Kitna Acha Lagta Hai


Tere Pyaar Mein Rusva Hona Kitna Acha Lagta Hai,
Qadam Qadam Par Thokar Khana Kitna Acha Lagta Hai

Roo Leta Hoon Hans Leta Hoon Tere Aane Jane Par,
Tera ghar Mein Aana Jana Kitna Acha Lagta Hai

Main Apna Fasaana Khud Hi Kehta Sunta Rehta Hoon,
Achi Yaadon Ko Duhrana Kitna Acha Lagta Hai

Tere Hi Raste Par Chalna Teri Hi Manzil Ko Jana,
Tera Hi Har Dam Gun gana Kitna Acha Lagta Hai

Jin Chashmon Ka Paani Dil Duniya Seerab Kare,
Un Chashmon Ka Paani Peena Kitna Acha Lagta Hai

Sab Logon Ki Batein Sun na Aur Chup Rehna,
Us kai Khatir Har Dukh Sehna Kitna Acha Lagta Hai

Yun To Duniya Mein Sab Batein Hoti Rehti Hain
Lekin Kuch Batoon Ka Hona Kitna Acha Lagta Hai

Main Nahi Bolti....


Khirkiyan mat bja main nahi bolti,
Ja oo jhooti hawa main nahi bolti,

Choor dy meri dehleez ko choor dy,
Tujh sy keh jo diya main nahi bolti,

Pehly is k liye sb sy larti phiri,
Phir isy keh diya main nahi bolti,

Mujh ko maloom hy jitni achi hon main,
Ab na baatein bna main nahi bolti

Rukh HawaoN Ka Badalta Hee Gaya


Rukh HawaoN Ka Badalta Hee Gaya
Pyaar Jub Dil Mein Utarta Hee Gaya

Jab Saba Ne Kia Izhaar-e-Wafa
Phool Chup Chaap Bikharta Hee Gaya

Aag Bujhnay Lagi Jab Seenay Ki
Tou DhuwaaN Aankh Mein Bharta Hee Gaya

Aap Ne Sirf Maseehayi Ki

Dard Ik Yun Had Se Guzarta Hee Gaya

Jis Ne Bhee Maanga Mohabbat Ka Sila
Dil Ko HaathoN Se Wo Malta Hee Gaya

Koi TofaaN Tou Aaya Hee Nahee
Sheher-e-JaaN Phir Bhee Ujarta Hee Gaya

Jis Ne Bhee Ishq Ki RaahoN Ko Chuna…….
Dasht Aabaad Wo Karta Hee Gaya………!

Mairay Khawaboon Ke Gulshan Mein


Mairay khawaboon k gulshan mai hawaien raqs karti hain
Mairay hontoon ki larzish mai wafaien raqs karti hain

Mujhay wo lakh tar’pai magr us shaksh ki khatir
Mairay dil kay andheron mai dua’ien raqs karti hain

Ussay kehna kay loat aaye sulgati shaam say pehlay
Kisi ki khushk ankhoon mai sad’ain raqs karti hain

Utar’ta hoon jab kabhi kitabo kay samundar mai
Khawabeeda chehray ki ada’ain raqs karti hain

Khuda janay kon si kashish hai tairi yadoon mai
Taira zikr chairoon to hawa’ain raqs karti hain

Raqs Karne Ka milaa Hukm


Raqs karne ka milaa hukm jo dariyaaon mein
Humne khush hoke bhanvar baandh liye paaon mein

Jo bhi aataa hai, bataata hai naya koi ilaaj
Bat na jaaye tera beemaar maseehaaon mein

Jis barahman ne kaha hai K ye saal achchha hai
Us ko dafnaao mere haath ki rekhaaon mein

Woh khuda hai kisi TooTe hue dil mein hoga
Masjidon mein use dhoondho na kaleesaaon mein

Humko aapas mein muhabbat nahi karne dete
Bas yehi aib hai is shahr ke daanaaoi mein

Jab bhi wo shakhs "WASI" mujhse khafa ho jaye


Jab bhi wo shakhs “WASI” mujhse khafa ho jaye,
Aik sunami mery seeny mai bapa hojay,

Dil mai phir kuch nahi hoga khalaon k siwa,
To kisi roz ager mujhse juda hojaye.

