Tere Bin ( Nice Ghazal )



Tere bin bata Main kese ye Zindagi Jee paunga?
Dharkan hai Tu Mere Dil ki Tujh bin Mar jaunga

Khushi Meri Chheen ke kehti ho Hamesha Hasna
Ek wajah bata de ab kis liye Mai Muskuraunga?


Kehte hain Log Mujh ko k Zindagi ek Jannat si hai
Tujh bin ye Jahannum hai her bar ye Dohraunga

Mat Chhor Muje Tanha Tujhe apne Pyaar ki Qasam
Akele hi zindagi ka Bojh bata kese Main Uthaunga?

Thora Yaqeen ker Mera aur Thora Mujh per Aitbaar ker
Saath Tera hoga to Yaqeenan is Dunya ko Haraunga

Sirf Ashqon se Mere ab jalta hai Diya Chirag ka
Tu agar Juda hogai to Aansoo mai sabko Bahaunga

Chaand hai Tu Mera Tu ne Zindagi ko Roshni di hai
Siddiq kehta hai Tujh bin Andheron mai Ghoom ho jaunga

Muhabbat ki misaal


Wo muhabbat ki kuch aisi misaal rakhta hai...
Ke mujse ziada hi mera khayal rakhta hai...


Bina kahe hi mera har dard jaan leta hai..
Mujse le kar meri yaaden sambhal rakhta hai...

Hans ke taal jata hai meri sab talkh baaton ko..
Woh dil ko jeet lene main kamaal rakhta hai...

JANNAT Movie Songs Lyrics

Jo Kwaabo Khayaloon Mein Socha Nahin Tha

Tu Ne Mujhe Itna Pyaar Diya

Mein Jab Bhi Jahan Bhi Kadi Dhoop Mein Tha

Teri Zulf Ne Mujh Pe Saya Kiya



Haann…

Jo Kwaabo Khayaloon Mein Socha Nahin Tha

Tu Ne Mujhe Itna Pyaar Diya

Mein Jab Bhi Jahan Bhi Kadi Dhoop Mein Tha

Teri Zulf Ne Mujh Pe Saya Kiya



(Haan Tu Hai Haan Tu Hai

Meri Baaton Mein Tu Hai

Meri Kwaabo Mein Tu Yaadon Mein Tu

Irradon Mein Tu Hai) ……2

Irradon Mein Tu Hai



Yehhh…We Could Fall In Love

I Say… I Could Fall In Love

Yehhh…We Could Fall In Love

And I Say… I Could Fall In Love With You



Koi Bhi Aaisa Lamha Nahin Hai

Jisme Mere Tu Hota Nahin Hai

Mein So Bhi Jaao Raathon Mein Lakin

Tu Hai Ki Mujhmein Sotha Nahin Hai

Tu Hai Ki Mujhmein Sotha Nahin Hai


(Haan Tu Hai Haan Tu Hai

Meri Baaton Mein Tu Hai

Meri Kwaabo Mein Tu Yaadon Mein Tu

Irradon Mein Tu Hai) ……2

Irradon Mein Tu Hai


Yeehh…

Ohh…



Hai Teri Innayat Tujhse Mili Hai

Hoonto Pe Mere Hasi Jo Khili

Mera Chehra Chupa Bhi Na Paye

Tujhe Paake Hasil Huye Jo Khushi Hai

Tujhe Paake Hasil Huye Jo Khushi


Haan Tu Hai Haan Tu Hai

Meri Baaton Mein Tu Hai

Meri Kwaabo Mein Tu Yaadon Mein Tu

Irradon Mein Tu Hai


Jo Kwaabo Khayaloon Mein Socha Nahin Tha

Tu Ne Mujhe Itna Pyaar Diya

Mein Jab Bhi Jahan Bhi Kadi Dhoop Mein Tha

Teri Zulf Ne Mujh Pe Saya Kiya


(Haan Tu Hai Haan Tu Hai

Meri Baaton Mein Tu Hai

Meri Kwaabo Mein Tu Yaadon Mein Tu

Irradon Mein Tu Hai) ……2

Irradon Mein Tu Hai

Ye Dil Tum Se Pyaar Karna Chahta Hai

Ye Dil Tum Se Pyaar Karna Chahta Hai
Apni Mohabbat ka Iqraar karna chahta hai
Jab se dekha hai Tum ko Ae Sanam!!
Bas Tumhara hi Dedaar karna chahta hai
Logon se sunte the Mohabbat ke Afsaane
Khuwaab Hum ne bhi dekhhe the Suhaane
Pyaar kya hai ? Hum aksar sochte the
Is Baat se Hum apne Dil ko rokte the
Lekin ab Tumhain is Dil main basa ker
Yeh Khata ek baar karna chahta hai
Yeh Dil Tum se Pyaar karna chahta hai
Apni Mohabbat ka Izhaar karna chahta hai

Tujh Ko Dekhta Rahoon


Is Jahan ko dekhta rahoon ya Tujh ko Dekhta rahoon
Tu Mere Samne bethi rahi Tujh ko Dekhta rahoon

Kaash Ghunghat Zamane ka hat jaye
Aur Mai Haseen Aankhon ko Teri Dekhta rahoon

Jab aa jayein Mehfil mai Shama-e-Janaan ban ker
To Mai is Jahan ko chor ker usko Dekhta rahoon

Patthar tha Magar.....

