Hijar Mein Khoon Rulatay Ho,Kahan Hotay Ho


Hijar Mein Khoon Rulatay Ho,Kahan Hotay Ho?
Laut Kar Kyun Nahi Aatay Ho,Kahan Hotay Ho?

Mujh Se Bichray Ho To Mehboob e Nazar Ho Kis k?
Aaj Kal Kis Ko Manaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Yaad Aati Hain Akaily Mein Tumhari Neendein
Kis Tarah Khud Ko Sulaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Tum To Bichray They Khushion Ki Rafaqat k Liye
Ab Kiun Ashk Bahaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Shehar k Log b Kartay Hain Ab Yehi Sawal
Tum bohat Kam Nazar Aatay Ho,Kahan Hotay Ho...???

Apne ehsas kay sab rang uttar janay do


Apne ehsas kay sab rang uttar janay do
Meri umeed meray khawab bikhar janay do...

Apne angan main charaghon ko jalao na abi,
Meray angan main siya raat utar janay do...

Bari mushkil se mila hai muje mere ghar ka pata
Rassto ab na uljhao muje gher janay do...

Jin kay aane ka bohat shor phaila tha her soo,
Inhi lamhon ko chup chap guzar janay do...

Meri berbadi ka ilzam na aye kahin tum per,
Meray halat ko khuch or bigar janay do.

Bina Jurm o Khata Khud Ko Koi Aisi Saza Dena


Bina Jurm o Khata Khud Ko Koi Aisi Saza Dena
Bahut Mushkil Hai Meri Jan Tumhein Bilkul Bhula Dena

Mere Maula! Agar Tu Ne Dobara Zindagi Bakhshi
To Bas Itni Guzarish Hai Mujhy Pathar Bana Dena

Main Zehni Tor Par Khud Ko Zara Tayyar Kar Loon Gi
Bichar Jany Se Kuch Pehlay Mujhay Humdum Bata Dena

Tumhari Yeh Shrarat Aj Tak Naqsh Hai Dharkan Par
Daby Paaon Chaly Ana,Mera Jhumka Hila Dena

Phir Is Ke Baad Jis Ke Pass Bhi Tum Jao,Ijazat Hai
Mujhy Ik Baar Apny Naam Ki Mehandi Laga Dena

Faqat Itna Kaha Tha Na,Mujhy Kuch Roshnee De Do
Tumhein Kis Ne Yeh Bola Tha,Meri Basti Jala Dena

Jisay Barish Ke Pani Mein Baha Kar Muskuraty Thy
Mujhy Kaghaz Ki Wo Kashti Zara Phir Se Bana Dena

Umar Bhar Phir Tumhara Rasta Takney Se Acha Hai
Ke Tum Jany Se Kuch Pehly Meri Ankhein Bhuja Dena

Tumhein Is Bar Khat Mein Faqat Yeh Bat Likhni Hai
Ke Sawan Laut Aya Hai,Mujhy Jhoola Jhula Dena!

Ik ajeeb sii khwahish thi uss masum si larkki kii


ik ajeeb sii khwahish thi

uss masum si larkki kii
sare naaz uthane kii
bheegi bheegi ankhoonn kii
sari nammi churanne kii

ik ajeeb sii ik khwashish thii

uss kee nazuuk hoontoon pee
appne mazboot hathoon see
mehanddi ke peele rangoon see
muhabaat ka name likhnne kii

ik ajeeb sii khawahish thii

uss ki chooti chooti baat pe
mastanni si chaal pe
laal gulabbi gaall pee
appna app lutanne kii

ik ajeeb sii khawahish thi

uss ki mout ki khabaar pee
uss ki mehkaktti qabaar pee
qudraat ke iss qehaar pee
khuda see larr kee anne ki

ik ajeeb sii khawahish thi

uss ki dewanni halaat pee
uss ke piyaar ki taqaat pee
ahmer ki zaara kehlane pee
uss ki pujja karnne kii

ikk ajeeb sii khwahish thi

uss nazuk sii larkki ki ikk hi khwahish thi

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga


Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aai Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga

Uski yeh khamoshi aik sada hai


Uski yeh khamoshi aik sada hai
Jaise mohabbat uss ki juda hai
Bani ghum ki woh aik tasveer hai
Shayad yahi uski taqdeer hai
Kahan se laaye woh ussey bula kar
Jo chala gaya hai ussey rula kar
Uss ke bin na jaaney woh kaise jiye ja rahi hai
Ghum ke yeh ansoon yun hi buss piye ja rahi hai
Aisa na ho ke lautne mein ho jaaye buhaat dair
Aa jaoo tum kisi bhi sada ke baghair
Na ho aisa jab tum aaoo laut kar
To tum bhi yun hi bulaate raho ussey umar bhar

