Jafa Wo Kartay Hain....


Jafa wo kartay hein to bas yahein se kartay hein
Ke sari Bazm mein Parda bas hami say kartay hein

Sawal-E-Shooq Shuru hum wahein say kartay hein
Jawab wo bhee shru bas "Nahi" say kartay hein

Eisa na ho ke kami Dard-E-Dil mein a jai
Dosti phir bhee kisi Dilnasheen say kartay hein

Tum suno ya na suno Hum to kahay jaein gay
Dil ki har baat faqat hum tumhi say kartay hein

Jahan kahin mere Parda Nasheen ki ho baat
Hayat apni shuru hum wahein say kartay hein

Mohabbat Lakh Gehri Ho


Mohabbat laakh gehri ho magar ye baat lazim hai
Ke pehli baar mein tou husn ko inkaar karna hai

Abhi kuch shair, seena cheer kar, utra nahi karte
Teri aabroo ko thoda aur bhi khaam.dar karna hai

Issi chakkar mein hum ne saikroun deevaan parh daale
Suna kar shair usko pyar ka izhaar karna hai

Dupatta taan lo apna zara tum baadbaani ko
Meri kaghaz ki kashti ko samandar paar karna hai

Ye kya hai ab kahani beech mein kyun rok rakhi hai?
Zubaan ko he nazar ke baad bas iqraar karna hai

Mujhe jaane do mera aur bhi kuch kaam baki hai
Jise mehfil sajaani hai ussey tayaar karna hai

Umeed Abhi kuch Baqi Hai [ Dedicate To my Country ]


Umeed abhi kuch baqi hai
ek basti basne wali hai

Jis basti mai koi zulm na ho
aur jeena koi jurm na ho

wahan phool khushi k khilte hon
aur musam saray milltay hon

bas rang aur noor barste hon
aur sare hanste baste hon

Umeed hai aisi basti ki jahan jhoot ka karobaar na ho
dehshat ka bhi bazar na ho

jeena bhi dushwar na ho
marna bhi azaar na no

yeh basti kash tumhari ho
yeh basti kash humari ho

wahan khon ki holi aam na ho
Us angan mai gham ki shaam na ho

jahan munsif se insaf millay
dill sab ka sab se saaf millay

ek aas hai aisi basti ki
jahan bhook se roti sasti ho

Kashhhhhhhhhh ! ...

Bus aik pal...


D0ori ka Ab Ek Pal ßi Gavaara Nahi H0ta.
Piyaar Ek ßaar Hi H0ta Hai Dubaara Nahi H0ta.

Sadiy0'n ki Musafaat H0 T0 Milta Hai Hamsafar.
Pal ßhar k0i Mil kar Hamara Nahi H0ta.

Mai'n J0 ßaat karta H0n T0 V0 Rehta Hai khama0sh.
Tasveer Sey Ab Us ki Guzara Nahi H0ta.,

Jaane Kiya Howa Hai...!!


Jaane Kiya Howa Hai Mere Ander
Ik Shoor Sa Macha Hai Mere Ander

Zoor Ki Ik Cheekh Tou Suni Thi
Koi Mer Gaya Hai Mere Ander

Kitne Zakhmoun Ki Taab Hai Mujh Main ?
Haa'ey !! Karbala Hai Mere Ander

Muztarib Hoon Sukoon Nahin Milta
Jaane Kia Bala Hai Mere Ander

Ik Zamaane Se Keh Raha Hai Kuch
Kiya Yehi Khuda Hai Mere Ander ?

Mere maula....!!