Wo buht rakhta hai chahat ki tamazan ka hisab,
Wo to aik sajda na bakhshy jo qaza ho jaye,

Thapkian de ker sulati hain teri yaaden hamen,
Neend jis raat bhi hum se khafa ho jaye,

Ye taqaza hai muhabbat ki ibadat ka “WASI”
Usko chuU leny se aik rukn adaa ho jaye.

Us ka Chehra bhi sunata hai kahani.....


Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki,
Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki,

Woh sitam’gar hai to ab us se shikayat kesi,
Aur sitam karna bhi aadat purani us ki,

Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon per,
Chand aansu hain mere pass nishani us ki,

Us jafaa-kaar ko maloom nahin woh kya hai,
Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki,

Kuch Andhera B Zaruri Hai Gham-e-yaar K Sath


Kuch andhera b zaruri hai gham-e-yaar k sath,,,
Ab diya koi na rakhe meri dewaar k sath,,,

Mein jo ik umer masafat mein raha, tab jana,,,
Rah b chalti rahi hai, meri raftaar k sath,,,

Ham to yusaf nahi,bazaar-e-sukhan mein “FARAZ”
Yun hi chal parte hein,har ik kharidaar k sath

Bhool jata hoon milney walon ko


Bhool jata hoon milney walon ko
Khud se phirta hoon bekhabar kitna

Usne aabaad ki hai tanhai
Warna sunsaan tha ye ghar kitna

Kaun ab arzoo kare uski
Ab dua main bhi hai asar kitna

Wo mujhay yaad kar ke sota hai
Us ko lagta hai khud se dar kitna

Aadatain sub buri hain Mohsin ki
Acha lagta hai wo magar kitna...

Yeh Safar Nahi Azaab Hai


Yeh Safar Nahi Azaab Hai,

Yahan Hr Kisi Pe Naqaab Hai,

Yahan Bad-Gumaani Ka Raaj Hai,

Yahan Be-Wafaai Rivaaj Hai,

Abhi Hosh Khoney K Din Nahi,

Abhi Tere Roney K Din Nahi,

ABHI WAQT HAI MUJHE CHORR JAA

Abhi Saari Nagri Andhair Hai,

Abhi Din Nikalne Mai Dair Hai,

Abhi Behr-e-Ishq Main Na Utar,

Abhi Shehr Saara Hai Be-Khabar,

ABHI WAQT HAI MUJHE CHHOR JA!

ABHI WAQT HAI MUJHE CHHOR JA

Khof sa Zindagi Pe taari hai


Khof sa Zindagi Pe taari hai
Ek pal sau baras pe bhari hai..!

Yeh Azal se Abad tak ka safr
Kis Qadar bedili se jari hai..!

Dekh humdam yeh pyaar ki bazi
Kitni mehnat se maine hari hai...!

Meri Ankhon ka kuch qasoor nahi
Teri soorat hi aisee pyari hai

AA shab-e-gham main tera gham bantoon
Tu bhi Tanhaiyon ki maari hai

Dard Ki Dil Pe Hakumat Thi....


Dard ki dil pe hakumat thi, Kahan tha us waqt ?
Jab mujhe teri zaroorat thi, Kahan tha us waqt ?

Maut ke sukh mein chala aya mujhe dekhne ko,
Zinda rehne ki museebat thi, Kahan tha us waqt ?

Dil ke darya’on mein ab rait hai sehraon ki,
Jab mujhe tujhse mohabat thi, Kahan tha us wakt ?

