Mujhe Ye Faraib Khana Hi Tha


Mujhe Ye Faraib Khana Hi Tha
Tere Hathon Mera Dil Totna Hi Tha


Tujhe Toot Kar Chahna Or
Tumhi Ne Mujhe Chorna Hi Tha


Meri Ankhien Bheegi Rehti Hain
In Ansowo ko Abb Sukhna Hi Tha


Chalo Man Lete Hain "Still"
Tum Apni Jagha Sachi Ho


Humara Kia Tha...!!!
Humein tere Dar Se Khalli LOtna Hi Tha

Tum Bin Ab Nahi Raha Jaata....!!


Kaise Kahoon Ke Tum Bin Ab Nahi Raha Jaata
Ye Dil Mein Ek Ehsaas Hai Zabaan Se Nahi Kaha Jaata

Yaadein Teri Har Pal Sataati Hai, Na Peecha Chhode Mera
Kya Kahoon Humse, Ab Ye Intezaar Nahi Saha Jaata

Tere Pyar Na Hai Mujhe To Ekdum Se Pagal Kar Dala
Bas Tumhe Yaad Karti Hoon, Aur Kuch Nahi Kiya Jaata

Mohobbat Mein Teri Doob Gaye Hain Iss Kadar Hum
Ab Tere Pyar Ke Sivay Aur Koi Jaam Nahi Piya Jaata

Iss Kadar Moher Laga Di Hai Mere Tan Aur Mann Pe Tumne
Ab Kisi Aur Ka Naam Zabaan Se Nahi Liya Jaata

Aanchal Kar Do......


Aag Laga Kar Chali Usay Aanchal Kar Do
Tum Mujhe Raat Ka Jalta Howa Jangal Kar Do,

Chaand Sa Misra, Akela Hai Mere Kaghaz Par
Chat Pe Aajaao Meraa Shair Mukammal Kar Do,

Main Tumhen Dil Ki Siyasat Ka Hunar Deta Hoon
Ab Usay Dhoop Banaa Do Mujhe Badal Kar Do,

Apne Aangan Ki Udaasi Se Zaraa Baat karo
Neem Kay Sookhe Howe Per Ko Sandal Kar Do,

Tum Mujhe Chor Kay Jaaoge To Marr Jaaonga
Yoon Karo Jaane Se Pehle Mujhe Paagal Kar Do.

Abhi Bhi Waqt Hai Tum Laut Jao......!!


Abhi bhi waqt hai tum laut jao,
Mujhe tum se muhabbat ho chali hai,

Bazaahir ek sukoon taari hai magar,
Dil main Qayamat ho chali hai,

Tumhary Naam se Phoolon k khilna,
Tumhara roz ka yun milna,

Tumhary Chand se chehray ko takna,
Meri aankhon ki aadat ho chali hai,

Abhi bhi waqt hai tum Laut jao,
Mujhe tum se muhabbat ho chali hai.

Koi Mousam Bhi Hum Ko Raas Nahi..........!!


Koi mousam bhi hum ko raas nahi
Woh nahi hai tou kuch bhi paas nahi

Aik muddat say dil k paas hai woh
Aik muddat say dil udas nahi

Jub say daikha hay shaam aankhon mein
Tub say mere qayaim hawas nahi

Meray lehjay mein us ki khushbo hai
Us ki baaton mein meri baat nahi

Jitna Shaffaf hai tera aanchal
Utna ujla mera libaas nahi

Samnay meray aik darya hai
Hont sokhay hain phir bhi pyas nahi

Jis ko chaha hai dil-o-jan say saqi
Janay woh kion nazar shinaas nahi

Zindgi Mai Mujh Se Milne Wo Kabhi........!!


Zindgi Mai Mujh Se Milne Wo Kabhi Aya Na Tha,
Aj Kiyon Meri Qabar Pe Ro Raha Tha Bewafa,

Ankh Ous Ki Ab khuli hai Jab Ye Duniya Chordi,
Itne Din Se Wo Kahan Tha Kiya So Raha Tha Bewafa,

Ous Ne Mujh Ko Ghum diye Aur Ghum Ne MEri JaN Li,
Khud Ko Qatil Mann'ta Hai Isliya Tou Aj Wo.
Ansoon Se Jurm Apne Dhu RAha Tha Bewafa,


