


Nahi jo dil men jaga to nazar men rehne do
Meri hayat ko apne asar men rehne do

Koi to khuwab meri raat ka muQaddar ho
Koi to aks meri chashm-e-tar men rehne do

Main apni soch ko teri gali men chor aaya
Tum apni yaad ko mere hunar men rehne do

Ye manzilen to kisi aur ka muQaddar hen
Mujhe bus apne junoon k safar men rehne do

HaQiQaten to bohat talkh ho gayi hen
Mere wajood ko khuwabon k ghar men rehne do

Yun Tere Khat Ka Jawab


Yun tere khat ka jawab de raha hon
Jaise apni chahat ka hisaab de raha hon

Mere pas heerey moti nahi tofein main dene ko
Bas Tofein main tumhain ek gulaab de raha hon

Tum Haseen ho husan ki inteha se bhi ziyaada
Is liye tumhen hoor ka khitaab de raha hon

Jo kuch dekha tha maine sab likh diya
Yani ke tumhen apna har khuwab de raha hon

Tumhare ek khat ke badle may Aye dil
Apni chahaten behisaab de raha hon.

Hamara dil savere ka sunehra jaam ho jaye


Humara dil saweeray ka sunehra jaam ho jaye
Chiraghon ki tarah ankhein jalein aur shaam ho jaye

Kabhi to asmaan se chand utray jaam ho jaye
Tumharay naam ki ek khoobsurat shaam ho jaye

Ajab halaat thay yun dil ka soda ho geya akhir
Mohabbat ki haveeli jis tarah nelaam ho jaye

Sumandar ke safar mein iss tarah awaz de hum ko
Hawayen teez hon aur kashtiyun mein shaam ho jaye

Mujhay maloom hai usska thikana phir kahan ho ga
Parinda asmaan choonay mein jab nakaam ho jaye

Ujalay apni yaadon ke humaray sath rehnay do
Najanay kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye

Aik Aas Lagana Chahte Hain


Aik aas lagana chahte hain
Tere dar per ana chahte hain

Kuch nazre karam ho hum pe ager
Hum sarko jhukana chahte hain

Kia dogey hame sari khushian
Hum daman ko pehlana chahte hain

Tere kandhe pe sar rakh ker hum
Gham apna sunana chahte hain

Tum kya chahoge hum se kaho?
Hum khud ko mitana chahte hain..!!

Hum They Hmaray Sath Koi Teesra Na Tha


Hum Thy Hmaray Sath Koi Teesra Na Tha,
Aisy Haseen Din Thy Kahin Dekha Suna Na Tha.

Ankhon Me Uske Tair Rahe Thy Haya K Rang
Palkain Utha K Meri Taraf Dekhta Na Tha.

Kuch Aisi Uski Jheel C Ankhain Thi Hr Taraf
HmKo Siwaye Doobne K Raasta Na Tha.

Hathon Me Dair Tak Koi Khushbu Lagi Rahi
Drwaaz-e-chaman Tha Wo Band-e-qaba Na Tha.

Uske To Angg Angg Me Jalne Lage Diye
Jaadu Hai Mere Hath Me Mujhko Pata Na Tha.

Uske Badan Ki Lou Se Thi Kmre Me Roshni
Khirrki Me Chaand, Taaq Me Koi Diya Na Tha.

Saanson Me Thy Gulab To Honton Pe Chandni
In Mnzron Se Mai To Kbi Aashna Na Tha.

"AMJAD" Wahan Pe Hadd Koi Rehti B Kis Trah?
Rukne Ko Keh Raha Tha ! Magar Rokta Na Tha.

Mujhe Khabar Hai Wohi Aik


Mujhe khabar hai wohi aik baat likh doon ga
Tumhare husan ko char chand likh doon ga

Tumhari aankhen jo sharma kar kahen gi mujh se
Tumhare honton pe wo dil ki baat likh doon ga

Tumhain bitha ke apni aankhon ke saamne jaana
Nikalte chand ki qismat main maat likh doon ga

Jub usay yaad kiya hai hum ne


Jub usay yaad kiya hai hum ne
Waqt burbaad kiya hai hum ne

Ek sheher faut aarzuon ka
Dil main aabaad kiya hai hum ne

Aitaraaf-e-shikust hum ko na tha
Ye teray baad kiya hai hum ne

Hum ko iqrar-e-jurm hai yaaroan
Khud ko burbaad kiya hai Hum ne

Qulb main tukhm-e-ishq ko bo ker
Rait ko khaad kiya hai hum ne

Tum giriftar-e-wafa thay Tanweer
Aaj aazaad kiya hai hum ne

Mumkin Ho Aap Se To Bhula


Mumkin ho aap se to bhula dijiyey mujhy
Pathar pe hoon lakeer, mita dijiyey mujhy

Hur rooz mujh se taaza shikayat hai aap ko
Main kia hoon, aik baar bata dijiyey mujhy

Mere siwa bhi hai koi mozoo-e-guftugu
Apna bhi koi rang dikha dijiyey mujhy

Main kia hoon, kis jagah hoon, mujhay kuch khabar nahi
Hain aap kitni duur zara sada dijiyey mujhy

Ki main ne apne zakham ki tashheer ja baja
Main maanta hoon jurm, saza dijiyey mujhy

Qaim tou ho sakey koi rishta gohor k saath
Gehre samandaroon main baha dijiyey mujhy

Shab bhar kiran kiran ko tarasney se faida
Hai tairgi tou aag laga dijiyey mujhy

Jaltey dinoon main khud pas deewar baith kar
Saaye ki justuju main laga dijiyey mujhy

Youn tou shoola-e-jaan sard ho chuka
Lakin sulag uthoon tou hawa dijiyey mujhy

Meri Adhoori Mohabbat,...