Shehar Ke Dukandaro Karobaar-E-Ulfat Mein


Shehar Ke Dukandaro Karobaar-E-Ulfat Mein
Sood Kia Zian Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Dil Ke Daam Kitne Hein Khuwab Kitne Mehnge Hein
Aur Naqd-E-Jaan Kia Hai Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Koi Kaisay Milta Hai Phool Kaisay Khilta Hai
Aankh Kaisay Jhukti Hai Saans Kaisay Rukti Hai

Kaisay Reh Nikalti Hai Kaisay Baatein Chalti Hai
Shouq Ki Zabaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Wasl Ka Sukoon Kya Hai, Hijr Ka Junoon Kya Hai,
Husn Ka Fusoon Kya Hai, Ishq Ke Daroon Kya Hai

Tum Mareez-E-Danai Maslihat Ke Shaydai
Raah-E-Gumrahan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Zakhm Kaisay Phaltay Hein Daagh Kaisay Jaltay Hein
Dard Kaisay Hota Hai Koi Kaisay Rota Hai

Ashq Kia Hai Nalay Kia Dasht Kia Hai Chalay Kia
Aah Kia Fughaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Namuraad Dil Kaisay Subah Shaam Kartay Hein
Kaisay Zinda Rehtay Hein Aur Kaisay Martay Hein

Tum Ko Kab Nazar Aayi Ghamzadoon Ki Tanhai
Zeest Be-Umaan Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron


Janta Hoon Mein Tum Ko Zouq-E-Shaiyri Bhi Hai
Shaksiyat Sayjanay Mein Ik Yeh Mahiri Bhi Hai

Phir Bhi Harf Chuntay Ho Sirf Lafz Suntay Ho
In Ke Darmiyaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Shayad Usay Milay Gi Lab-e-Baam Chandni..


Shayad Usay Milay Gi Lab-e-Baam Chandni..
Utri Hai Shehr Mein Jo Sar-e-Sham Chandni..

Mujh Se Ulajh Pary Na Karri Dopahar Kaheen?
Mein Ne Rakha Ghazal Me Tera Naam Chandni..

Mein Misaal Naqsh-e-Paa, Mera Aaghaz Dhool Dhool..
Tu Chand Ki Tarha, Tera AnJam Chandni..

Jin Wadiyon K Log Lutay, Ghar Ujar Chukay..
Un Wadiyon Mein Kya Hai Tera Kaam Chandni..

Un K Liye Thi Soorat-e-Aizaz Hr Kiran..
Apnay Liye Hai Baais-e-Ilzam Chandni..

Phelen Hain Ashk MOHSIN Ruton Ki Bhikernen..
Un Ki Zulfen Luta Rahi Hain Sar-e-Aam Chandni....

Bari Tarap Hai, Meri Iltaja Ke Parday Mein


Bari tarap hai, meri iltaja k parday mein,
Main tum ko maang raha hoon dua k pardy mein.

Usy b dar hai k ye raaz khull na jaye kahin,
Likhta hai naam mera wo hina k parday mein.

Main us k koochy sy guzra to ye mehsoos hua,
Mujhy pukara hai us ny hawa k pardy mein.

Ajeeb tarz-e-masihayi us ne dikhlayi,
Hayyat meri badal di dua k pardy mein.

Is tarah chehry ko zulf mein chupaya us ny,
k jaise chand chupa ho ghata k pardy mein.

Mere Hathon Mein Hai Mera Jaam Aakhri.


Mere HATHON Mai Hai Mera JAAM Aakhri,
Mere HONTON Pe Hai Tera NAAM Aakhri,

Meri PALKEN Khuli Hain Tumhare Leye,
Meri ANKHON Main Hai Ek SALAAM Aakhri,

Usay KEHNA " Khush Rahey Tu SADA,
Meri JANIB Se Hai Ye PEYAAM Aakhri,

JAAN Dedi Mager BE-WAFA Na Hua,
Mere SAR Hai Ye ELZAAM Aakhri,

Kal Na JAANE Kahan ZINDAGI Ho Basar,
Teri GALIYON Main Hai Ye QEYAM Aakhri,

ROTH Kr Is Tarha Tum Na JAO Abe,
Kia PATA Ho Yehi Meri SHAAM Aakhri..