Zindgi Mai Mujh Se Milne Wo Kabhi Aya Na Tha,
Aj Keo Meri Qabar Pe Ro Raha Tha Bewafa,

Ankh Ous Ki Ab khuli hai Jab Ya Duniya Chordi,
Itne Din Se Wo Kahan Tha Kiya So Raha Tha Bewafa


Meri Sansein Zindagi Aur Mout K Thi Darmiyan,
Meri Halat Dekha Kar sab Ne Kaha Mar JAye Gaa.
Ro Pare Dushman Mgr Khush Ho Raha Tha Bewafa,


Zindgi Mai Mujh Se Milne Wo Kabhi Aya Na Tha,
Aj Keo Meri Qabar Pe Ro Raha Tha Bewafa,

Ankh Ous Ki Ab khuli hai Jab Ya Duniya Chordi,
Itne Din Se Wo Kahan Tha Kiya So Raha Tha Bewafa,

Dair Thori Se Lagi Par Rang Lai Hay Wafa,
Bad Marne K zafar Oun Ki Inayat Hay Bari.
Char 4 Kull Mere Liya Parh Tou Raha Tha Bewafa,


Zindgi Mai Mujh Se Milne Wo Kabhi Aya Na Tha,
Aj Keo Meri Qabar Pe Ro Raha Tha Bewafa,

Ankh Ous Ki Ab khuli hai Jab Ya Duniya Chordi,
Itne Din Se Wo Kahan Tha Kiya So Raha Tha Bewafa,

Deti Hai Sukoon Rooh Ko......!!


Deti hai sukoon rooh ko kaanton ki chubhan bhi.
Khushbu se kabhi hoti hai seenay mein jaln bhi.

Aansoo hi nahi haasil-e-izhar-e-gham-e-dil.
Honton se larzti hai tabbassum ki kiran bhi.

Ehsaas ke andaz badal jatey hein warna.
Aanchal bhi usi taar se banta hai, kafan bhi.

Yaadon Ko Bhulane Main Kuch Dair Lagti Hai.....


"YAADON” ko bhulane main kuch dair to lagti hai..
”ANKHON” ko sulany main kuch dair to lagti hai..

Kisi ”SHAKHS” ko bhula dena itna aasan nahi hota..
”DIL” ko samjhany main kuch dair to lagti hai..

Bhari ”MHAFIL” main jab koi achanak yaad aa jay..
Phir ”Aanso” chupany main kuch dair to lagti hai..

Jo shakhs ”JAAN” se b pyara ho achanak door ho jay..
Dil ko ”YAQEEN” dilany main kuch dair to lagti hai.....

Bohat Khamosh Reh Kr Jo........!!


Bohat khamosh reh kr jo sazaen mujh ko deta tha,
Bare khamosh lehje mein sadaen mujh ko deta tha,

Kabhi jo dard ki aatish mujhy sulgany lagti thi,
Wo apni saans ki mehki hawaen mujh ko deta tha,

Usay mein ajnabi smjha magar har mor pr ‘Dost’
Wo Apne nam ki sari duaen mujh ko deta tha…

Kabhi Yoon Bhi Aa.....!!


Kabhi Yoon Bhi Aa Meri Aankh Mai,
Ke Meri Nazar Ko Khabar Naa Ho,


Mujhe Ek Raat Nawaaz Dey,
Ke Kabhi Uss Ke Baad Seher Naa Ho,


Woh Bada Raheem O Kareem Hai,
Mujhe Yeh Sift Bhi Ataa Karey,


Tujhe Bhoolney Ki Dua Karoon,
Aur Uss Dua Mai Asar Naa Ho,


Mere Paas Mere Habib Aa,
Zarra Aur Dil Ke Qareeb Aa,


Tujhe Dhadkano Mai Basaa Loon Main,
Ke Phir Bichadhney Ka Darr Naa Ho...♥

Woh Bewafa Ho Jaata Hai.....


Jis Kisi Ko Bhi Chaho Woh Bewafa Ho Jaata Hai
Sar Agar Jhukao To Sanam Khuda Ho Jaata Hai

Jabh Talak Kaam Aate Raho, Humsafar Kehlaate Raho
Kaam Nikal Jaane Par Humsafar, Koi Doosra Ho Jaata Hai

Jahan Bhi Ho Chale Aao......


Jahan bhi ho chale aao tmhen Yaaden bulati hain
Tmhare Sath jo guzri thi wo Shaamen bulati hain,

Ye na samjho k tum bin kisi ka Dill nhi rota
aaj bhi Tum ko kisi ki Udaas Aankhen bulati hain.

Ik Saal Purana Qissa Hai......!!


Ik Saal Purana Qissa Hai


Ik Larka Tha Deewana Sa


Karta Tha Manmana Sa


Wo Shokh Shokh Chanchal Sa


Mehka Mehka Pagal Sa


Ik Roz Muhabbat Ker Betha


Or Ab K Sal Ka Qissa Hai


Ab Wo Mazi Ka Hissa Hai


Wo Pyaar Pe Jaan Ko Waar Gya


Or Apne Aap Ko Maar Gya


Sare Jag Se Jeet Gya


Bas Apne Aap Se Haar Gya ....!!

Choti Si Galt Fehmi


Choti Si Galt Fehmi Kar Day Gi Juda Humko
Halaat Na Badlien Gay Maloom Na Tha Humko

Rishton Ki Hamien Itni Pehchan Na Thi Pehlay
Kehnay Ko Mirasm Tou Apnay Thay Bohat Pehlay

Ashkon Kay Siwa Kuch Bhi No Mila Humko
Halaat Na Badlien Gay Maloom Na Tha Humko

Uth Tay Huay Kadmon Main Zanjeer Si Parh Jati
Ehsaas-e-Nidaamat Say Dehleez Pay Ghar Jaati

Aik Bar Jo Mohabbat Say Detay Jo Sada Humko
Halaat Na Badlien Gay Maloom Na Tha Humko


CHOTI SI GALT FEHMI KAR DAY GI JUDA HUMKO

Mother's Day Poetry


Wo mare badsalooki mai bi mujhy dua dati hai.
Aghosh mai le kr sb ghum bhula date hai.

Yun lagta hai jaisy jannat sy a rahe ho khushbo.
Jb wo apny palu sy mujhy hawa dati hai.

Mai agar kroon anjany mai koi ghalte.
Meri ‘Maa’ es pr b muskura deti hai.

Kya khub bnaya hai rab ny rishta ‘Maa’ ka.
Weeran ghar ko b jannat bna dati hai

‘Maa’ ke bad mera kon sahara hai.
Ye he soch mujhy kbe kabi rula dati hai…!

Woh Naam Tha Badal Gaya.....


woh naam tha badal gaya ?
main shaam tha dhal gaya ..


woh nazer thi jhuk gayee ?
main thereer tha mit gaya ?


woh shaama thi pighal gayee ..
main parwana tha jal gaya ?


woh ashq tha bhe gaya ?
main dard tha seh gaya ?


woh chand tha chup gaya ?
main badal tha baras gaya ?


woh toofan tha guzar gaya ,,
main gulshan tha bikher gaya ?

Usey Dekhe Howe Zamaane Ho Gaye......!!


Koun Aaya, Raaste Aaina Khane Ho Gaye
Raat Roshan Ho Gayi Din Bhi Suhaane Ho Gaye

Kyon Haweli Ke Ujarne Ka Mujhe Afsos Ho
Sainkron Be.Ghar Parindon Ke Thikaane Ho Gaye

Jaao In Kamron Ke Aaine Utha Kar Phaink Do
Be.Adab Keh Rahe Hain Hum Purane Ho Gaye

Ye Bhi Mumkn Hai Main Ne Usko Pehchana Na Ho
Ab Usey Dekhe Howe Kitne Zamaane Ho Gaye

Meri Palkon Pe Ye Aansuu, Pyar Ki Touheen Thy
Uski Ankhon Se Gire Mouti Ke Daane Ho Gaye

Yaad Karke Humein Bhula Dena....!!


Yaad karke humein bhula dena
Beetay jazbon ko phir hawa dena

Naa cher dhun koi purani ab
Hai tera kaam bus rula dena

Aaj phir bebasi ka alam hai
Koi hal uss ka bhi suna dena

Raat ka hai nasha ya yaad teri
Jhoomte dil ko kuch dua dena

Aye afsaana-e-mohabbat aaj
Shamma-e-shouq tu jala dena

Aayegi yaad teri phir se aaj
Yaro hum soain toh jaga dena

Aanganon Main Utra Hai Baam-o-dar Ka San'nata....