Patthar tha Magar Baraf k Galon ki tarha tha
Ek Shakhs Andheron mai Ujaalon ki tarha tha

Khawbon ki tarha tha na Khayalon ki tarha tha
Woh Ilm-e-Riyaazi k Sawalon ki tarha tha

Uljha hua aisa k kabhi Hal ho nahi paya
Suljha hua aisa k Misaalon ki tarha tha

Wo Mil to gaya tha Magar apna hi Muqaddar
Shatranj ki Uljhi hoi Chaalon ki tarha tha

Wo Rooh mai Khushbo ki tarha ho gaya Tehleel
Jo Door boht Chand k Haalon ki tarha tha

Mila Wo Bhi Nahi Karte

Mila Wo b nahi karte, Mila Hum b nahi karte
Wafa Wo b nahi karte, Wafa Hum b nahi karte
Unhein Ruswai ka Dukh, Hamein Tanhai ka Darr
Gila Wo b nahi karte, Shikwa Hum b nahi karte
Kisi Morr per Takrao ho jata hai aksar
Ruka Wo b nahi karte, Thera Hum b nahi karte
Jab b dekhte hain Unhein, Sochte hain kuch kahein unse
Suna Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte
Lekin! ye b Sach hai k Mohabbat Unhain b hai
Izhaar Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte

Hum Nazuk Nazuk Dil Wale

Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain
Kabi Mehfil Mehfil phirtey hian, Kabi Zaat mai Tanha hote hain
Kabi Chup ki Mohrr lagate hain, Kabi Geet Labon per latey hian
Kabi Sab ka Dil Behlatey hain, Kabi Khood mai Tanha hote hain
Kabi Shab-Bhar Jagte rehte hain, Kabi Lambi Taan ker sotey hain
Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain

Apni Mohabbat Ka Aitbaar To Do

Kabi Tum apni Mohabbat ka Aitbaar to do
Mai chahoon Toot k Tum ko ye Ikhtiyaar to do
Guzarti hi nahi Mujh se ye Zindagi Tanha
Sahara Pyaar ka deker isey guzaar to do
Mai sochta Hoon Tumhare bagair kya hoga?
Dil-o-Dimaag per ek Bhoj hai utaar to do
Mere khayal ki Raahon ko Keh-Kishaan kar do
K Roshni se Meri Zindagi Sanwaar to do
Umeed-e-Wafa Ghum-e-Hijar ka Muda'wa hai
Mai Intizaar karoon magar Zabt-e-Intizaar to do

Yeh Zara Zara Si Baat Per

Yeh Zara Zara Si Baat Per
Yeh zara zara si Baat per tarah tarah ka Azaz kyun?
Jo kisi se b Khafa na ho, Mujhe us Khuda ki Talash hai
Mujhe Lagzishon per her Ghari, Koi Tokta hai Baar Baar
Jisey kar k Dil ko Dukh na ho Mujhe us Gunaah ki Talash hai
Bina Hamsafar k kab Talak, Koi Musafaton mai laga rahey
Jahan koi kisi se Juda na ho, Mujhe us Raah ki Talash hai
Mujhe Dekh ker jo Ek Nazar, Mere Saarey Dard Samjh sake!!
Jo is qadar ho Chaara-Gar, Mujhe us Nigaah ki Talash hai

Mai Paarsa Bhi Nahi


Mai Paarsa Bhi Nahi

Mai Paarsa b nahi aur Mai Bura b nahi
Suraag-e-Manzil- e-Janaan Mujhe Mila b nahi

Mijaaz Fitrat-e-Aadam se Mai Juda b nahi
Tamam Umar chala Mai kahin Ruka b nahi

Yeh Kis maqaam per le aaya Junoon Mujh ko
Khayal-e-Yaar ka Roshan jahan Diaa b nahi

Yeh Bar-Hami, yeh Tagafull, yeh Be-Rukhi kesi
Zabaan-e-Haal se Mai ne to kuch Kaha b nahi

Mai kis tarah karoon Izhaar-e-Ghum Sar-e-Mehfil
Mujhe Saleeq Aadab-e-Iltija b nahi

Hum Ko Acha Laga

Hum Ko Acha Laga
Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga
Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga
Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga
Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga
Tuu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga
Suna hai Mohabbat mai hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka wo Qaul sacha laga