Chand Raat Poetry


Chand Kabhi Tu Taron Ki Is Bheer Se Nikle

Aur Meri Kherki Mein Aye
Bilkul Tanha Aur Akela

Mein Us Ko Bahon Mein Bharlon

Aik Hi Sans Mein Sab Ki Sab Wo Baatein Karlon
Jo Mere, Talo Se Chemti

Dil Mein Semti Rehti Hain

Sab Kuch Aise Ho Jaye, Jab Hai Na!

Chand Meri Kherki Mein Aye, Tab Hai Na!

Suna Hai Eid Aai Hai


Usey Kehna K Lout Aao Suna Hai Eid Aai Hai
Ek Baar To Aa K Mil Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehana K Bin Tere Bohat Eiden Guzari Hai
Is Baar To Milne Aa Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehana Judai Se Mohabbat Kam Nahi Hoti
Ye Dunya Ko Batla Jaao K Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehana K Chahat Ka Bharam Na Totne Dena
Tum Pal Do Pal Hi Aa Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehana K Tanha Hai Koi Eid K Din Bi
Ye Tanhai Mita Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Lo Ek Aur Eid B Guzer Gai


Lo Ek Aur Eid B Guzer Gai Aisey
Sadiyon Se Chali Aa Rehi Hai Jesey

Wo Udasi, Wohi Yadein, Wohi Tanhai
Mili Hi Kab Thi Hamein In Se Rehai

Mehboob B Hai Naraz Sa Rootha Hua
Her Rishta B Hai Aisey Hi Utha Hua

Bohat Khush They Loag Chand Daikh Ker
Hum Udas Us Mein Mehboob Daikh Ker

Maan Liya Mehboob Se Ziadti Hum Ne Ki
Per Ganwa Liya Her Rishta Dey Ker Jan B

Kuch Anjan Rishtey Chaha Tha Barh Ker Jan Se
Han Chorr Gaey Wo B Be-Wafa Maan K

Isi Sadmey Mein Her Khushi Guzer Jati Hai
Kiya Cheez Hai Muj Mein, Jo Mujey Hi Rulati Hai

Yeh Eid Tere Shahar Mein Bhi Ayi Ho Gi


Yeh Eid Tere Shahar Mein Bhi Ayi Ho Gi
Baray Naz Say Tu Nay Manai Ho Gi

Haseen Hath Pe Maehndi Bhi Lagai Ho Gi
Nazuk Labon Ko Gulab Kia Hoga

Narm Si Kalai Chorion Se Sajai Hogi
Sitare Bhi Tanke Hon Ge Tum Ne Mang Mein Apni

Marmry Paon Mein Pazeeb Pehni Hogi
Aankhon Mein Kajal Bhi Lagaya Hoga

Rukhsaron Lali Bhi Bikhri Hogi
Ajab Si Khushi Se Dil Dharka Hoga
Koi Chahne Wala Jab Eid Mila Hoga

Dhola Tu Aaja Eid Kara Ja


Eid Ka Din Hay Dhola Jaldi Ghar Aaja
Kuch Baatain Apni Mubahat Ki Bata Ja

Mujhay Apnay Galay Say Laga Ja
Mujhay Apnay Dil Ki Dharkan Suna Ja

Dhola Apnay Haatoh Ki Mehndi Dikha Ja
Zamanay Ko Muhabat Ka Rang Dikha Ja

Dhola Tu Aaja Meri Eid Kara Ja
Apni Baaho May Muj Ko Araam Kara Ja

Apni Choriu Ki Khobsorat Khanak Tu Suna Ja
Dhola Tu Aaja Galay Say Laga Ja Meri Eid Kara Ja