Hath siney pe jo rakkh do to qarar aa jaye


Hath siney pe jo rakkh do to qarar aa jaye
Dil k ujhrhey huwe gulshan mai bahar aa jaye

Dil to kehta hai k aankho’n mai chhupa loo’n tujhko
Aur phir jaisey muqaddar ko nikhaar aa jaye

dil k zakhmo’n mai merey pyar ka marham rakkh do
Be qarari mai mujhey, kutch to qarar aa jaye

yu’n Khuda k liye chhino’n na merey hosh o hawas
Aisi nazro’n se na dekho k khumar aa jaye

Chhorh k tum bhi chaley jaogey qismat ki tarah
Laut aao k khizao’n mai bahar aa jaye

Meri aankhon k samandar main


Meri aankhon k samandar main jalan kaisi hai
aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai

ab kisi chhat pe charaghon ki roshni bhi nahin
ab tere sheher ki galiyon main ghhutan kaisi hai

barf k roop main dhal jaaenge saare rishte
mujh se pouchho k mohobbat ki agan kaisi hai

main tere wasal ki khuwahish ko naa marne dunga
mosam_e_hijr k lehje main thakan kaisi hai

regzaaron main jo bunti rahi kaanton ki rida
usski majboor si aankhon main kiran kaisi hai

mujhe maasoom si larki pe taras aata hai
usse dekho tau mohobbat main magan kaisi hai

Ajnabi tujhe na bhool paaye hai hum


ajnabi tujhe na bhool paaye hain hum,
ae bewafa tujhe na maaf kar payenge hum,

kare bhi to kya iss nadaan dil ka hum,
jitni nafrat utni hi mohabbat karte hain hum,

jante hai na mil payenge kabhi hum,
aur naa hi sapno se tujhe durr kar payenge hum,

tumhe kabhi nahi apna sakenge hum,
ae ajnabi tujhe dil se mita bhi to nahi sakte hain hum

Mujhe Yaad Koi Dua Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le


Mujhe Yaad Koi Dua Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,
Tu Meri Jabeen Pe Likha Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Abhi Rasta Bhi Hai Dhool Main Abhi Faida Bhi Hai Bhool Main,
Abhi Mujh Ko Tujh Se Gila Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,



Main Janam Janam Se Naraz Hoon Main Janam Janam Se Udaas Hoon,
Main Khabi Bhi Khul Ke Hansa Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Tu Hai Khwab Khwab Pukarta Meri Ankh Main Nahin Ashk Bhi,
Main Muddaton Se Jiya Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Tujhe Khushbuoon Ki Hai Arzoo Tujhe Roshni Ki Hai Justujo,
Main Hawa Nahin Diyya Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Tujhe Ansuoon Ka Pata Nahin Tujhe Ratjagon Ka Guman Nahin,
Tujhe Es Se Agay Pata Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Kahin Chhoot Sakta Hai Darmiaan Na Zameen Mile Gi Na Asmaan,
Tujhe Rastay Ka Pata Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,



Mujhe Dhoondta Hi Phire Ga Tu Na Jiye Ga Roz Maray Ga Tu,
Main Kabhi Bhi Ghar Pe Mila Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,



Kaho Lautna Hai Kise Yahan Merey Dard Sun Mere Meharban,
Mere Paas Waqt Zara Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le

Tumhin kis nay kaha pagli


Tumhin kis nay kaha pagli
mujhay tum yaad aati ho
bohat khush faham ho tum bhi
tumharai khush gumani hai
meeri ankhon ki surkhi main
tumhari yaad ka matlab???????
meeray shab bhar kay jagnay main
tumharay khwaab ka matlab???
yah ankhien to hameesha say hi
meri surkh rehti hain
tumhin malom hi hoga
is shahar ki faza kitni aloda hai
tu yah sozish,,ussi fizza kay bayes hai
tumhin kis nay kaha pagli
ka main shab bhar nhin sota
mujhay is nokri kay sab jhameelon say
kabhi fursat milay to tab hai na
meeri baaton main larzash hai???
main aksar kho sa jata hon??
tumhin kis nay kaha pagli
mohabbat kay ilawa aur bhi to dard hotay hain
fikar-e-muaash,sukh ki tlaash,
aisay aur bhi gham hain
aur tum
un sab ghamon kay baad aati ho
tumhin kis nay kaha pagali
mujhay tum yaad aati ho
yah dunya walay pagal hain
zara si baat ko yah to afsaana samjhtay hain
mujhay ab bhi yah pagal tera dewana samjhaty hain
tumhin kis nay kaha pagli!!!
magar shyed!!!!!!!
magar shyed main jhhota hon
main reeza reeza ,toota hon

Subha se shaam tak Ham Ko


Subha se shaam tak Ham Ko ...
Bohat se log miltay hain

Nigahon se guzartay hain

Koi andaaz tum jesa...