Mere maula ye haseen hath salamt rakhna
Aisa lagta hai jo ye hath dua ko uthen

Khud farishte chale atey hein zameen ki janib
Sonp kar marmareen hathon ki hatheli ko hina

Jo bhi manga ho wo chup chap diye jate hon
Mere maula ye haseen hath salamt rakhna

In ki khushbo se moatar hai mera sara wajood
Inhi hathon mein mere khwab chupe hein maula

Ungliyan mujh ko mohabbat mein bhigo deti hein
Inhi poron ne mere dard chune hain maula

Is ki rag rag mein mohabbat hi mohabbat rakhna
Mere maula ye haseen hath salamat rakhna

Inhi hathon ki lakeeron mein muqadar hai mera
Yeh jo kone mein sitara hai sikander hai mera

Khwab se narm khayalon ki tarha nazuk hein
in ke har lams mein mere liye chahat rakhna

Mere maula ye haseen hath salamat rakhna....!

Behar-e-ishq main doob ke daikh....


behar-e-ishq main doob ke daikh kabhi
jaam-e-mohabbat pee ke daikh kabhi

her taraf tera hi aks nazar ayai ga
meri aankhon mein pyar say daikh kabhi

gharoor hay tujhey apni zulfon ki cha’aon ka
meri palkon ki chaon mein baith ke daikh kabhi

kaisi hoti hay tapish zamanay ki nigahon mein
meray dil k aangun say bahar aa ke daikh kabhi

kitni hoti hay mithas jazba-e-dar guzar main,
kisi rothay howay ko mana ke tu daikh kabhi

kerti hay kaisay khushu gul say parwaz
ik bar mujh say door ja ke daikh kabhi

Bachpan Ka Zamana Hota THa....!!


Bachpan Ka ZAMANA Hota Tha


Khushiyon Ka KHAZANA Hota Tha


Chahat CHAAND Ko Pane Ki


DiL Titli Ka DEEWANA Hota Tha


Rone Ki Waja Na Hoti Thi


Hasne Ka BAHANA Hota Tha


Khabar Na Thi Kuch Subho Ki


Na Shaamon Ka THiKANA Hota Tha


Mati k gar banate the or un ko girana hota tha


Gham Ki Zuban Na Hoti Thi


Na Zakhmon Ka PAYMANA Hota Tha


Barish Me Kaghaz Ki KASHTi


Har Mosam SUHANA Hota Tha


Wo Khel Wo SAATHi Hote The


“Har R¡shta N¡BHANA Hota Tha…!!”

Ek shaam ke dhaltey saye mein.....


Ek shaam wø dhaltey saye mein,
Mere samnay chup chup bethi thi..


Zuban se tø khamøsh mgar,
ankhøn se sab kuch kehti thi..


Chand se us k chehray Per Ek ajab udasi chai thi,


Jheel si uski aankhøn men Ek nami umad si aai thi..


Kuch kehna tha usko mujh se,
jø kehna tha na keh Pai thi...


Alfaz na thay us ke Paband,
Ye baat batanay aai thi


Jø kuch bhi us k dil mein tha,
main bina suney hi jaan Gaya


Us ki ankh k aansu ne,
har baat mujhe batlai thi..

Shama Aur Parwana.....!!!


Kitnay parwanay jalay raaz yeh panay ke liye,
Shama jalnay ke liye hai ya jalanay ke liye.

Ronay walay tujhe ronay ka saliqa bhi nahi,
Ashq peenay ke leye hain ya bahanay ke liye.

Aaj keh donga shab-e gham ki shararat un say,
Roz aa jati hai kambakht satanay ke liye.

Mujh ko maloom tha aap aingay merey ghar lakin,
Khud chala aya hoon main yaad dilanay ke liye.

Wo Zara Nahi Badli.....!!


Aaj Baad Mudaat Ke
Maine Usko Dekha Hai
Wo Zara Nahi Badli

Ab Bhi Apni Ankhon Main
Sou Sawaal Rakhti Hai

Choti Choti Baaton Pe
Ab Bhi Khul Ke Hansti Hai

Ab Bhi Uske Lehje Mein
Wo He Khn'khnahat Hai
Wo Zara Nahi Badli

Ab Bhi Uski Palkon Ke
Saaye Geele Rehte Hain..

Seekha hai jab se main ne falsafa-e-zindagi....