Beqarai Si Beqarari Hai


Beqarai Si Beqarari Hai
Wasl Hai Aur Firaaq Taari Hai

Jo Guzaari Na Ja Saki Hum Se
Hum Ne Woh Zindagi Guzari Hai

Us Se Kahiyo Kay Dil Ki Galion Mein
Raat Din Teri Intezari Hai

Ik Mehak Samt-e-Jaan Se Aai Thi
Main Yeh Samjha Teri Sawari Hai

Haadison Ka Hisab Hai Apna
Warna Har Aan Sab Ki Baari Hai

Bin Tumhare Kabhi Nahi Aai
Kya Meri Neend Bhi Tumhari Hai?

Mera Mazi Meri Yadain


Mera Mazi Meri Yadain Merey Adwaar Likhne Do
Is Zeest-E-Napaid K Kuch Auraaq Likhne Do

Mujhe Us Hijir K Mausum K Kuch Asbaaq Likhne Do
Guzre Hoe Kal K Kuch Lamhaat Likhne Do

Jis Waqt Wo Mila Mujh Se Jis Waqt Bichar Gaya
Wo Har Lamha Har Bosa Bebaak Likhne Do

Mujhe Wehshat Si Hay Jin K Ta'aqub Se Ab
Unhi Neeno K Anso'on Ka Ehwaal Likhne Do

Jis K Aghaz-O-Inteha Sab Likhe Ja Chuke
Ab Us Dastan-E-Ghum Ka Ikhtitam Likhne Do

Jab Kabhi Chahey Andhero Main Ujale Us Ne


Jab Kabhi Chahey Andhero Main Ujale Us Ne
Kar Diya Ghar Mera Sholo K Hawale Us Ne

Us Pe Khul Jati Meray Shoq Ki Shiddat Sari
Dekhe Hote Jo Mere Paon K Chaley Usney

Jis Ka Har Aib Zamane Se Chupaya Main Ne
Mere Qisse Sare Bazar Uchale Us Ne

Jab Usey Meri Mohabat Pay Bharosa Hi Na Tha
Kyun Diye Meri Wafaon K Hawale Us Ne

Aik Mera Hath Hi Na Thama Us Ne Warna
Girtey Huey Kitne Hi Log Samnbhaley Us Ne

Yeh Aankhain Bhi Ek Dariya


Yeh Aankhain Bhi Ek Dariya Bahati Hain
Sab Jaanti Hoon Magar Phir Bhi

Kyun Tumko Bhula Nahin Paati
Is Dil Se Teri Tasveer Hata Nahin Paati

Muskurane Ki Koshish Karti Hoon Lekin
Ankhon Ke Motiyon Ko Chupa Nahin Paati

Jab Sochti Hoon K Tum Ho Kisi Aur Ka Muqaddar
Jalan Si Hoti Jise Mita Nahin Paati

Jab Barasta Hai Saawan Toot Ke Kahin
Yeh Aankhain Bhi Ek Dariya Bahati Hain

Sulagti Hai Rooh Teri Ek Jhalak Ko
Is Khwaaish Se Main Dil Ko Bacha Nahin Paati

Wo bhi Rukna Bhool Gya


Apni Yadain Apni Baatain Le Kr Jana Bhool Gya
Janay Wala Jaldi Mein Tha Mill Kr Jaana Bhool Gya

Murr Murr K Daikha Tha Us Ne Jaatay Jaatay Rastay Mein
Jaisay Usay Kuch Kehna Tha Jo Wo Kehna Bhool Gya

Waqt K Behtay Dharay Men Hum Ne Kaisi Ghaflat Ki
Men Bhi Kehna Bhool Gaya, Wo Bhi Rukna Bhool Gya

Hum Pagal Chand Ko Pane Chalay Thy


Hum pagal chand ko pane chalay thy,
Humein kya khabar thi khud ko rulane chalay thy,

Ab to daman mein bus yaaden hi pari hain,
Bewafa hokar bhi bewafa kehlwane chalay thy,,,