Koi humnaam tum jesa,,,

Magar, tum he nahin miltay

Bohat bechain phirtay hain,,,

Baray betaab rehtay hain,,,

Dua ko haath uthtay hain,,,

Dua mein ye he kehtay hain,,,

Lagi hai bheer logon ki...

Magar iss bheer mein Jaana..!

Kabhi, tum bhi nazar aao....

Kabhi, tum bhi nazar aao!!!!

Agar hum door ho jayein


Agar hum door ho jayein ,

kahin duniya mein kho jayein ,

batao kya karo gi tum ?

Hamain dhoondo gi

ya Phir,

Hamain bhool jao gi ,

Hamain awaz do gi

Ya phir,,,

Kisi Guzri Kahani mein

Hamara Naam Likh Do Gi....

Chalo Aisa Hi Kr Lena

Tum Khud bhi Badal Jana...

Hamein Tum Bhol hi Jana,,,

Magar itni Guzaris Hay....

Hamara Zikr Jab aaye,,,

Thoda muskura dena...

Khushi ka ho ya Gham Ka ho,,,,

Bas Ek Aansu Baha dena....

Har Haseen Mousam Ki


Har Haseen Mousam Ki
Har Haseen Barish Main
Dard Tum Jagatay Ho
Bewajah Sataatay Ho
Mousamoon K Lutf Ko Tum
Dard Main Bahaatay Ho
Zindagi K Naam Say Tum
Gi Mera Jalaatay Ho
Lutf K Sab He Lamhay
Yaad Main Ganwaatay Ho
Har Haseen Mousam Ki
Har Haseen Barish Main
Tum Kion Itna Yaad Aatay Ho ..??

Barisho'n k mausam main aur kuchh nahee hota


Barisho'n k mausam main

aur kuchh nahee hota,

log yaad aate hain,

chahato'n ki dharti par,

dil k gulsitano'n mai,

pehli boond parhte hi,

zakhm khilne lagte hain,

dard jaag utthey hain,

yaad aane lagte hain,

zindagi k wo lamhey,

jo guzarey jate hain,

aik umr mai sabko,

khushgawar lamho'n mai,

zindagi ki raho'n mai,

rootthna bhi hota hai,

tootna bhi hota hai,

sath chalne waley jab,

raah ko badalte hain,

to dafn karna parhta hai,

chato'n k lamho'n ko,

bhool na hi hota hai,

barisho'n k mausam main,

aur kuchh nahii hota,

chahato'n k wo lamhey,

phir se jaag utth'te hain,

zakhm khilne lagte hain..!!!

Titliyon k mausam main


Titliyon k mausam main
nochna gulabon ka

reet iss nagar ki hai
aur janay kab se hai

sheher k ye bashinde
nafraton ko bo ker bhi
intazar kerte hain
fasl ho mohabbat ki

bhool ker haqeeqat ko
dhoondna sarabon ka

reet is nagar ki hai
aur jane kab se hai

abhi tum naye ho na
isi liye pereshan ho
aasman ki jaanib
iss tarha se mat dekho

aafatain jab aani hoon
tootna sitaroon ka

reet iss nagar ki hai
aur jane kab se hai

khamshi mera sheva
guftagoo hunar uss ka
meri begunahi ko
loag kese manain gay

baat baat per jab k
maangna hawalon ka

reet iss nagar ki hai
aur jane kab se hai

ajnabi fizaoon main
ajnabi musaafir se
apne har ta'aluq ko
daayemi samajh lena

aur jab bichar jana...
mangna duaaoon ka

reet is nagar ki hai
aur jane kab se hai

Dukh anmol hotey hain


Dukh anmol hotey hain
qudrat ki wadeeat hain
kabhi kuch dey k jaatey hain
kabhi sub cheen laitey hain
kabhi beychain kartey hain
kabhi jeena sikhaatey hain
kabhi bantey hain jub aansoo
umar bhar lahoo rulaatey hain
kabhi lub ki hunsi bun kar
nayi dunya sajaatey hain
kabhi meethi kasak ban kar
anjaani khalish bun kar
makeen-e-dil yeh bantey hain
kisi soorat nahin mit'tey
jo in say door bhaago tou
kaheen jaaney nahin detay
naa zinda rehnay detay hain
naa yeh aazaad kartey hain
nahin jiski dawa koi
yeh aisa dard hotey hain
magar yeh bhi ik haqeeqat hay
hur aik ko to nahin miltey
barey nayaab hotey hain
Dukh anmol hotey hain!!