Aanganon Main Utra Hai Baam-o-dar Ka San'nata
Mere Dil Pe Chaaya Hai, Mere Ghar Ka San'nata

Raat Ki Khmoshi To Phir Bhi Meherban Nikli
Kitna Jaan Leva Hai Dopeher Ka San'nata

Subha Mere Jore Ki Her Kali Salamat Nikli
Goonjta Tha Khushboo Main Raat Bhar Ka San'nata

Apni Dost Ko Le Kar Tum Wahan Gaye Hoge
Mujhko Poochta Hoga, Rahguzer Ka San'nata

Khat Ko Choom Kar Usne Ankh Se Lagaya Tha
Kul Jawab Tha Goya, Lamha Bhar Ka San'nata

Tu Ne Uski Aankhon Ko Ghor Se Parha Qaasid?
Kuch Tou Keh Raha Hoga Us Nazer Ka San'nata

Tujhe Ishq Ho Khuda Kare


Tujhe ishq ho khuda kare
Koi tujh ko us se juda kare


Tare huant hansana bhoal jae
Tari ankh por nam raha kare


Tu us ki baat suna kare
use deakh kar tu roo pare


Wo nazar jhokha kar chala kare
Tujhe hijar ki wo jhari lage


Tu milan ki har pal dua kare
Tare khawab bekhare toat kar


Tu kirchi kirchi chuna kare
Tu nagar nagar phira kare


Tu gali gali sada kare
Tujhe ishq ho phir yaqeen ho


Ise tasbhion par parha kare
Mein kahon ishq dhoang hai


Tu nahi nahi kia kare.

Zid Na Kar.....!!


Tu hawa kay hath pe chahatoun ka dia jalanay ki zid na kar,
Yeh udaas logun ka sheher ha yahan muskuranay ki zid na kar,

Main muhabbatoun ka dasa hua, mera gham hai hadd say barha hua,
Main shikasta ghar ki misal hun meray pas anay ki zid na kar,

Main teri ghazal to nahi hun jo, har ik kay lab per saji rahun,
Main tow aik misra-e-dard hun, mujhay gungunanay ki zid na kar,

Abhi laot aa abhi waqt ha abhi jan baki ha jism main,
Tujhay ilm hai meri jan hai tu, mujhay aazmany ki zid na kar,

Log Rooth Jate Hain Mujhse...


log Rooth Jate Hain Mujhse,,
Aur Mujhe Manana Nahi Aata...


Main Chahti Hun Kya,,?
Mujhe Jatana Nahi Aata...
... ... ...
Aansuo Ko Pina Purani Aadat Hai,,
Mujhe Aansu Bahana Nahi Aata...


Log Kehte Hai,,Dil Patthar Hai Mera,,
Is Liye Ise Pighlana Nahi Aata...


Ab Kiya Kahoon,,!!
Kya Aata Hai..Kiya Nahi Aata...!!


Bas Mujhe Mousam Ki Tarah
Badalna Nahi Aata

Diye Jalane Ki Rasam....!!


Me janata hon k abb chaton par
Diye jalane ki rasam baki nahin rahi hai
Magar tumhen meri yaad ae
To yaad rakho


Tum apni ankhon se
Ansaon k chamakate moti na giarane daina
Bus itna karna
K apni chat par
Meri mohabbat ki nazam gaa kar
Meri rafaqat ko yaad kar k
Diya jhalana
Tum apni chat par kisi bhi kone me baith kar
Ikk diya jhalana…..

Jamaal-e-Yaar Ko Dekhon....


Jamaal-e-Yaar Ko Dekhon Kamaal-e-Yaar Se Pehle
Main Khushbu Ki Tarha Mehkon Khayaal-e-Yaar Se Pehle

Karishmen Husn K Sooraj Sitare Phool Zahir Hain
Magar Main Kis Taraf Dekhon Misaal-e-Yaar Se Pehle

Duaon Main Meri Yon To Bohat Taseer Hai Lekin
Khuda Se Aur Kia Mangon Sawaal-e-Yaar Se Pehle

Hai Aadat Door Rehne Ki Agar Wo Saamne Aaye
Main Shaam-e-Zindagi Chahon Wisaal-e-Yaar Se Pehle..

Chahe Mujrim Samjhe Ya Koi Gunah Gaar Humein...!!