Humein thukra kar rota to wo bhi hoga,
Jis se hum sachi muhabbat nibhaney chalay thy,,

Ab jo khuwab tootey hain to ye ehsas hua,
Hum samandar kinarey mehal bnany chalay thay

Dil dukhaya hai tum ne par sada khush raho "dost"
Hum teri rahon mein phool bichaney chalay thy

Zindagi Ka Naam Hai Mohabbat


Kabhi Zindagi Ka Naam Hai Mohabbat
Kabhi Mout Ka Pegham Hai Mohabbat

Kabhi Mohabbat Se Milti Hai Khushi
Kabhi Gham Ki Sham Hai Mohabbat

Kabhi Aansuon Ki Barish Hai Maohabbat
Kabhi Hansi Ka Jaam Hai Mohabbat

Kabhi Dil Ki Jalan Hai Mohabbat
Kabhi Dil Ka Araam Hai Mohabbat

Kabhi Mout Ki Tarah Be Naam Hai Mohabbat
Kabhi Zindagi Kehti Hai Mera Naam Hai Mohabbat

Bus Yehi Mera Asasa Hai


Kuch Wady Qasmain Yaadein Thin
Kuch Qehqahy Thy Faryadein Thin

Kuch Aanson Hain Jo Bahaye Hain
Kuch Dhokein Hain Jo Khaye Hain

Ab Paas Hamare Kuch Bhi Nahi
Bus Yaadon Ki Zanjiren Hain

Kuch Rang Urhi Tasveeren Hain
Kuch Lafz Miti Tehriren Hain

Ik Dil Jo Deed Ka Piyasa Hai
Bus Yehi Mera Asasa Hai

Kuch Tum Rakh Lo


Aao Bant Lay Sare Dard-O-Alam
Kuch Tum Rakh Lo
Kuch Ham Rakh Lein

Ab Ponch Lo Apne Ashq
Kuch Tum Rakh Lo
Kucha Ham Rakh Lein

Ham Sath Rahen Our Sath Chalen
Ham Sath Jiye Our Sath Maren

Is Rah-E-Wafa Pe Apne Qadam
Kuch Tum Rakh Lo
Kuch Ham Rakh Lein

Mana K Dukhon Say Tum Ho Bhare
Our Ham Bhi Khali Hath Nahi

Ye Zulmon Sitam Tumhain Meri Qasam
Kuch Tum Rakh Lo
Kuch Ham Rakh Lein

B-E-Dard Zamane Walay Jo Kuch
Kehte Hain Tu Kehne Do

B-E-Lows Tamnnao Ka Bharam
Kuch Tum Rakh Lo
Kuch Ham Rakh Lein

Dil Dareecha


Dil Dareecha Mera Viraan Sa Kyun Hai
Kisi K Lout Ane Ka Mjhe Imkaan Sa Kyun Hai

Kaha Hai Mene K Main Hon Muhabbat Se BE- Khabar
Woh Shaks Phir Mere Liye Dil'jaan Sa Kyun Hai

Dharkta Hai Mera Dil Phir Bhi Uska Naam Leta Hai
Mera Dil Hai Tu Phir Mere Liye Gumnaam Sa Kyun Hai

Woh Rasta Jispar Mili Khushiyon Ki Ronaqain
Woh Rasta Mere Liye Sunsaan Sa Kyun Hai

Baray Dino K Baad


Awaz Suni Uski Baray Dino K Baad
Aaj Raat Guzregi Behtar Baray Dino K Baad

Ajeeb Si Taazgi Tari Hogayi Thi Mujh Par
Jaisay Hogayi Ho Barsaat Baray Dino K Baad

Woh Koyal Jaisay Bolti Gayee Mai Sunta Gaya
Suroor Mila Mere Kaano Ko Baray Dino K Baad