Kabi Khood hi Mere Paas Aa

Kabi Khood hi Mere Paas Aa
Kabi Khood hi Mere paas aa,
Meri Baat sun Mera Saath de
Jo Khalish hai Dil se Nikal ker,
Mujhe Uljhano se Nijaat de
Tujhe Sochna Mera Mashghala,
Tujhe Dekhna Meri Aarzoo
Mujhe Dil de apne Khayal ka,
Mujhe Karb ki ek Raat de
Meri Zindagi Mere saath chal,
Mere Haath mai apna Haath de
Mujhe Ghum b Khushi se Qabool hai,
Jo Tu agar Mera Saath de

Bura Maan Gaye

Bura Maan Gaye

Nazron se Nazrein mili to Bura Maan gaye
Hum ne Aankhon se Ishara kya to Bura Maan gayeBaat Baat per Muskurana Unki Aadat thi,
Zara sa Hum ne jo Hansaya to Bura Maan gaye
Hamein Aazmane ki Baat karte they Aksar,
Jab Hum ne Aazmaya to Bura Maan gaye
Pyaar mai Be-Wafai na karna Wo Kehte they,
Isi Baat ko Hum ne Dohraya to Bura Maan gaye

Sitam hi karna Jafa hi karna


Sitam hi karna Jafa hi karna



Sitam hi karna Jafa hi karna


Nigaah-e-lutf kabhi na karna


Tumhein Qasam hai Hamaare Sar ki


Hamare Haq mai Kami na karna


Kahan ka Aana kahan ka Jana


Wo jante hi nahi ye Rasmein


Wahan hai Waade ki bhi ye Surat


Kabhi to karna kabhi na karna


Hamari Mayyat pe Tum jo aana


To chaar Aansu baha ke jana


Zara Rahe Paas-e-Aabru bhi


Kahin Hamari Hansi na karna


Wo ek Hamara Tarq-e-Ulfat k


Dushmanon se bhi mil ke chalna


Ye ek Shewa Tera Sitamgar k


Dost se Dosti na karna


Kya Tumhein Main Kabhi Yaad Nahi Aaya



Kya Tumhein Main Kabhi Yaad Nahi Aaya


To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?



Kisi Ghulaab ki Khushboo k bikharne per b

Zara se Aab ke Aankhon mai utarne per b

Kitaab uthate hoye, Geet koi Gatey hoye

Sanwar k dair talak Aainey ko takte hoye!


To kya Tumhain Mai kabhi Yaad hi nahi aaya?



Subha ko uthtay hoye, Shaam ko Tehlte hoye

Neend na aaye agar Karwatein badalte hoye

Kabhi yun hi kisi Makhsoos Dhun ko sunte hoye

Faarig Auqaat mai koi Kitaab parhte hoye!


To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?



Baraste Abr mai Chhat per kabhi Khare ho ker

Kisi ke Rooth ke Jaane per Chirchiray ho ker

Kisi Saheli se bus yun hi Baat karte hoye

Kisi Khayal mai Bethe se uth ke chalte hoye

Kisi bhi Raat ko uth ker yun hi Tehlte hoye!



To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?



Akele yun hi kabhi apni Dhun main chlate hoye

Kisi ki Saalgira per yun hi behlte hoye

Kisi unchayi pe Tanha sambhal ke charte hoye

Utarte Chaand ka Mojon mai Aks parte hoye!



To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?



Kisi Gulaab ko Tehni se Torr ker bhi nahi??

Kisi Darakht ke Saaye mai beth ker bhi nahi??

Apne Darwaze pe Dastak koi Sun ker bhi nahi??

Kisi Dareecha-e-Makaan se Khaank ker bhi nahi??



To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?



Apni Kitab mai koi Naam dekh ker bhi nahi??

Yaad-e-Maazi mai kahin Door Doob ker bhi nahi??

Kisi bhi Shakhs ko Khamosh dekh ker bhi nahi??

Kisi bhi Aankh ko Namm dekh ker bhi nahi??

Kahin Lafzon mai koi Aah dekh kar bhi nahi?

Azaan hoye hi Duaaon mai bhi nahi??



To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?






Sab Ek Se Hain

Sab Ek Se Hain

Deepak Jugunu Chand Sitare Ek se Hai

Yani Saare Ishq ke Maare Ek se Hain !

Hijr ki Shab me Dekh to aake Mere Chand

Mere Aansu aur ye Taare Ek se Hain !

Darya Hoon Mai Bher Bhav ko kya janu

Mere Liye to Dono Kinare Ek se Hain !

Meri Kashti kis ne Duboyi kya Maloom

Sari Lehrien saare Dhaare Ek se Hain !

Kuch apne aur kuch Be-Gaane aur Mai khud

Meri Jaan k Dushman saare Ek se Hain !

Ab Batlao Hum kis se Fariyad Karien

Kaatil, Haakim, Munsif saare Ek se Hain !

Wao

Related Posts with Thumbnails