Chahe mujrim samjhe ya koi gunah-gaar humein,
saaf kehte hain ik shaks se hai pyar humein,


Dil dia hai kisi ko to muskrana kesa,
pyar kia hai to haalat se darna kesa,


Apne is jurm ka iqrar hai sau baar hme,
saaf kehte hain ke ik shakhs se hai pyar humein,


Hum ne maana ke humein jaan se jana hoga,
jaan de ke bhi humein pyar nibhana hoga,


LO SUNO


Tark-e-mohabbat se hai inkar humein,
saaf kehte hain ke ik shakhs se hai pyar humein...

Dard Ke Baad Dua Na Ho Jaana........


Dard Ke Baad Dua Na Ho Jaana,
Dekh Lena, Saza Na Ho Jaana,

Mushkile To Beshumar Aayengi,
Thak Na Jaana, Juda Na Ho Jaana,

Ishq Ki Intiha Nahi Hoti,
Ishq Ki Intiha Na Ho Jaana,

Zindagi Dard Se Ibarat Hai,
Zindagi Se Khafa Na Ho Jaana,

Ek Tumhi Ko Khuda Se Manga Hai,
Tum Kahi Bewafa Na Ho Jaana..!!!

Shaam-e-Fursat Dhalay.......!!


Shaam-e-Fursat Dhalay, Hum Nahi Chahate,
Ghum Say Fursat Milay, Hum Nahi Chahate

Phir Naya Waar Sehne Ko taiyyar Hain,
Tu Parayshan Rahay, Hum Nahi Chahate

Aaj Aansoo Bahanay say, Mut Roko,
Aaj Barish Thumay, Hum Nahi Chahate

Hum Teray Baad Ujray Hon, To bhi Theek Hai,
Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahate

Teray Pekar Ko Ham Dekhte Hi Rahein,
Tu Nazar Say Hatay, Ham Nahi Chahate

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Ye Moujon Ka Shor,
Ghum Ka Dariya Ruke, Ham Nahi Chahate

Iss Qadar Piyar say Tu Pukara na Kar,
Aag Dil Ko Lagay, Hum Nahi Chahate

Yeh Choorian Dekhiye Kaisi Hain ?


Suniye...

Apni Khubsurat Kalayi Mein
Bare Chaao Se
Choorian Ghumatey Hoye Uss Ne Kaha
Yeh Choorian Dekhiye
Kaisi Hain ?

Aap Ko Pasand Hain ?
Yeh Aap Ke Naam Ki Hain
Hum Ne Aap Ki Taraf Se Li Hain
Aap Hamary Ho Na ?
Ho Na Aap Hamary ?

Iss Se Pehlay Ke Wo
Meri Aankh Mein Chamaktay Aansoo Dekhti
Jaldi Se Main Ne Kaha
Han Bohat Khubsurat Hain Yeh Choorian
Tumhari Kalayi Mein Khoob Saj Rahi Hain

Mery Naam Ki Dawedaar
Wo Pyari Masoom Larki
Khushi Se Muskura Di
Aur Bhool Gayi
Apney Sawal Ka Jawab...!!!

Tanha Hai Meri Zaat......!!


Tanha hai meri zaat kaheen se ajao,
Sun lo meri baat kaheen se ajao,

Dushman bazi jeet raha hai chupke se,
Hone ko hai maat kaheen se ajao,

Kachi entain our imarat garey ki,
Our us per barsat kaheen se ajao,

Dil ki basti per hai khof andheron ka,
Ho jaey na raat kaheen se ajao,

Kachi umerain us per khowab mohabat ke,
Kiya kiya hain jazbat kaheen se ajao,

Ankhen rasta dekh rahi hain mudat se,
gardish main hain halat kaheen se ajao,

Mosam mosam log badaltey hain,
Dil per hain sadmat kaheen se ajao….

Tamanna Mit Gaye Lekin..........


Tamanna Mit Gaye Lekin iNtezar hai Tera
Abhi to Shoq-e-Ded me Dil Talabgaar h Tera.

Tu ne Jis Mor pe Chorha tha Kabe sath Mera.
Me usi Rastey Pr Kr rah Hon iNtizar Tera.

Aisa Lag Raha h Muje tuj se Bichar Kr.
Jaisy K Mere Zindagi Pe iKhtiar h Tera.

Me Tuj ko Bhool Jaon ye MumKiN he Nahe.
Mere Har Sans se Wabasta Aisa Piyar h teraaaaaa..

Wao

Related Posts with Thumbnails