Wada Kiya Usne Bohat Jald Milnay Ka
Mera Arman Pura Hoga Baray Dino K Baad

Shaairi To Chor Di Thi Main Nay
Aaj Likhi Ghazal Baray Dino K Baad

Eid Mubarak Ghazal


Is Eid pe Lot k Aa Jana_

Kuch Yadain Taza Karni hain_

Kuch Lamhay Mor k Lanay hain_

Kuch Taray Torr k Lanay hain_

Wo Masti or Wo Madhoshi_

Wo Bachpan Mor k Lana hai_

Is Eid pe Lot k Aa Jana_

Ab DiL ko DiL ki dharkan se_

Phir Eid Mubarak Kehna hay_

Ab Sath boht din Rehna hay_

Is Eid pe Lot k Aa Jana..!

Uski Aankhain Ajeeb Azaab Mein Hain


Aainay Par Kabhi Kitaab Mein Hain
Uski Aankhain Ajeeb Azaab Mein Hain,

Thakte Phirte Hain Dhoop Mein Bachay
Titliyaan Saaya-e-Gulaab Mein Hain,

Ek Kachay Gharay Ki Jurrat Par
Kitni Tugyaaniyaan Chanaab Mein Hain,

Woh Abhi Tak Hai Ru-Baruu Apnay
Hum Abhi Tak Hisaar-e-Khwaab Mein Hain,

Uski Aadat Hai Roothna "Mohsin"
Loog Be-Waja Iztaraab Mein Hain.

Mohabbat Ka Safer Kaisa Laga Hai


Mohabbat ka safer kaisa laga hai
Yeh Jazboon ka bhunwar kaisa laga hai

Basay ho dil mein tou yeh be bataoo
Yeh ghair abaad ghar kaisa laga hai

Yehi shikwah tha na tum ko kaho aab
Duwa na chasham tar kaisa laga hai

Ghali ki ronaqoon ke darmiyan mein
Mera sunsaan dar kaisa laga hai

Meri tou rooh tak ghaiyal hoye hai
Tumhain ujra nager kaisa laga hai

Khud Na Aaye Hame Bula Ke Wo..


Khud na aaye hame bula ke wo !!
uss pe haste hain dil jala ke wo!!

unnki aankhein yahi to kehti hain!!
raat poori jagge, jaga ke wo !!

chedd ke daastan mohabbt ki !!
khud bhi roye bhut rula ke wo!!

yaad ata hai unka sharmana !!
hont katre the khuch bata ke wo !!

chand kya hoga ab ayan dekho !!
chath pe aye hain saj saja ke wo..!!

kya mahubbath hai unki aye qadeer !!
mujhse ruthe, mujhe mana ke wo !!

Kathin safar hai muhabbaton ka....


Kathin safar hai muhabbaton ka sarab raste hain soch lena
Woh chor jate hain ik qadam per jo sath chalte hain soch lena..

Ye reet tum na nibha sako gae na sath chalne ki baat karna
K ishq walon ki rehguzar mein chanab ate hain soch lena..

Tumhain kaha tha k ban k apna fareb deta hai ye zamana
Tumhain kaha tha k aasteeno mein saanp palte hain soch lena..

Wo basti jahan pe hum tum mile the mil k bichar gae the
Wahan pe ab bhi meri wafa k chiragh jalte hain soch lena..

Azaab Barha Loon Agar Ijazat Ho


Azaab barha loon agar ijazat ho
Ek aur zakham mein kha loon agar ijazat ho

Tumhare ariz-o-lub ke judai ke din hein
 Main jaam moun se laga loon agar ijazat ho

Tumhara hussn tumhare khyial ka chehra
Shabahaton mein chuopa loon agar ijazat ho

Tumhein se hai mere har khawab-e-shoq ka rishta
Ek aur khawab kama loon agar ijazat ho

Thaka deya hai tumhare firaq ne mujh ko
Kahen main khud ko gira loon agar ijazat ho

Baraye nam banam-e-shab-e-wisal yahan
Shab-e-firaq mana loon agar ijazat ho

Wao

Related Posts with Thumbnails