Muhabbat Thi Mujhay Us Say Magar Wo Dekh Na Paya
K Us Say Pyar Hai Mujhko Magar Wo Jan Na Paya

Meri Chaahat Meri Saansen Ussi K Naam Leti Thi
Mera Dil Bhi Dharrakta Tha Usi Ka Naam Lay Lay Kar

Wo Hansna Uska Mujhko Dekh Kar Chehra Chupa Lena
Shararat Uski Main Samjha K Shayad Yeh Muhabbat Hai

Main Raaton Ko Na Soh Pata Usay Hi Yaad Karta Tha
Main Aksar Sochta Tha Bus K Usko Bhi Muhabbat Hai

Magar Us Din Jo Main Nay Poocha Us Say Haal-E-Dil Uska
Barray Khaloos Or Adab Say Meri Jaan Boli

Wafa Kaissi Kahan Ka Ishq Yeh Kaissi Muhabbat Hai
Jissay Tum Pyar Samajhtay Ho Wo Adhoori Muhabbat Hai…!

Suno Tum Se Zaroori Baat Kerni Hay,...


Suno
Tum Se Zaroori Baat Kerni Hay
Samandar K Kinary Par

Chaly Aao Bahany Say
Mujhy Tum Par Bhrosa Hay

Tumhain Mujh Par Bharosa Hay
Mujhy Tum Se Mohabbat Hay

Tumhain Mujh Se Mohabbat Hay
Magar Yeh Bhi Haqeeqat Hay

Hamary Darmiyan Jab B
Milny Ki Baat Hoti Hay

Kabhi Main Taal Deta Hun
Kabhi Tum Rooth Jaty Ho

Hai Aisa Is Lye Shayad
Tumhain Main Paa Nahi Sakta

Mujhe Tum Kho Nahi Skty
Chalo Phir Aaj Hum Dono

Samandar Mein Utar Jain
Mohabbat Ki Kahani Ko
Ajal K Naam Kar Jain…!!!

Thokar Lagi To Apny Muqaddar Pe Ja Gira


Thokar Lagi To Apny Muqaddar Pe Ja Gira
Phir Yoon Hua Ke Aaina Pather Pe Ja Gira

Ehsas-E-Farz Jab Bhi Hoa, Neend Aa Gai
Chalna Tha Pulsaraat Pe, Bister Pe Ja Gira

Bazi Mohabbaton Ki Jahalat Ne Jeet Li
Woh Ban Gaya Khateeb Jo Mimbar Pe Ja Gira

Khushboo Qasoor War Nahien Iss Ko Chor Do
Mien Phool Torte Hoye Kanton Pe Ja Gira

Sehraon Mien Liye Phira Main Pani Ki Justajo
Jab Piyaas Mitt Gai To Samundar Mien Ja Gira

Wohi Gardashain Wohi Paich-O-Kham Tere Baad Bhi


Wohi Gardashain Wohi Paich-O-Kham Tere Baad Bhi,
Wohi Houslay Mere Dum Ba Dum Tere Baad Bhi,

Tere Sath Thi Teri Jafa Mujhay Mo’atabar,
Tere Saaray Gham Mujhay Mohtaram Tere Baad Bhi,

Mere Sath He Meri Har Khushi Teri Muntazir,
Teri Muntazir Meri Chasham-E-Namm Tere Baad Bhi,

Tu Kisi K Qalab-O-Arzoo Mein Dhal Gaya,
Main Na Ho Saka Kabhi Khud Mein Zamm Tere Baad Bhi,

Mere Baad Kitnay He Roop Tu Ne Badal Liye,
Main Wohin Hoon Ab Teri Qasam Tere Baad Bhi …

Doob Rahi Hain Saansein Magar


Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai

Muddat Hoye Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin
Aaj Tak Merey Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai

Wo Sayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahee
Abhi To Merey Sir Pe Ye AasmaaN Baaqi Hai

Kashti Zara Kinaarey Ke Qareeb Hi Rakhna
Bikhri Hoyi Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai

Tumharey Hi Ashkon Ne Lab Si Diye Warna
Abhi To Merey Dukhoon Ki Bohut Daastan Baaqi Hai

Ghamon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhain
Ke Abhi To Merey Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai

Ja Chukey Hain Sab Log Khamosh Parhi Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai"....

Wao

Related Posts with Thumbnails