Seekha hai jab se main ne falsafa-e-zindagi
kaisey kahon k us ka rawayya badal gaya

Jisne ka tha saath chalen gai tamam umar
badla hawa ne rukh to wada badal gaya

Unko tha ye gumaan wo Dil Haar jaaengai
shayad isiliye unka Irada badal gaya

hairat hai "Qais" k muddat e Qaleel main
wo shakhs meri soch se bhi ziada badal gaya

Tumhare sath rehna hai....!!


Tumharay saath rehna hai
Muje har waar sehna hai

Muje ashkoon ki surat mein
Teri ankoon say behna hai

Tumharay hussan par janan!
Udasi bhi tu gehna hai

Yehi tu Juram hai apna
ke hum ne pyar pehna hai

Chalo ab be rukhi choro
Humain aik saath rehna hai

Hai mera katam afsana!
Tumhein kuch aur kehna hai?

Tum Gaye Tu Shehar Bhi


Tum Gaye Tu Shehar Bhi Sunsaan Sa Lagney Laga
Milney Wala Her Koi Anjaan Sa Lagney Laga

Nachney Lagta Tha Aksar Tuj Say Mil Kar Jo Kabhi
Dil Wohi Seeney Mein Ab Bey Jaan Sa Lagney Laga

Beh Na Jao Phir Kaheen Ashkoo K Is Selaab Mein
Aaj Palkoo Mein Chupa Tufaan Sa Lagney Laga

Kar Liya Jab Bey-Hodi Say Ek Rishta Istiwaar
Zindagi Ka Yeh Safar Aasaan Sa Lagney Laga

Zulm Sehtey Sehtey Apney Dil Ki Yeh Halaat Hui
Ghar K Koney Mein Para Samaan Sa Lagney Laga

Dekh Kar Tanha Mujhey"Almaas"Phir Muddat K Baad
K Koi Mehfil Mein Kuch Hairaan Sa Lagney Laga

Bhula dia main ne......


Tu aik waqat tha jisko bhula dia main ne
har aik yaad ka gulshan jala dia main ne

wo piyaar jiske qasidey kaee likhe the kabhi
kitab-e-dil se wo unwaan mita dia main ne

thi apni manzile hasrat jo ik mohabat ki
usey mazaar ka manzar bana dia main ne

na tumse koi gila hai na ab shikayat hai
tumhari raah se khudko hata dia main ne

nazar mila ke jo dekho gay jaan jaao gay
ke kesey tum ko nazar se gira dia main ne

meri wafa ka janaza tha is qadar ghamgeen
ke patharoon ko bhi gham se rula dia main ne

Us Kii Hasrat Hai.....


Us Kii Hasrat Hai Jise Dil Se Mitaa Bhii Na Sakuun
Dhuundhane Us Ko Chalaa Huun Jise Paa Bhii Na Sakuun

Daal Kar Khaak Mere Khuun Pe Qaatil Ne Kahaa
Kuchh Yeh Mehndii Nahiin Merii Ke Mitaa Bhii Na Sakuun

Zabt Kambakht Ne Aur Aa Ke Galaa Ghontaa Hai
Ke Use Haal Sunaauun To Sunaa Bhii Na Sakuun

Us Ke Pahaluu Men Jo Lejaa Ke Sulaa Duun Dil Ko
Niind Aisii Use Aaye Ke Jagaa Bhii Na Sakuun

Naqsh-E-Paa Dekh To Luun Laakh Karuungaa Sajde
Sar Meraa Arsh Nahiin Hai Ki Jhukaa Bhii Na Sakuun

Bevafaa Likhte Hain Vo Apnii Kalam Se Mujh Ko
Ye Vo Qismat Kaa Likhaa Hai Jo Mitaa Bhii Na Sakuun

Is Tarah Soye Hain Sar Rakh Ke Mere Zaanon Par
Apanii Soii Huii Qismat Ko Jagaa Bhii Na Sakuun

Nazar Ki Pyaas Bhujaney Ka Hosla Na Huwa


Nazar Ki Pyaas Bhujaney Ka Hosla Na Huwa
Miley To Lab Bhi Hilaney Ka Hosla Na Huwa

Pukarti He Rahi Door Tak Usay Nazrain
Magar Zuban Sey Bulaney Ka Hosla Na Huwa

Us K Jabar-o-Sitam Hans K Seh Liay Dil Per
Us K Dil Ko Dukhaney Ka Hosla Na Huwa

Lutey Kuch Aisey Pyaar Mein Hum K Phir Ab Tak
Kisi Ko Dil Mein Basaney Ka Hosla Na Huwa...!

Aao lay jao meray dil kay khazanay....


Aao lay jao meray dil kay khazanay
SeeNch daalo yeh apnay gulshan veeranay


TanhaaioN ka zehar piya hai is amrit kay liyay
TaNz-o-fiQroN maiN jiya hai is amrit kay liyay


Barti gayi,barti gayi aur talaash tab junoon ho gayi
Meri deewanagi mehfiloN maiN haNsi ka majmoon ho gayi


Ukta kay uth gaya har aashna kareeb say
Aur ziNdagi ruk gayi us maNzar ajeeb pay


Ik taraf urnay ki lalak
Ik taraf zameeN ki pakar
Ik taraf nai duniya ka shouq
Ik taraf ajnabiyat ka khauf


Magar phit khudi nay behoshi ki aakhri zaNzeer bhi tor di
ParoN maiN apnay hosh ka dum bhar,aasmanoN say hor li


Nigaah phir uth gayi jeet haar kay sawaal say
Ufaq dar ufaq barta gaya noor hosh kay jamaal say


Phir dil dil lay kar gaya yeh wusat-e-ahsaas
Behosh sab hujoom thay laut aayaa maiN udaas


TanhaaioN maiN magar ab bhi
Umeed ki lau jalti hai.

Mere Dard Ki sada...!!


Tujh tak nahiN pahuNchati ab meray dard ki sadaa
Dil hai badhawaas ki aakhir kya hua

Tu hi mujhay bataa yeh insaaf kya hua
Kiska tha gunaah aur kisko mili saza

Bahut roya,tarpa,hua bahut bayzaar dil
Toonay magar kaha ab gham maiN din guzaar dil

Makhsoos meray liayay thay woh teray jo ahsaas
Halaat ki aaNdhi maiN shayad rehay na teray paas

Ab kisi umeed pay "Sagar" na tu thahar
Is aNdhayri raat ki shayad na ho sehar

Wo meri zindagi me aaya!


Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya!

Na jaane kaun, aaya kaha se thaa ? ........

Aahat Se Uski Mujhe Hone Lagi Thi Wahshat,

Par woh mujh ko Paigham-e-mohabbat De Gaya Tha !

Dil mein uthi Tadap, us ki Sakhawat dili ki wajah se,

Aur aisa nasha hua, jo ki jaavedaa tha!

Us ke aane say jo is dil main roshni hui hai ab

Warna to is dil mein koi taara bhi na chamka tha

Dekha Jab sab ne , meri aankho main us ka chehra,

Sab ko laga aaj who mujhey apney dulhan bana gaya tha!

Din Main Tanha....



Din Main Tanha Yaad Satayegi.
Raat ko Chonk k Uth Jao gey.

Raat Bhar Neend Kyon Nahi Aati.
Tum Khud Bhi Samjh na Pao gey.

Log Puchy gey us Tanhai ka Sabub.
Kya Chupao gey, Kya Batao gey.

Palkain Her Baar Bheeg Jaingi.
Jab Kabhi Khul k Muskrao gey.

Mujhe Ruthnay Na Dena


Main staon lakh tum ko
Na manaon lakh tum ko

Meri ILTEJA hy tum se
Jo kbi main rooth jaon

Mujhe roothny na dena
MUJHE ROOTHNY NA DENA

Kabhi Unka Naam Leina


Kabhi Unka Naam Leina
Kabhi Unki Baat Kerna

Mera Zooq Unki Chahat,
Mera Shoq Un Pe Marna

Kabhi Chalte Chalte Thamna Or Tham K Beith Jana

Kabhi Larkhara K Girna,
Or Gir K Phir Sambhalna

Kabhi Raat Raat Rona,
Kabhi Din Charhe Sisakna

Kabhi Darya Darya Rehna,
Kabhi Boond Ko Tarasna
Raha ishq Se Hamesha,
Koi Wasta Hai Apna

Yahi Zindagi Hai Apni

Yahi Rasta Hai Apna.....

Us Ki Nazron Ka KamaL Na Poch....!!


Us Ki Nazron Ka KamaL Na Poch,
Ab Jo Hua Hy Mera Hal Na poch,
::
Ho Gai Us K Samney Zuban Band Meri,
Phir Kia keay Us Ny Mujh sy Sawal Na Poch,
::
Milta Hy Mujhy Her Roz Khuwab Mein,
Usy Hy Mera Kitna KhayaL Na Poch,
::
Tery Sang Jo Waqt Guzra Maloom Nahi,
JUDAI Mein Jo Guzra Wo SaaL Na Poch,
::
TAJIR To Hon Main Mohabbat Ka Magar,
Howa Kis Tarha Main KANGAL Na Poch.

Jab Bhi Sochoon Tujhe...!!


Jab Bhi Sochoon Tujhe Dard Apna Barha Leta Hoon..
Phir Har Naye Saal Ka Suraj Dekh Kar Muskura Leta Hoon..

Main December Ki Sard Raton K Wady Yaad Kar K,
Thory Thory Ashk Ankhon Se Apni Baha Leta Hoon..

Kabhi Jo Ankhon Maen Tere Ashk Dekhoon,
Khuwab Ban K Woh Tamam Ashk Chura Leta Hoon..

Yeh Adat To Husn-O-Wafa K Qayel Janty Hain Meri,
Keh " Piyar Mily Jahan Bhi Sir Apna Jhuka Leta Hoon..

Jab Bhi Koi Ghazal Tere Naam Likhoon,
Batein Likhta Hoon Tamam Magar Tera Naam Chupa Leta Hoon..

Na Samjha Tu Ne Mujhe " Aor Na He Meri Muhabbat Ko Ay Dost,
Naya Saal Mubarak " Khush Rehny Ki Tujhe Dua Deta Hoon..!!

Bazecha-e-atfaal hai duniya mere aage


Bazecha-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage

juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage

hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
too dekh ke kya rang tera mere aage

sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN ?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

fir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage

imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
majnooN ko bura kehti hai laila mere aage

KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage

hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage

ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage !

Musafir ko sitara yaad rehta hai....


Sar-e-sehra musafir ko sitara yaad rehta hai
main chalta hun muje chehra tumhara yaad rehta hai

tumhara zarf hai tum ko muhabbat bhool jatti hai
humen to jis ne hans kar be pukara yaad rehta hai

muhabbat aur nafrat ,talkhi aur shireeni
kis ne kis tarah ka phool mara yaad rehta hai

muhabbat main jo duba ho use sahil se kya lena
kise is behr main ja kar kinara yaad rehta hai

bohat lehroon ko pakra dobne wale ke hathoon ne
yahi bas aik darya ka nazara yaad rehta hai

sadain aik si, yaksaniyat main doob jaati hain
zara sa mukhtalif jis ne pukara yaad rehta hai..

Mohabbat ka iqrar karun ga..


Aaj tum se mohabbat ka iqrar karun ga..
Wada raha tujhse sirf tujhse pyar karun ga..

Kiya tumne aitbaar mujh par ehsaan hai tumhara..
Tumhe me apni zindagi me shumaar karun ga..

Khata bakhsh do,diye hain bohut dukh tumhain..
ab phir na kabhi b tumhe beqarar karun ga..

Samjha tum ne mohabbat k qaabil mujhay..
Me to zindagi bhar tujhay pyar karun ga..

Tujhe chaman me la kar,tujhe saamne bitha kar..
Phir tere haseen chehre ka deedar karun ga..

G bhar k dekhun ga zindagi bhar tuujhe..
Tere husn ka apne ooper khumaar karun ga..

Tu jab b DULHAN ban kar aaegi mere ghar..
Tujhe kabhi bhi na main sharamsaar karun ga..

Toot kar chahun ga me zindagi bhar tujhe..
Tere har dukha ko apne dukh me shumaar karun ga..

Tu agar rooth kar chali bhi gae muntazir se..
Tere lot k anay ka me intezaar karun ga..

Aaj Phir Mene Teri Baton Ko Yaad Kya


Aaj Phir Mene Teri Baton Ko Yaad Kya
Aaj Phir Dil Ne Teri Yaadon Ko Abad Kya

Aaj Phir Yaadon Ka Dhaga Ansuon Main Toot Gaya
Aaj Phir Chand Sisakty Sisakty Doob Gaya

Aaj Phir Tere Intizar Mein Sham Hui
Aaj Phir Tujhe Pane Ki Aas Nakam Hui

Aaj Phir Mera Hath Kinare Par Aa Kar Chhoot Gaya
Aaj Phir Dil Mein Andhera Hai

Aaj Phir Hansi Pe Gham Ka Pehra Hai
Aaj Phir Khushi Ka Soraj Khushiyon Se Routh Gaya

Kal na aya tou..........??


Merey zehan main khayal atey hain

agar main kal subha na jagoon

tou kia kabi usey wehm guzrey ga

k main us sey kitni mohabbat krti thi???

Agar aaney wala kal na aya tou???

kia wo jaan paey ga k

k main us sey kitni mohbbat karti thi..

kia main ney har koshish kar li

ta k usey bta sakoon

k is duniya main sirf wahi mera hai

or agar mera waqt khatam ho jaey tou

or usey merey bagher duniya ka samna karna parey

tou jo mohobbat main ney usey pehley di

kia wo hamesha rehney k liye kafi ho gi

agar aaney wala kal na aya tou..????

SIRF TUM


‎..."TUM"...

.."Mosam Mosam Lagtey Ho"..

.."Jo Pal Pal Rang Badltey Ho"..

.."Tum Sawan Sawan Lagtey Ho"..

.."Jo Sadiyon Baad Barstey Ho"..

.."Tum Sapna Sapna Lagtey Ho"..

.."Jo Mujh Ko Kam Kam Dikhtey Ho"..

.."Tum Pal Pal Mujh Sey Larrtey Ho"..

.."Phir Bhi Achey Lagtey Ho"..

.."Baat Tu Hay Sharmili si"..

.."Par Kehny Ko Dil Chahta Hay"..

.."Lo Aaj Tumhein Yeh Keh Dala"..

.."Tum Apney Apney Lagtey Ho...!

Udaas palkon ke chilmin me........


Udaas palkon ke chilmin me kuch armaan jaltey hain.
jo band kar bi loon aankhain to sare khwaab jaltey hain.

Jesey chaha, jesey pooja wahi badnaam kartey hain.
wafa ke naam par aasteen mey kuch sanmp paltey hain.

Aisi wihshat hawa'oo mey ke dar'o'baam hiltey hain.
ye tere shehr ke moasam qu pal pal badaltey hain.

Hoi deewangi aisi ke apney ghum mey rehtey hain.
gharaibaan chaak dhaikh kar dar'o'deewaar hanstey hain.

Jalain khaimey hain aahoon ke huma ab ghar mey rehtey hain.
sanmbhal ja ae dil'e'naadaan yahan baimaan rehtey hain.

Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do,


Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do,
Har lamha mar ke aaj phir jee jaane do,

Isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai,
Mujhe ishq ki baaho mein so jaane do,

Tadap ki aag hai judaai ki baahon mein,
Mujhe aaj iss mohabbat se mil jaane do,

Meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe,
Mujh benaam ko iss naam mein kho jaane do,

Kasam tujhe chalne wali hawaon ki mehboob,
Mujhe iss mohabbat ki aag mein jal jaane do.

Wao

Related Posts with Thumbnails