Tujh se mil kr bhi kuch kafa hain hum


Tujh se mil kr bhi kuch kafa hain hum
Be murawat nhi to aur kia hain hum

Hum gam-e-karwan mein behte thy
log samjhe k shikasta paa hain hum

Eis tarah se hamein raqeeb miley
jaise muddat k aashna hain hum

Rakh hain hum agr ye aag bhujhe
Juz dard-o-gam k aur kia hain hum

Khud KO sunte hain is tarah jaise
Waqt ki aakhari saada haain hum

Q Zamaney KO ilzaam dein FARAZ
WO NHI hain to be wafa hian hum

Pucha kisi ne haal kisi ka tou ro diye


Pucha kisi ne haal kisi ka tou ro diye,
Pani mein aqs chaand ka dekha tou ro diye,

Naghma kisi ne saaz per chera tou ro diye,
Ghuncha kisi ne shaakh se tora tou ro diye,

Urta huwa ghubaar sar-e-rah daikh kar,
Anjaam hum ne ishk ka socha tou ro diye,

Baadal fiza mein aap ki tasweer ban gaye,
Saaya koi khayal se guzra tou ro diye,

Rang-e-shafaq se aag shagufon mein lag gai,
Saghar hamare haath se chalka tou ro diye...

Mojhe lakh hoo Bhroossa mere dil ka kyaa Thakanna


Mojhe lakh hoo Bhroossa mere dil ka kyaa Thakanna
Kabhi Be-Niqaab ho ker mere Samne na anna

Sar-e-Bazm tum khuda-raa mojhe yuun na azmanna
Meri simt eis adda say kabhi abb naa Muskuranna

Gam-e-Zindagi se mumkin naa huwa Nabaa-h mara
Yeh karam hia tere gam ka mojhe ajnabi na janaa

Tere raaz ka Taha-faz mere bass mian aab nahi hia
Keh Nikhar kay hoo gai hia mri her Nazer faana

Yeh hanssi hanssi nahi hia, yeh Faryaib hia hanssi ka
Na is say samjh saky tum, na samjh saka zamanaa

Koi taza hadasaa phir meri rah tak raha hia
Meri simt uth rahi hia , woo Nigah-e-Dil-Baranna

Tere zakham ki yaad gaariya.n mre shair meri gazle.n
Teri eik nazer ka haasil mera zooq-e-shaayranaa

Wao

Related Posts with Thumbnails