Upcomming Concert: Free Passes for Imran Khan’s Concerts in Karachi & Lahore

Free Passess

Hey all the Concert lovers out there,

Here is the chance to get the free passes for Imran Khan’s upcoming concert in Karachi & Lahore on 10th & 18th June respectively. Pepsi – the title sponsor of the events – is giving away 50 free passes to the lucky contestants.

All you need to do is , just give answer to 3 simple questions on the Official Website of Badal Do Zamana.

The questions to be answered are as follows:

  • Q1. What is Pepsi’s current slogan?
  • Q2. Who are Pepsi’s current football stars?
  • Q3. Can you tell where Imran Khan the singer was born?

so log on to badal do zamana website now and try your luck. In case you don’t know the answers, feel free to get it from

Suno! tum yaad mat karna


suno! tum yaad mat karna
agar hum mar bhi jain tu
dill-e nashaad ko phir sey
na tum bar baad ab karna
humain tum yaad mat karna
k ye yaadain tu jism-o roh ka
nasoor hoti hain
humarey wastey jevan ko yoon
be-noor mat karna
humain tum yaad mat karna
agar hum chor k tum ko
manoo mati main so jain
humaari aankh bojhal ho
aur hum nendoo main kho jain
humarey khwaab ko ankhoon main
phir aabad mat karna
suno! tum yaad mat karna
humarey wastey jevan ko yoon
barbaad mat karna

Raat roti hai bichad kar tum se


raat roti hai bichad kar tum se
chand gum sum hai hawa band fizaon ki tarah
ungliyan kampti hain
hont yak-lakht kisi zalim o be-rahm tashanuj se lipat jate hain
jab kabhi band darichon ki taraf dekta hoon
hook uth-ti hai mere seenay ki gehrayi se
barishein bichrhay hoye logo ki
kis kadar dost howa karti hain'
barf kar deti hain jaltay hoowe angaron ko
aur kabi barf ko aatish mien badal deti hain

meri veerani
meri be-chaini
teri jaan soz judai ki alam-naki mein
iss tarah uljey hoowe hain ke sulajtey he nahi
jis tarah kaanton bari shakh mein aanchal koi
thoda kichta hai to kuch aur ulaj jata hai
din bilakta hai tere hijr ke soonay pan mien
shaam ghabra ke sisak uthti hai
RAAT ROTI HAI BICHAR KAR TUM SE
ungliyan kampti hain
hont yak-lakht kisi zalim o be-rahm tashanuj se lipat jatey hain

Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai



Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai
Gar Banaye To Muhobbat Main Judai Kyun Hai

Kyun Diya Pyar Mujhe Iski Zaroorat Kya Thi
Meri Barbadi Me Shamil Teri Hikmat Kya Thi


Meri Raahon Me Khushbu Ka Safar Rahta Tha
Dil Me Aabaad Gulabo Ka Nagar Rahta Tha
Jindgi Khar Bhari Rahome Layi Kyun Hai
Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai

Mai Hoon Bikhra Hua Gardish Me Sitare
Mere
Gam Ke Tufan Mai Dube Hai Kinare Mere
Na Khatavaar Na Mujrim Na Gunahgar Hoon Main
Sach To Ye Hai Ki Muhobbat Ka Parastar Hu Main
Aye Saja Phirbhi Mere Hisse Mai Aye Kyun Hai
Aye Khuda Tune
Muhobaat Ye Banae Kyu Hai
Mai Agar Rou To Sahra Ko Samandar Kar
Doon
Sakht Ho Jaoon Agar Mome Ko Pathar Kar Doon
Raakh Ho Jaye Jaha Mai Jo Agar Aah Bharu
Aasma Tutpade Tujse Jo Fariyad Karu
Etni Gaherae Mere Ishq Mai Aai Kyun Hai
Aye Khuda Tune Mohabbat Ye
Banaye Kyun Hai
Agar Banaye To Mohabbat Me Judai Kyun Hai......... .!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails